Hi Dosto ! Kal Ke article me maine Whatsapp End To End Encryption Ke Baare me Post kiya tha. Agar aapko Whatsapp End To End Encryption Ke Baare me, Encryption Meaning ke baare me detail se janna hai toh aap yah se padh sakte hain. Aaj hum baat karenge ki Encryption Kya hai? aur iske sath Public Key Encryption Kya hota hai.
What is Encryption?
Computer, Smartphone aur Internet ki Duniya me aapne Encryption word jarur suna hoga . Chahe wo aapke data ko secure banane ke liye ho ya aapke Gmail account, Facebook account, Twitter account ya aapke Google Drive ke information ko secure banane ke liye ho . Encryption aapke messages ko secure banane ke liye bhi use hota hai . Aur iska latest example abhi abhi Whatsapp ke latest update me End to End Encryption me use ho rha hai .
Encryption:
Dosto Encryption ko New Topic nhi hai. Computer/Cyber ki dunia me bahut hi popular topic hai . Aur yah 1000 saal phle se hi use hota aa rha hai lekin alag alag form me .
Toh Encryption ka simple sa meaning yah hai ki – Jab bhi aap kisi ko koi information , message send karte hain toh wah message receiver tak pahuchne se phle usko koi padh na sake . Yahi encryption hoti hai . Dusre sabdo me kahe toh Encryption ka matlab yah hai ki aap jo kuch bhi message ya information jisko dikhana chahte hain usi ko hi dikhe .
For Example: Simple A , B , C , D ko kisi ke pass send karna hai . Aur Maine A ko B , B Ko C , C ko D maan ke message send kar diya . Aur jisko send kiya usko bata diya ki maine Phle wali value change kar di hai . Toh agar koi bich me bhi iss message ko dekhta hai toh usko samjh nahi aayega . Iss tarah se yah ek chhota sa example hai Encryption ka .
Jaise mujhe likhna hai Techyukti = UFDIZVLUJ . Aur iss converted word ko padhne ke liye hume kya karna hoga ? Hume yah karna hoga ki iss word ke jo bhi alphabet hai uske ek piche wala alphabet likhe .
Yah ek simple sa encryption ka example hai . Jo Pahle ke jamane me secret message send krne ke liye use hoti thi . Lekin computer ki duniya me thoda si Encryption complex hota hai .
Mujhe lagata hai ki aapko encryption samjh me aa gyi hogi .
Public Key Encryption :
Dosto Public-key Encryption, Encryption ka hi ek type hai . Aur lagbhag use hone wale encryption me iss public key encryption ka hi use hota hai . Email, Messages, Chat, Whatsapp yah sabhi based hote hain Public Key Encryption Par .
Public Key Encryption Ko Agar simple language me samjhna hai toh Maan Lijiye Aap ek User hai aur aapke pas me hi ek dusra user hai. Toh aap dono ke bich me communication karne ke liye dono ke pas me ek – ek key hoti hai . Aapke pass me key hoti hai usko bolte hai “Private Key” jo sirf aapke paas hi rhti hai . Aur dusri key hoti hai usko public key kahte hain jo sabhi ke pass hoti hai . Yani ki aapke friend ke pass bhi.
Maan Lijiye aapko ek message send karna hai aapke friend ko “Hello “ . Fir iss Hello ko Aapke friend wale public key (id) se lock kar diya . Ab ye message aapko friend ko tabhi show karega jab wo apni private key use karega . Iske alawa bich me koi iss message ko nahi padh sakta .
For example : Agar aapko aapke friend ko email send karna hai toh aapko pahle uska public key (id ) pata hona chahiye .
Issi Tarah se jaha par Data store kiya jata hai wo bhi encryption ke concept par hi kaam karta hai . Jaise agar aapne Google Drive par koi photo save kiya hai toh yah photo aapke photo ke form me store nahi hota hai . Yah encrypted form me hota hai jo sirf aur sirf aapko hi dikhayi dega .
Fir bhi technology ke duniya me kuch Hackers hote hain jo sabhi chizo ko hack karne me lage huye hain . Lekin Anti-Hackers bhi data ko adhik secure banane me bhi din raat mehnat kar rahe hain.
Related: SAR Value Kya hota hai?
Dosto, Ummid hai apko samajh me aa gya hoga ki Encryption Kya Hai(क्या है) ? & Public Key Encryption System Kaise kaam karta hai. Aaj ke samay me Mobile PIN, Password, Computer Drive Se Lekar Cloud Storage tak ke sabhi Cheezo ko Encryption Techonology Ka use Kiya jata hai Secure Rakhane ke liye. Important Data, Message Ko Hackers se Bachane ke liye.
site says
Thanks, this site is really handy.
Adarsh soni says
Bhai jab main apne computer mein koi application software install karta hun to voh encrypt karne lagta hai aur ek smart card ka password magta hai mai kya karun?
Shailesh Chaudhary says
Adarsh ji apke Computer me Kaun sa OS Installed hai
Sandeep says
Sir Maine apne mobile per kuch photos ko encrypt kr diya h ab mujhe use vapas decrypt krn h kya karun please batao
Shailesh Chaudhary says
Sandeep Ji apne Jis Tarike se Encrypt Kiya hai, Aap Usi Decrypt kar sakte hai
Manish says
bhai apne ek alfabate example diyaa hai ki ek alfabate piche karne se hamara msg thik hua wese hi jab hum msg ko encryption me send karte h to sending time kyaa hamre elfabate change rahte hai
Shailesh Chaudhary says
manish ji Agar aap Message Send karne ke Liye Encryption ka use karte hai, to apka pura msg Hexa Decimal Code , ASCII Jaise Code me Convert ho jata hai
Hemant says
Sir or madam encryption ko kaise set karenge
Shailesh Chaudhary says
Hemant ji apo Encryption kaha Use karna hai
kanha sahu says
Encrypt internal sd card ko deactivate kese kare
Shailesh Chaudhary says
Kanha ji Format kar dijiye Jo Bhi Encrypted Data hoga Delete ho jayega
JD says
Sir mere samsung mobile par sd card encryption notification screen par aata hai kyu
aur iska salution kya hai
Shailesh Chaudhary says
JD ji aap Use kisi Paid Antivirus se Scan karke Format kar do sahi ho jayega
Amit roshan says
Sir mera ek massage encryption ho gya hai aur password mang raha hai ky karu….
Shailesh Chaudhary says
Amit ji Message ko aap tabhi Decrypt karne ke apke pass wahi password chahiye jisse apne Encrypt kiya hai
Ashutosh Rastogi says
Sir ji Mera phone encrypted phone dikha raha Hai muje yeh Janna Tha ki isse dikkhat koi nahi aati
Shailesh Chaudhary says
Rastogi ji isse koi Problem nahi hai
Amit says
Me apna password bhul gya hu to me kya karu