सोशल मीडिया पर शेयर करके आगे बढ़ाये
Dosto aajkal smartphones ka zamana aa gya hai. Aur smartphones me sbse jyada jo Chhaya hua hai wo hai Android phones. Aise me hume Android phone se related kuch aise terms hai jinko jaanne ki उत्सुकता hoti hai . Toh iss post me mai aap logo ko Android se hi related kuch aise terms bataunga jo aapne kahi suni toh hogi lekin shayad hi iske bare me detail se pata hoga.
Android BootLoader
Dosto Bootloader ek aisa code hai jo phone ko start karte time par Run hota hai. Bootloader aapke phone ki system files, missing files ko check karta hai . Aur uske baad bootloader aapke phone ko on karta hai . Bootloader 2 type ka hota hai .
Bootloader ko unlock krne ke baad hi hum apne android phone me custom ROM install kar skte hai ya Kernel Change kar skte hai. Lekin locked bootloader me ye sb karne ki permission nahi hoti hai. Aur maximum phone ki companies bootloader ko locked hi rakhti hai kyuki company yah nahi chahti ki unke phone me custom ROM ya Kernal change ho.
Kabhi kabhi phone ko flashing ya custom ROM install karte samay koi file miss ho jati hai tb bootloader thik se Run nahi hota hai aur aapka phone booting mode me hi rhta hai .
Android me Kernel Kya Hota Hai:-
Friends agar hum baat kare Kernel ki baat kare toh yah sabhi systems ke operating system se connected hota hai. Kernel sabhi tarah ke OS jaise Android , Windows ,MAC ,Blackberry etc me hota hai. Kernel ka kaam yah hota hai yah phone ke Hardware aur Software ke bich me ek connection provide karaata hai . Jaise agar kisi software ko kisi Hardware ki jarurat hoti hai toh wah kernel ke dwara hi kiya jata hai.
For Example- Agar hum koi music play karte hai toh uske liye hum uss music file par Tap karte hai toh music software kernel ko request bhejta hai ki usko Speaker ki jarurat hai .Fir kernel uss software ko speaker ko use karne ki permission deta hai.
Aur agar aap apne phone ke kernel ko change karte hai toh isse aapke phone ke performance ko badha skte hai ya slow kar skte hai .
Android Recovery Kya Hai:
Recovery ek aisa software ya tool hai jo sabhi phones me hota hai . Recovery 2 tarah ki hoti hai :-
- Stock Recovery
- Custom Recovery
Stock recovery phone company dwara sabhi phones me provide hoti hai. Aur uss recovery ki madad se aap apne phone me official ROM ko flash kar skte hai yaa fir aapke phone me jo ROM hai uska backup le skte hain. Aap apne phone koformat ya wipe kar skte hai. Ye sabhi kaam aap Stock Recovery se kar skte hain.
Lekin agar aap apne phone me custom recovery flash karte hai . Custom recovery ki help se aap un chizo ko flash kar skte hai jo aapko stock recovery me permission nahi milti hai . Phone ko root karne ke liye ya phone ko aur jyada advance bnane ke liye aapko custom recovery ki jarurat padegi.
ROM kya hai:-
Waise toh ROM ko hum log bolte hai Read Only Memory .Lekin sirf itne se hume iske bare me kuch pata nahi chalta hai. ROM ka matlab yah hai ki aapke phone ka pura system file ya job hi basic software hai ya jab aap pehli baar apne phone ko ON karte hai toh jitni chize milte hai wo sab chize ROM me install hoti hai. Inn sab system software ko hum bss read kar skte hai lekin usko delete ya change nahi kar skte hain.
ROM bhi 2 tarah ki hoti hai:-
Custom ROM wah ROM hai jo Google dwara provide kiye gye ROM ko kisi phone ki company dwara modify kiya hua rhta hai . Isiliye hume alag alag company ke phone ka Interface alag alag milta hai. Cutom ROM ke dwara hum apne phone ke options me changes la skte hai .Lekin Stock ROM me hum koi changes nahi kar skte.
Ye custom ROM alag alag developers apne hisab se develop karte hai . Kyuki jo basic ya stock ROM hota hai wo thoda km attractive hota hai.
Flashing Kya hoti hai :- Dosto Flashing ek installation process hai jo phle wali file ko replace kar deti hai. Normally jab hum koi app install karte hai toh wo app OS ke upar hi install hoti hai .Lekin jb koi ROM install karte hai toh wah purane ROM ko replace kar deti hai .Isi ko flashing kaha jata hai.
दोस्तों ,उम्मीद है की यह पोस्ट आपको पसंद आया होगा .अगर आपको कोई चीज़ अच्छे से समझ न आई हो जैसे एंड्राइड बूट लोडर, एंड्राइड रिकवरी , फ्लशिंग ,कस्टम रोम , कर्नेल आदि .आप कमेंट करके पूछ सकते है . या आप सीधा मुझे ईमेल भी कर सकते है . और हाँ इस पोस्ट को शेयर करे ताकि आपके फ्रेंड्स भी इसके बारे में डिटेल से जान सके .
Lalit ji Blog par aapka bahut bahut Swagat hai
bhaiya mujhe intex ibuddy connect tablet KO lollipop update Karna hai PR company Bali update nhi ayi to me kaise karo
Raj ji..aap iss post ko padhiye https://www.techyukti.com/2016/04/android-phone-me-custom-rom-kaise-install-kare.html
Ha amit ji..phle phone ko root krna pdega fir flash krna pdega…iski jankari iss blog par di gyi hai
सतीश ज़ी मेरा लावा x1 मोबाइल था उसमें किंगरूट गलती से इनस्टॉल हो गया मोबाइल डेड हो गया कोई सॉफ्टवेयर है तो बताए whatapp नंबर 9918049008
Xiaomi tool v2 se redmi note 8 ka bootloader unlock karna safe hoga sir
aap computer me stock file download kar lijiye aur phone me install kijiye.. Phone aapka on Ho sakta hai
Ye bootloader/ rom/recovery/flash ye sabko kse use krte h video ke thru samjaiye na or video slow motion me bataiyega sir…
ankit ji hum jaldi hi Video banane ki koshish karenge
Nice information related to anything but can u tell me how make backlink for my website for real
hlo
bro mene glaxy s4 ko root kr diya h or iska lollipop version h
bro muje ab isko version 6 marashallwo me update krna h kese kru
plzz step by step
??
tnnx
Virendra ji Bus apko Marshmallow ka Custome ROM Download karna hoga. Aur apne Mobile ke Boot Mode jaker Marshmallow File ko Select karke Ok kar de.
Mene phone ko update kiya hai mera anroid version 5.0.2 ho gya hai Mujhe mera anroid version wapis 4.4.2 me karna hai
Mene phone ko update kiya hai mera anroid version 5.0.2 ho gya hai Mujhe mera anroid version wapis 4.4.2 me karna hai i
Jeetu Ji aap Phone ke Setting me jaker Phone ko Reset kar do
Hi sir mere pas sumsung grand2 h smG7102 usme custm problm dikha raha h updet v kuch ni hora or aap insttol v khud hi hore h
apne ap swich of hoke khul jata h
sir please uske liye kya karna hoga…
sumsung kies se software se vi thik karne ki koshish ki lekin kuch ni huaa
So plese kuch bataiyena
Bhupendra ji aap apne Phone ko Reset kar dijiye, agar Fir bhi nahi sahi hota hai to apko phone laker Service center jana hoga ho. Kyoki Ye Problem Phone ke Motherboard ko wajah se aati hai
Ajmal
Hi Shailesh ji
Mene apna phone Root kr Lia h mujhe Custome recovery r Xposed framework Krna h koi tips ya link dege Kia Mujhe fast booting Krna Hoga
Ajmal ji aap yah se Xposed Framework Download kar sakte hai.
Xposed Framework
Bootloader ko unlock Kaiser kiya jata hai ?
Saurabh ji aap is post ko padhe How to unlock phone bootloader
Sir agar phone root karke Lollipop version Dala ho to phirse original file dalne ke liye phone ko unroot karna parta hai
deepak ji Reset karna padta hai
Bhai mere phone xolo q600s but iske liye custom lpx ni Bani hai but mein ek ROM taiyar ki thi liken usko flash krne ke baad phone heating problem de raha hai kya karu
Ab agar apne Backup Liya hoga to Recovery ho jayega.
Sir Mene apna moble Micromax fire reset Kiya to mobile on krne pr notification Aa ri h k internal memory damaged . What should I do now
kaushal ji aap Service center par contact karo
Sir
Mai ne custom rom install kiya to mara mobile swich of hi nahi khul raha hai
Bar bar on of ho raha hai mai kya karu
Uska motherboard kharab ho gya hai
Kay ab vo thik nahi ho sakta
aan batao solution plz
sir maine root karke phone m custom rom dal raha tha par ab sim card not detected dekha rha h kaise thik karu
Naveen ji aap aap apne Phone *#06# dial karke check kare ki apka IMEI Number show kar rha hai. Shayad apka Phone sahi se Root nahi huya aur pka IMEI Block ho gya hai
yas sir IMEI no invalid dekha raha h
सर मुझे boot loader को unlock कैसे करते है…इस के बारे में बताये
Sir mera phone Micromax q380 hai mene sab step follow kiya ROM bhi install hogya 10 mint tak sahi chla jab mene reboot kiya to uske baad mera phone ab on He nhi ho raha hai PC SE flash bhi kiya to sirf Micromax likh raha hai uske aage ja he nhi raha hai kaise isko theek karu plz jaldi reply kare
Prem Ji, Aap Phone ko Recovery Mode Se reset karo, Agar nahi ho rha hai, to aap phone ke Purane backup ko fir se Install karo
sir screen on nhi ho raha hai or mene backup bhi kiya tha pr ptta nhi apne aap kaise delete hogya hai app koi pc se kaise repair kru ye bttaye ya to backup kaise krte hai
sir maine aapne phone ki xbin file ko delate kar diya
isse maira mobile hang hogaya mera mobile root tha or ismain custom recovery install h and Maine galti se wipe kar diya aab mera mobile start hota h maigar MI ka logo dikha ta h or start nh hota aagar main custom recovery main se mobile start karoo toh yeh khaita h OS not istall kya fastboot and official custom ROM install karne se mobile start honga plz replay
aftab ji aapko Phone MI Service Center le jana hoga, ya fir agar apke pass Koi Custom Android OS ka File ho to aap Computer se Khud Install kar sakte hai
Sir mera phone mi hm note lte है.. . Maine use bahar se wipe all data Kiya hai.. Aur abhi wah mi account ID mang raha hai aur mujhe pta nhi bahut problem hai kuch solution batayiye
Aaditya ji aap Mi.com par jaker ek account opne karo uske bad wah id Darj karo
Bhaiya mane galti se recovery mode me jakar reboot bootloader per click kar diya or mobile on nahi ho raha hai koi ilaj batao please
Bhavesh ji aap Mobile ka Model bataye
hi sir me apna phone root karna chahata hu aur bootloader unlock karna chahta hu.but ye sab karne ke baad kya reh jayega aur ise flash kis app ke thru karu.
Aap apne Mobile Model Ke liye Compitable Koi Bhi App ka Use kar sakte hai
very nice sir
phone ke bare me easy language me samjaya hai
Moto X play xt 1562 frp hatana hai help sir
Sir
Odin download kiye
Phir stock rom
Our usb driver
Phir flashing kiye sir karne ke bad pass ho gya sir iske bad mobile automatically on off ho raha hai sir our kuch bhi nhi ho raha hai
Kya karan ho sakta hai sir kaise thik kare sir
Please please please please sir help me sir please sir
Hard reset karo
Sir relocked bootloader vapas Kaise unlock kare. Status code : 2 dikha rha hai abhi
Moto maxx xt1225 ye
Pehle ka code incorrect bata raha hai or fastboot mode me oem get_unlock_data me please try again later bata rha h.
Recovery option bhi nhi aa rha hai,keval bootloop ho raha hai.
Plz help kro iske liye
Tnx in advance
Iske liye apko Moto community check karna hoga
Kya aap mere liye Motorola community se puch sakte ho plz
Meri English itni acchi nhi h isliye.
Plz
mera mobile recovery mode se bahar nahi aa raha hai likha aa reha h updanting please wait 24 owr se jayda ho gaya h
Phone ko power off kar do kuch time ke liye