Dosto ! Computer ka use krte samay sbse jyda kaam hota hai wo hai file delete karne ka . Aur bahut se logo ko aadat ho jate hai “Shift+Delete” press karne ki . Aur jb hum koi file delete kar rahe hote hain toh suddenly wo file delete ho jate hai jo hume delete nahi karna hota hai . Aise me wo file recycle bin me bhi nahi hoti hai .
Kuch log sochte hain ki Recycle bin se bhi deleted file ko recover nahi kiya ja sakta . Lekin Mai Aapko iss post me step by step bataunga ki kaise aap Permanently Deleted File ko bhi apne computer me restore ya recover kar sakte hain .
Permanently delete karne ke baad Bhi recover kaise hoti hai :-
Dosto phle hum ye jaan lete hain ki Computer se file permanently delete hone ke baad bhi recover kaise ho jati hai . Toh mai aapko bata du ki jab bhi hum kisi file ko shift ke sath delete karte hain toh wo file permanently delete nahi hoti hai . Lekin hume bss ye dikhta hai ki wo computer se delete ho gaya hai . Lekin real me wo file usi hard drive me save hoti hai but hme show nahi karti hai . Computer sirf uska address delete kar deta hai . Aur wo jagah tab tk waise ki waisi rhti hai jbtk aap koi dusri file write na karo .
Toh agar aapko kabhi bhi aisa lagta hai ki aapne kisi important file ko galti se delete kar diya hai . Toh ab aapko tension lene ki jarurat nahi hai . Kyu iss post me mai bataunga ki kaise aap permanently deleted file ko ek Recuva Software ki madad se recover kar skte hain.
Chaliye Mai Kuch Steps btata hun jiski help se aap Deleted Files ko Recover Kar Sakte hain :-
Step#1 . Sbse phle aap Yaha se “Recuva software” (4.22 MB Only) Download karke apne system me install kar lijiye .
Step#2. Ab Recuva ko Open kijiye . Aapko file type me choose karna hoga ki kon sa file aap recover karna chahte hain . Jaise agar koi video hai toh Video Choose karna hai , Ya MP3 hai toh MP3 choose karna hai .
Step#3. Fir uske baad Next par click kijiye . Ab aapko puchega ki file location kaha thi . Aap file location de dijiye jisse file ko search krne me aasani hogi . Fir Next kar Dijiye.
Step#4. Iss step me Aapko Deep scan karne ke liye puchta hai . Agar aap isko on karte hain toh kafi time lagata hai . Lekin searching ache se hoti hai . Aap on karke bhi try kar sakte hain . Fir Start par click kar dijiye .
Step#5. Iss tarah se kuch der me sari deleted files ki list aa jayegi . Aur aap sabhi files ko select karke recover kar sakte hain .
Tips: Jis drive se aapki file delete hui thi . Usi drive me hi recovered file ko save mat kijiye . Aap kisi dusre drive me save kar sakte hain . Agar aap usi drive me recover karte hain toh ho sakta hai ache se recovery na ho .
दोस्तों यह एक छोटा सा trick है . उम्मीद है की आपके काम आये . अगर आपको प्रॉब्लम हो रही हो तो आप कमेंट करके मुझसे पूछ सकते हैं . और प्लीज आप इस ब्लॉग के न्यूज़ लेटर को सब्सक्राइब कर लीजिये ताकि आपको नये पोस्ट आपके इनबॉक्स में मिल जाये .
achi jaakari
धन्यवाद @नितिन जी
Bhaiya merit ak software he sleek billing kr ke use galti se uninstall kr diya he ab data recovered kese ke plz
good tricks
Thanks @zeeshan
file to recover ho gye or mil bhi gye lekin kuch photos recover krne ke baad bhi crept hai unko kese kare
wo nahi ho payegi
#Bhai..mere sabhi movies glti se delete ho gae hai kya vo waps aa skta hai apke diye huwe tips ke jriye ?
Han Akash ji..!! Deep scan karna sab mil jayegi
Bhai mera saare files encrypted hua h recover ho skta h
Nasim ji ho jayega
Hi , my deleted dcim folder please recever my dcim folder please
meri encrypt file ka data delete ho gya h kya recover ho sakti h
Yah post acchi ti lekin muje amazon account k bare me jankari chahiye
Mai amazon ka password bhul gya Hu or reset karne pr password code email pr aata h or email Maine delete kar di h so muje code mobile pr prapt nhi ho rhe h Iska solution email kare Mk49337@yahoo.com
Mukesh ji apko naya account banana padega
google drive pe trash ya bin me se bhi delete file ko kese recover kre plz tell me right suggestion
Ni bs jo picture meri r meri girl friend kia delete hoi hn wo wwapis leni hn
Hi , my deleted dcim folder recever my dcim folder please
Saat me yah bi batao Ki Snapdeal &freecharge account se email change kaise kare
Sir data restore karne par videos to back aagyi lekin chal nhi rhi h please help .
himanshu ji video Extension check karo
very good software for recovery
thanks
Sir jo kabhi bhi is software se recover na ho aisa bhi kuch bta deijeye please sir
Sumit ji mere jankari me aisa koi trick nahi hai. Agar aap Kisi bhi File ko Delete karte hai, to wah kisi naa kis Software se Recover ho jayega
Dear Sir,
File to recover ho gya h but wo sab file corrupted h use kaise thik kiya ja sakta h sir.
Plz help me. Bahut important file sab sir.
Sonu Ji Aap is Video Ko Dekho jaisa Isme bataya gaya hai. Aap Waise Hi Recover Kare https://www.youtube.com/watch?v=5dsLv3X0-4M
sir laptop se sara file remove ho gaya hia dextop me ek bhi file nahi haikiya awapush aa sakta hai
Ha Iske liye apko Kisi Data Recovery Software ko Purchase karna hoga, but yah apke liye costly ho sakta hai
File to waps aa gyi h pr wo photo puri nhii dikh ri h half show kr rhi h plzz help me sr??
iske liye apko Software Purchase karna hoga, tabhi aap sahi se Recover kar sakte hai. Free me aap keval Kuch MB tak Recover kar sakte hai
mera to ek pura volume hi delete ho gaya me use kaise recover karo
Dev ji Recover ho jayega But iske Liye apko Software Purchase karna padega
Sir, PC me file parmanent delete hone ke bad muze wo file Recuva me nahi aani chahiye isliye muze kiya karna chahiye please help me SIR
Rahul Ji iske liye aap bar-bar PC Ne naye File Paste karke use Delete kar do,
Sir Meera PC ko pura format Maar Diya Gaya aur new Windows Dal Diya. mere ko kya Meera data Wapas Mil Jayega please help me sir
Iske aap koi Data Recovery Sofware ka use karo, But Dhyaan de Purchase hona chahiye tabhi kaam karega
meri recover file play nahi ho rahi hai plz plz meri help jarur kare plz plz
Aap iske liye Paid Software ka Use karo
desktop pe folder me meri kam ki pics pdi thi or vo glti se dlt ho gyi…plz plz help krdo use recover kese kru
Apko Recuva Software Download Karna hoga, Uske bad C Drive ke sabhi File ko recover karna hoga, Agar aap pahli baar kar rhe ho to Youtube video ka help le sakte hai
meri important folder desktop par se delete ho gai hai mene ek software se recovery ki hai but wo 3000 plus file recovery hue hai lekin wo folders ke nam totally change ho gaye hai mujhe find karne me dikkat aa rahi hai kaya is ‘Recuva software’ se meri file mil sakti hai jis nam se delete hua tha us nam se mil sakti hai ??
please bahut urgent hai reply me
file scaning karne mein kitna samaye lakta h
SIR BLOG (PERMANENTLY DELETE) KO FIR KAISE LAYE PLS HELP ME
Agar apne Pahle se Backup Save Nahi kiya to, to Blog Recover nahi ho sakta hai
bahut hi achhi tarah se samjhaya hai sir thanks
Sir koi app aisa bhi hain jo Android phone ke file manager se delete hua data recover kar sake you tube video main app to bta rhe hain par koi bhi work nhi kar rha hain Mera ajj filemanager se kuch data delete ho gya hain jo mujhe recover karna hain help me
Sunil Ji ye sabhi Software keval demo ke liye free version dete hai. Agar apka Koi Important file delete ho gaya hai aur apko Usko recover karna hai to aapko software purchase karna hoga
i have a w\ques plz help mane apna pc ko format kiya c drive ko to lagta hai sara drive format ho gya mae windows 10 install kar rha tha tab ye hua or jab maene windows install karne ke bad dekha to kuch bhi ni tha mere sare gaane film sab chala gya use kaise recover kare plz btaye
Sumit ji ye Software apka help kar sakte hai, Apko bus iska paid version lena hoga.
bhai mene apne laptop me window dali to mera sara dara chla gya kya me apna data dubara pa skta hu
Keval C Drive ka data delete hota hai. Waise agar apka hard disk data delete ho gaya hai to aap Software tool buy kare isse apka full data recover ho jayega
Meri Ek Excel file ka Data ni mil rha kia Recover ho skta hy ??
Men us mn kam kr rha tha to USB flesh disconnecte ho gai the muje pta ni chla to jaldi mn ek 2 options aay aur pta ni save hoi k ni pe jidhr flie rkhi the wo Gayb ho gai.
HELLO SIR GMAIL ME AGER KOI MGS DELETE HO JATA H TO VO VAPS KSE LAYE
permanently delete audio video recovered
sir maine excel sheet m kuch files bnayai thi ab wo show nahi kr rahi h kahi wo delete to nahi ho gai ager delete hui h to unhe vipes kaise laye plz sir help me
Iske liye aap Data recovery software ka istemaal kare
3sal phle mujhse vedio dlt ho gyi wo vapas hi nhi aarhi h use kese vapas lae
sir mere file dusri file se same file se paste ho gayi hai,. sir kya me apni pehli file k data mil sakte hai kya
Sir mera mobile se hide kiya photos, video ki encrypte file delete hogya hai. Muje pura data recover karne ke liya kya karna padega please help me.. Calculater hide app pe pura data tha
Mere mob. Me jo file he usme jakar kisi ne sb kuch delete kar diye photos videos delete ho gaye bo na drive me he na or kisi account me me bht try kiya pr nahi recover huye please aap mere comments par focus krte huye meri help kijiye mujhe photos videos recover krne me help krr dijiye I think bo sb parmanently delete ho gaye he mere mob. File me se an unko recover krna chahti hu me important the sb please help me