Hi Friends ! Yah Post Youtube Video Optimization yani Youtube SEO se related hai . Agar aap youtube par videos upload karte hain toh aapke liye bahut hi helpful post hai yah . Iss post me mai btaunga ki Youtube videos ke Description aur Tags ko thik tarike se kaise likhe . Video ka title , description aur Tags/Keywords hi aapke video ko viral karne me help karte hain .
Video ka title aur description se hi viewers yah decide karte hain ki yah video dekhne layak hai ya nahi . Aur Youtube search me aapke videos ko lane ke liye Youtube bhi Title , Description aur Tags ko hi priority (प्राथमिकता) deta hai . Aur youtube aapke videos ke content ko samjhta hai ki aapke video me kya hai .
Toh ab aap soch rahe honge ki Youtube video ke description me kya dale ? Toh chaliye mai aapko simple steps me batata hun .
Youtube Video Ke Description Me Kya Daale?
Sbse phle , Title Likhne ke baad aap description me apne video ke bare me short me explain kar dijiye . Jaise ki agar aap kisi product ka review karte ho toh aap likh sakte ho:-
“ This video is about this particular product review . This is unbiased review . I am totally satisfied with this product . This product has lots of great specification. ETC” .
Maine this product likha hua hai aapko uske jagah par product ka naam likhna hai .
Starting ke 200 Words hi Search results me show karte hain . Aur viewers description ko ek najar dekhte huye hi video ko dekhne ke liye click karta hai . Isliye description likhte samay yah dhyan rakhe ki aap sirf video ke content ko hi describe kar rahe hain . Kyuki faltu ki chize aap niche bhi likh sakte hain .
Bahut se log sirf video ka title likhte hai aur video ko publish kar dete hain aur fir dekhte hain ki unke videos par expected views nahi aate hain . Toh uska reason yahi hai .
Description Ka Bahut hi jayda fayda hai –
Aap description me apne bare me extra information bhi add kar sakte hain . Jaise previous video ka link , next video ka link , apne bare me kuch lines aap likh sakte hain . Aap apne website ka bhi link de sakte hain . Kisi dusre friend Youtuber ka Channel link bhi de sakte hain .
Note:
Bahut se Youtubers ka yah manna hai ki Description me bahut sare Keywords daal dene se views jyada aane lagte hain . Jo ki bilkul hi galat hai . Aisa karne se Youtube community aur Guidelines isko penalize kar deta hai aur search result me jaldi show nahi karwata . Aur khoob saare keywords se veiwers bhi irritate ho jate hain . Yah aapke Youtube account par negative effect daalta hai .Toh aap aisa bilkul mat kijiye . Description ka sahi use kijiye .
Agar aapko Tags/Keywords daalna hi hai toh aap tags ke field me tags/keywords ko daaliye . Aur tags ko daalte samay aapko inn baato ka bhi dhyan rakhna jaruri hai .
Youtube Videos Me TAGS/KEYWORDS Kya Daale?
Sbse phle toh aap apne video ke category ko define kijiye . Fir aapka video jis bhi chiz ke bare me hai aap usko tags me daaliye .
For Example: Agar aapka video ,Video SEO tutorial ke bare me hai toh aap Tags daal sakte hain :
“ Tutorial , How to , meta data of video , Optimization , Description”Aapko sentence me Tags daalne ki koi jarurat nahi hai . Aap sirf simple whi tags daaliye jo aapke videos ko show karta hai . Kyuki Youtube ka Search Algorithm isi base par kaam karta hai.
Agar aap khoob saare keywords use karte hain toh Youtube bhi confuse ho jata hai aur aapke video ko ache se search results me show nahi karta hai .
Long tail Keyword ko use karne ke liye aap video ka title use kar sakte hain . Tags me sirf aur sirf video se hi related Tags/Keywords dale . Aap jayda views ke chakkar me idhar udhar ke tags mat dale . Isse bhi aapke videos par negative effect padta hai .
तो दोस्तों Youtube SEO में इतना ही . अगर आपको Youtube से related और कोई भी जानकारी चाहिए तो आप कमेंट कर सकते हैं . और इस ब्लॉग को भी याद रखिये .
Video me feature photo kaise lagate hai.
Afzal ji jab aap Video Upload karte hai, to waha par Custom Thumbnail Ka Option aata hai waha se aap Image Laga sakte hai
hello sir,
maine youtube par account open kiya hai or mai isko apni income ka eksource bnana chahata hoon. please aap mujhe btaye ki iske liye kya kroon or kaise kroon
aap ise Padho samjh me aa jayega https://www.techyukti.com/2017/01/youtube-se-paise-kaise-kamaye-2017.html
Youtube videos ke bare me bahut hi achhi jankari hai.
Vikash Ji Dhanywad
Kya me Apne hi video ke description me kisi ke channel ki link dal sakta hu
Sarthak ji Bulkul daal sakte hai
sir mujhe youtube par video upload karne me dikkat ho rahi hai.
please help me.
Kailash JI Kya Problem aa rha hai..Upload Nahi ho rha hai
Sir mera account bne 10 day ho gye aur 8 day before 2 video bhi upload kiye lekin sir 1 view bhi nhi aya plz help sir
Gulshan ji aap Trending Topic par video banaye aur video ko jyada se jyada Share kare
Sir
Hum video download karte hai to tag ka option aata hai . hum kisko video tag kar sakte hai . kisi subscriber ko ya channel ko
Singh Ji yaha par Tag ka Matalab hai Keyword na ki Facebook Wala Tag, Hum Kisiko Tag Nahi kar sakte hai
Sir mera new YouTube chanale mere channel ko promote karwa do sir plzzz mdwasid..
You tube Chanel> Technical wasid
Sir Tag mobile se ho sakta ha or
Tag description me hota ha kya
Mobile se ho sakta hai.. Tags ka alag option hota hai
Youtube Video tag me maximum kitne tags use karne chaiye aur tags short me rakhane chaiye ya long tail me
short me long teg accept nahi krega
bhai mera news channel hai mujhe sab me ek jesa teg dalna hai video bhot sari ho gai ab me ek ek ekr ke toh nahhi dal sakti aisa koi trika batao ek jagha dalun or sari video me wo teg aaj jaye
song ke tag Kaise dale
Theek isi Tarah aap use kar sakte hai –
Mein product promote karta hu youtube par
Aur description mein uski product company ki websites se description copy karke youtube ke description par dal deta hu….Kya mujhe copyright aa sakta hai…
Pls reply
nhi
Sir
description me apne channel ka link daal sakta hu
Guys ! Mein Ek Baat Kehna Chahunga Ki Videos Koi bhi ho Tags Dalne Ka Ek He Tarika Hai Or Sabse Aasan Hai Or vo haii Youtube Search Engine Ab Isee Use Kaise Karein
Guys! Pehle Aap vo long tails Use Krein jis Related Apka Video hai Jaise Maine ek Video Bnai (How To make Money) to is title ko aap youtube search engine Me jaise he Pest karte hain To apko bahut Saare Keywords Show Karega Vo saare keywords ko Aap Apne tags Me Daal sakte Hain Friends Mera bhi Channal Hai Jisme Ek he video Abhi daali hai Maine Lekin Fir Bhi Views Lekar aaya hoon Mere Channel Ko bhi Subscribe Kijiye Dosto Mein Youtube me Mein Ap Sabhi ki Help Karunga kyuki Mein bhi Aap sabhi ki trah hoon Bhaiyo
#Technicalpandit
Sir aapka blog front hindi me kyu nahi hai
Isse kya fyada hota hai bataye
This is a very important question…..
Hindi me hi hai, Yah post bahut pahle ka hai. Jab Hum Hinglish me post likhte the aap visit karo: https://www.techyukti.com/
Sir Youtube Me Religion related video ke liye konsi category select karna hoga ?
Youtube video me 500 tags dale ya 200 ya us se kam dale bataiye ?
Sir Mera Sawal Hai
Youtube Video Ko Edit Kar Ke Change Karne Se Kya Video Ki Growth Ruk Jayegi ?
Aur Agar Video Ko Change Karne Ke Baad Wo Growth Phir Se Shuru Ho Jayegi To Kitne Din Me Video Grow hona shuru hogi ?