Ek sath 2-2 Whatsapp , Instagaram , Facebook Kaise Chalaye :-
Hi Friends !! आज मैं इस पोस्ट में आपको बताऊंगा की आप कैसे अपने एंड्राइड फ़ोन में 2-2 Whatsapp Account , Instagram , फेसबुक के साथ साथ आपके फ़ोन में जितने भी apps हैं उन सभी के आप २-२ एकाउंट्स बना सकते हैं . और आप एक साथ दोनों अकाउंट को चला सकते हैं .
Iske liye aapko iss post ko pura padhna padega . Aur jo bhi steps mai bataunga aapko follow karna hai. Aur iske liye aapko phone ko root karne ki bhi jarurat nahi hai. Yah Bilkul hi legal Aur bilkul hi aasan tarika hai . Mai aapko ye bhi bataunga ki yah kaise kaam karta hai. Basically , Yah ek app hai jo har ek app ki copy bana deta hai jisse hum 2-2 account use kar sakte hain.
Dosto aap niche bataye gaye steps ko follow kijiye ( Phle iss post ko pura padhe ):-
Step#1:- Sbse Phle Aap Play Store se “ Parallel Space Multiple Accounts “ App ko Download Karke install kare .
Step#2:- Ab iss parallel Space app ko open kare .
Step#3:- Ab aapko iss app me ek “+” ka button milega jaisa niche picture me dikh raha hai . Ab aap uspar click kar de.
Step#4:- Ab aapko jis bhi App ka multiple account yani 2-2 account chalana hai uss App ko add kar lijiye .
Step#5:- Example ke liye mai Instagram App ko select karta hun .
Step#6:- Ab instagram ki ek copy ban jati hai aur uspe click karne ke baad aapko login karne ke liye bola jayega . Agar aapke pass instagram ke 2 login hai toh aap dusre wale login detail ko daal skte hain .
Home Screen par Shortcut Kaise Banaye :-
Dosto ye toh process tha ki 2-2 id ek sath kaise chalaye . Lekin baar baar iss Parallel Space app ko open karke dusre account ko access karna thoda boring ho skta hai . Isliye jis bhi account ko aapne multiple kiya hai uska shortcut Home par lane ke liye aapko uss app ko drag ( Khich ) karke niche “ Create Shortcut “ par chhod dena hai . Jaise ki niche picture me dikh raha hai . Ab aap isko direct home screen se bhi access kar sakte hai jaise phle wale account ko karte hain .
Aap dekh skte hain ki jo naya wala account hai wo “Instagram + “ ke naam se show kar raha hai . isse aap badi aasani se pehchan skte hain ki kon sa naya wala hai .
Aap issi tarah se whatsapp , Facebook , gmail etc jitney bhi Apps aapke phone me pade huye , sabhi ke aap multiple accounts chala skte hai . Iske liye aapko kisi aur app ki jarurat nahi pdegi .
Kaise kaam Karta hai Yah “ Parallel Space “ app:-
Dosto mai aapko bata du ki yah app bilkul hi legal hai . Isme aapke account block hone ka koi chance nahi hai . Kyuki yah app ek alag folder bana leta hai . Aur sabhi accounts ke detail uss alag folder me collect hota hai . Jisse jo hmara phle ka information jo root folder me rhta hai usse clash nahi karta hai . Aur iss tarah se hmara dono account safe rhta hai.
दोस्तों , अगर इस app को use करने में कोई भी दिक्कत आ रही तो आप बेहिचक कमेंट करके बता सकते हैं . और अगर आप कोई सुझाव देना चाहते है तो भी आप मुझे संपर्क कर सकते हैं . और अगर यह पोस्ट आपको अच्छा लगा तो इस पोस्ट को जरुर शेयर करे . और बने रहिये Techyukti के साथ , क्योकिं इस ब्लॉग पर आपको रोजाना टेक पोस्ट मिलेगा . वो भी बिलकुल फ्रेश और नया .!!