Mobile Processors : Qualcomm Snapdragon Vs MediaTek Processors ? [Hindi]
Hi Dosto ! Maine last article me aap logo ko Laptop Processor Comparison ke bare me bataya tha . Fir maine socha ki kyu na Phone Processors / Mobile Processors ke bare me bhi btaya jai .
Kyuki 70% log Laptop se jyada Smartphone use kar rhe hain. Aur Bahut se logo ke man me ye confusion rhta hai ki kon sa phone processor badhiya rhta hain .
Aajkal market me aapko 2 type ke phone processors dekhne ko milte hain – 1st jo hai wo aata hai Qualcomm ke Snapdragon Processors & 2ndAata hai Mediatek Ke Helio , MT , Mali Processors .
Aur logo ke mn me jo doubt rhta hai wo hai ki kya snapdragon processors ache hote hain ya mediatek ke processers ache hote hain. Agar aapke man me bhi yah doubt hai toh mai iss post me aapke doubt clear kar dunga .
Qualcomm Snapdragon Processors vs Mediatek Processors Comparison :
Dosto hum comparison start karne se phle 2 facts par najar daalte hain
# Fact 1. Mediatek Ke Comparison me Qualcomm Company Bahut hi Purani Company Hai . Mediatek se Bahut Badi Company Hai . Aur Globally smartphone processors ke term me baat kare toh Rank me number 1 aati hai yah Qualcomm company . Aur pichle bahut saalo se Qualcomm Company Mobile Processors banate ja rahi hai .
#Fact 2. Lekin dosto 2ndfact ya bhi hai ki Mediatek South Asia me Qualcomm se thoda aage hai . Aur bahut jayda chances hai ki aap jis phone se yah article padh rahe ho usme bhi Mediatek ka hi processor laga hua ho .
Toh dosto ye dono hi fact Mobile processors ke comparison ko thoda sa tough bana deti hai . Fir bhi hum inn dono phone processors ke bich me comparison start karte hain aur confusion ko dur karte hai .
Agar aap last wala article padha hai toh maine usme AMD vs Intel Processors ka Comparison kiya tha . Jisme aapne padha hoga ki Intel ke processors , AMD processors ke comparison me kahi jyada aage hain . Thik ussi tarah se Qualcomm ka Snapdragon Processor , Mediatek ke kisi bhi processor se aage hai .
Toh thik ussi tarah aap man lijiye ki Qualcomm hai Intel aur Mediatek hai AMD . Aur jo dono ke bich ka result hoga wo bhi similar hoga .
Agar aap Budget Range ka phone lena chahte hain yani 7000 INR -12000 INR tak . Toh aise me aap smartphone lenge jisme Mediatek processor laga hua hai tb aapko “Value for Money” wali satisfaction milegi . Matlab ki saste phones me mediatek processors chal sakte hain . Aapko achhi performance bhi milegi .
Aur agar aap 12000 se upar 15000 , 20000 ,25000 ,50000 INR tak ke smartphone lete hain toh aapko Qualcomm ke hi processors wale phone ko hi prefer karna chahiye. Itne costly phones me Mediatek ke processors shayad hi dekhne ko mile. Aur milta bhi hai toh uss phone ko nahi lena chahiye.
#Price : Dosto isska simple fact ye hai ki Qualcomm ke processors , Mediatek ke processors se thoda sa expansiveyani ki costly hota hai . Agar ek Mediatek ka sbse costly processor hai wo Qualcomm ke mid range Price wale processor ke takkar me hi rhega . Iska matlab hai ki Qualcomm ke processors 200% powerful hote hain .
Lekin agar budget phone ki baat karte hain toh Qualcomm ke pass processors ke itne variant nahi hai jo hai wo thode costly hi padte hain. Isliye saste smartphones me Mediatek processors hi jyada popular hai.
Aap Mediatek ke processors Micromax, Lenovo, Xiaomi, Gionee, Vivo jaise smartphones me aasani se dekh pate honge. Lekin Qualcomm ke processors Microsoft jaise High End Devices me milta hai .
Qualcomm Ke R&D ki baat kare toh Qualcomm apne Processors ke Design , Performance par bahut hi jyada dhyan deta hai . Apne se bahut hi jyada improve karte hain. Jabki Mediatek wale copy karte hai aur inke me jyada improvement bhi nahi milta.
Mediatek Processors me aapne jitne bhi variants dekhe hai jaise Cortex , HelioX . Toh inn sbme koi difference nahi hota hai . Bss ye core ke numbers km ya jyada kar dete hain . Jaise Octa core , Quad Core , Hexa core , Deca Core etc . Aur frequency ko bhi badha ke dikhata hai . Ki logo ko ye pta chale ki iss phone ke processor ka clock speed toh 2.5 Ghz hai .
Lekin Qualcomm apne processors ko banane me samjhdaari se kaam karta hai jisse uski performance toh bane hi bane aur sath hi sath phone ki battery life bhi achhi bani rhe aur Heating par bhi jyada asar na pade .
Lekin Mediatek Processors me Heating Issue bhi jyada hota hai aur Battery life utni achhi nahi de pata hai. Kyuki wo log bass dikhate hai ki Hexa core, Deca core , Octa core etc aur log bass specifications padhke khush ho jate hai. Are wah isme toh Hexa core diya hai . Bhle hi Core ka matlab aur kaam na pata ho .
Lekin haa agar hum saste phones jaise Meizu ka M2 note , Coolpad Note 3 , Le eco ka le1s ki baat kare toh isme Mediatek ke processors reliable hai. Lekin abhi haal hi me Redmi note 3 ke indian version me Snapdragon processor ( Snapdragon 650 ) laga hua hai . jo inn sabhi processors ka baap hai .
Toh sidhe shabdo me agar kahe toh agar aap saste phone le rhe hai. Toh aapke liye MediaTek processors ka option better hai. Lekin aapka budget thoda sa badh jata hai toh Aap Qualcomm ke processors ko hi prefer kare, toh jyada achha rahega.
Must Read – Smartphone CPU(Central Processing Unit) Vs GPU(Graphics Processing Unit)
तो दोस्तों काफी सिंपल comparison था मोबाइल processors Qualcomm & Mediatek Processors के बीच में . उम्मीद है की आपके डाउट क्लियर हो गए होंगे . और फिर भी आपको कुछ पूछना है तो आप कमेंट करके बता सकते हैं .
Satish Kushwaha says
Yutopia achha option nahi hai..aap latest phone me choose kare
बेनामी says
kya yutopia achcha phone ha
md ali says
Comment:satish bhai main bhaht dinse confusion me tha smart phone kounsa lu jaise aapki techyukti me dekha aise aise informtn likhe hai mere sare cnfusion dur huwe bhaht knwldge mila thanks bhai
Satish Kushwaha says
Ali Ji..Techyukti par aane ke liye aapka bahut bahut dhanyawaad…!!
nishant kumar says
hi
Arun says
Bhai ye batae ki mera phone micromax canvas mega e353 h isme jio sim chal jayega ye mideatek processor h
Shailesh Chaudhary says
Arun ji Chal jayega,
aadi shardul says
aap kisi bhi processor ka phone lijiye..par ye dekh lijiye ki processor ki ARM kya hai..aur uski speed kya hai…usme kitne nano mtr diods used huye hai……….agar qualcomm ka processor hai to vo accha …mediatek hai to bura aisa kuch nahi hai
Shailesh Chaudhary says
aadi ji Thanks.
dev kumar says
Mera snapdragon proc h esme jio ka sim kam karega ya nhi
Shailesh Chaudhary says
dev ji agar apka Phone 4G hai to Jio SIM kam karega
nishant kumar says
snapdragon 430 aur snapdragon 650 m kya difference h??
Satish Kushwaha says
nishant ji dono me GPU aur LTE ka difference
nishant kumar says
but dono m better kon h
Satish Kushwaha says
Nishant ji Snapdragon 650
Jayant Raj says
Sabse better snapdragon processor hota hai.
nishant kumar says
kyo ki m lenovo k6 or mi note 3 me we koi Lena chahta hu kya aap suggest krenge?
Shailesh Chaudhary says
mi note 3
Amit says
Nishant ji Jo processor is samay h unme kon sa acha processor h jaise snapdragon,exonyous,ya media Tek hellio.
lakshay says
yeh batao mere micromax q382 main jio 4g chal jaye
Satish Kushwaha says
Agar 4G Hai toh hi Chal payega
nishant kumar says
ye btaiye smartphone m ram or processer ka kya kam hota h??
nishant kumar says
nhi pta kya!!
Rahul Kumar Paswan says
Hi sir mera nam rahul hai aur mere pas ek Panasonic eluga switch mobile hai aur mera problem hai ki mera mobile me jio sim ka tower nahi aa raha hai jabki mera phone LTE supported hai phir bhi towar nahi aa raha hai aur mera phone ka age sirf 8 months huye hai please iska solution bataye.
Shailesh Chaudhary says
Rahul ji aap apne Mobile 4G Data ON kijiye. Tab apke Phone me Network ayega.
Rajesh kumar says
Sir, mera budget Rs 12000 hai. to range me mujhe kon sa phone lena chahiye…..please reply
Shailesh Chaudhary says
Rajesh ji aap Redmi note 3 3GB RAM aur 32GB internal wala Smartphone le sakte hai. Ye phone apke liye Perfect rahega
Bovy says
Bhai ji. Mera mobile me mediatek procesr hai or 3g hai app kuchh aesa bataiye ki mere 3g phone me 4g sim card kaise chalega maine apne ass pados me dekha ki 3g ke phone me 4g seem chl padi wo kaise bhai ji kya 3g phone me 4g seem chll sakti hai
Please bhai ji .
Bovy says
Bhai ji mera phon Micromax ka Unite 3 q 372 he or mediatek processor pr run karta hai or mobile 3g hai mere phone me kya jio ka seem chalega pls bhai ji replay
8894420307 meta whts app nu.hai pls bhai ji muje apki bahuuut jarury hai pls help me
Bovy says
Bhai ji batao kuchh
Shailesh Chaudhary says
Bovy ji Jio SIM chalega But pahle Phone ko Root karna padega. Uske bad is Link par jaker Trick use kare
how to use Jio SIM in 3G Phone
sonu rana says
bhai ji ek bat batao ki ham 3g phone ko 4g me bdl skte hai kya badl skte hai to kaise plz….jldi btana bro
Satish Kushwaha says
Sonu ji Phone ko Root karke chalega.
Sonu Rana says
OK bhai g but root kaise hoga mera phone
intex aqua life lll hai Esme root kaise hoga or 4g chl jyga kya root hokr
Prashant says
Namaskar sir, mere pass hp ka g4 pavilion notebook laptop hai jisme ek samasya aa rahi hai mein jab bhi koi cheej install ya delete karta hun to usme user ki permission maangta hai to usme se “yes” ka button nahi aa rha hai matlab likha to aa rha hai lekin wo ubhar hua nahi hai jispe click nahi ho rha hai usme windows 7 professional dali hui hai…. Pl tell me the better solution
Shailesh Chaudhary says
prashant ji aap apne Laptop ke Control panel me jaker Administrator permission Off kar dijiye. Ya fir aap Administrator user se laptop me login kijiye
rehan says
coolpad note 5 mobile accha hai ya nahi plz…. answer
Satish Kushwaha says
rehan ji accha hai
Gureswar says
Sirji Kaunsa phone achha hai xolo era x1 ya phir LAVA A76 4G
Shailesh Chaudhary says
AUreswar ji aap Dono me so koi Bhi Phone le sakte hai. Dono hi apne Price range ke hisab se aache hai.
Gureswar says
Sirji mera 3g iball slide tablet hang horaha hai jab bhi data on karte hai. Factory reset karneke babjud hang problem ab bhi hai. Sir thoda upay bataiye.
akshay patel says
Kya leeco le 2 mobile best hai
Shailesh Chaudhary says
Akshay Ji aap Isse accha Redmo Note 3 ya Lenovo K6 Power le sakte hai. Ye dono phone LeEco se bahut aaccha hai
Arvind says
mere pasa micromax canvas A120 he jio aim chl jaye ga ya nahi
Riz says
mere ps asus zenfone 5 T00j h kya is mbl m
jio k sim chal jyega ki n mera 3g fone h ….or mera Intel core prosscer
Shailesh Chaudhary says
Riz ji chal sakta hai , iske liye aap Phone ko root karo uske bad ye trick use karo Reliance Jio SIM ko 3G Phone Me Kaise Use Kare
chunilal says
Asus Zenfone max 3 ya Lenovo k6 note dono me se best konsa h
Shailesh Chaudhary says
Lenovo K6 Note Kyoki isme apko Snapdragon Ka Processor Milega jo ki Phone Performance aur Battery ke liye bahut accha hota hai. Uske Bad Camera Bhi Accha K6 ka Max 3 se
Rajesh Ranjan says
Bhai mai ek mobile phone lena chahta hu, maine 2 phone dekhe h,,,
1. Redmi mi note 3
2.Moto G play 4th gene^
Ye dono phone mujhe psnd h bt processed ke hisab se hisab se kon sa acha hoga, Apna opinion bataye ??
Shailesh Chaudhary says
Rajesh ji agar Performance ke Hisab se Dekha jaye to Redmo Note 3 sabse best hai. Ya Fir agar aap kuch aur Wait kar Le 20 Jan 2017 tak Redmi Note 4 India me Launch Hone wala aap use le sakte hai
Gaurav Marwaha says
20,000 ki range me subse accha laptop konsa hai?
Shailesh Chaudhary says
Gaurav ji aap Yaha se check kar sakte Best laptop under 20000
md irfan says
hello sir mai 13000 tak ka phone lena chahta hu 2017 mai konsa phone best hoga pls jarur batayega
Shailesh Chaudhary says
Lenovo Zuk Z1 aap le sakte hai. Isme apko 3GB RAM 64GB Internal ke sath Snapdragon 801 Processor bhi mil jayega
navneet soni says
mera phone samsung core2 ha mai isme custom rom install kr rha tha lekin phone boot process ni ho rha h or samsung likha kr ruk ja ra h iska solvution btao pls
kamran khan says
Sir moto g4 plus lena kaisa rahega
ya isse better koi option bataye
Satish Kushwaha says
Yah phone bhi achha hai ya aap Lenovo Zuk Z1 le sakte hain
Vamshi says
Thanks for that information
Shailesh Chaudhary says
Vamshi Ji Dhanyawad
AJAY RAJ says
Nice review…
Redmi note3 vs gionee s6s ka review ho ya review link ho to mujhe email kare…please
Matiul Haque khan says
Agar mere ek phone me mediatek 6750 ka chip set h aur mere dost Ke phone me snapdragon 410 ka chip set h to kinda better h
Aur kyun better h plz mujhe email Karen
Khanmati611@gmail.com
Shailesh Chaudhary says
Matiul ji Mediatek 6750 Processor Thoda sa Better hai Snapdragon 410 Se Agar Specification check kiya jaye.
Jaise ki Mediatek 6750 me Octa core ARM 53 ke 2 cluster (1.5GHz aur 1.0 GHz) milate hai, Jabki 410 me Quad Core 4xARM 53 core milte hai. Aur bhi aise bahut se Specification hai Jinhe aap Link par click karke Check kar sakte hai.
Mediatek 6750 Processor aur Snapdragon 410
avinash says
Sir ji vivo v5 acha he ya redmi note 4 plz option dijiye
Satish Kushwaha says
Redmi Note 4
ramzan says
Sir ji, 20000 tak sabse achha mobile kona hai?? Please batao. Performance and sensors.. Add d screen clarity wise
Shailesh Chaudhary says
Lenovo P2 , Redmi Note 4 (4GB RAM) , Moto G5,
nasir bhai says
Sir ji mi note 4.64gbrom.4gbram.aur lenovo k8 note 64gb internal memory main kaun sa mobile lena chahiye.
Shailesh Chaudhary says
Redmi Note 4
Atul koushik says
Shailesh g mine aapki saari information & comments padhe Very effective sir ! & I also became ur fan seriously & I also want to buy my first android smartphone in rang – 11-12-13000 so plz suggest me best latest Qualcomm’s processor, ram Wala best phone plzzz sir MSC me 1st % par parents muskil se Raji hue h plzzz sir
Shailesh Chaudhary says
Atul Ji Thanks, 13000 Rupaye tak Smartphone Lene ke Liye apke pass Bahut se Option Hai, App Redmi Note 4 4GB Variant Le sakte hai, ya Fir Agar aap 1000 aur Add kar de to Redmi Mi A1 le sakte hai, Iske sath Lenovo K8 Note Ya K8 Plus Le sakte hai But Isme Snapdragon Processor Nahi Milega
Atul kaushik says
Shailesh g jesa aapne btaya ki snapdragon processer best h to in 5 phone me se konsa best rhega but version 6.0 h kya 7. hona jaruri h kya plz bataye -1. coolpad cool 1(4/64gb), 2.lenovo z2 plus zuk z2 (4/64gb),
3.lenovo p2 (3/32gb),
4.coolpad note 5 (4/32gb)
5.redmi note 4. Sir g compair kr k seriously mujhe btayen plzz
Shailesh Chaudhary says
Redmi Note 4 ka Performance Sabse best hai aur Isme apko 7.0 Ka Update bhi milega
Rakesh Patel says
Honor 7x Lena chaye Ki nahi
Satish Kushwaha says
15 tk ke budget me Honor 7x, Mi A1 best hai
Atul kaushik says
Sir g coolpad brand trustable h kya ya moto ya Samsung or lenovo plz tell me sir
Shailesh Chaudhary says
Coolpad bhi accha Brand Hai, Yah Lenovo, moto aur samsung jitna Popular nahi hai. Lekin Phone Unke jaisa Hi banata hai
Atul kaushik says
A lot of Thanks for guidence shailesh sir g
Shailesh Chaudhary says
thanks
Atul kaushik says
Sir g aapko to pata hi h flipcart ka billion capture + launch ho rha h ye redmi not 4 se better h kya aap plz compair kr k bataiye n (13000/- )
Shailesh Chaudhary says
Atul Ji Jaldi hi iska Review Karne wala hu
Md Alam Khan says
Hello Sir, Mujhe ek baat jaan na hai.. Ki meditake ke compression snapdragon ka proccesor agar achcha hota hai… To fir Vivo & Oppo to hamesa se meditake use karta hai aur Samsung snapdragon.. To fir kyou hamesa Samsung ka phone hang hota hai.. Vivo Oppo nahi…
akash says
sir me mi note 4 ya lenovo k8 note me se kon sa mobile lu sir
Satish Kushwaha says
note 4
Muhammad Sameer Khan says
Which processor is best for Mobile 2020-2021? | Which is the No 1 processor for mobile? | Is Qualcomm better than Snapdragon?