Hello dosto, Kaise hain aap sab?, I hope fine. Aaj main aapko Iss post me Windows Device Recovery Tool ki help se Windows Phones ko recover, restore or reset karne ke bare me bataunga.
Jaisa ki hum sab jante hain Nokia ko Microsoft ne kharid liya tha aur ab Nokia ko Microsoft ke hi naam se jana jata hai. Agar aapka mobile kisi software related issue ki vajeh se kaam karna band kar deta hai ya respond karna band kar deta hai to aap usse Service Center me hi leke jate hain, lekin aaj is post ki help se aap apne mobile ke software related issue ko Ghar pe hi kuch hi der me thik kar lenge. Isse aapka time aur shayad rupye bhi bach jayein. Nokia ki kisi bhi software related issue ko thik karne ke liye Windows Device Recovey Tool ka use kiya jata hai, Ye tool Microsoft ki website pe bhi available hai, lekin aap ise niche diye gaye link se bhi download kar sakte hain.

Jaisa ki hum sab jante hain Nokia ko Microsoft ne kharid liya tha aur ab Nokia ko Microsoft ke hi naam se jana jata hai. Agar aapka mobile kisi software related issue ki vajeh se kaam karna band kar deta hai ya respond karna band kar deta hai to aap usse Service Center me hi leke jate hain, lekin aaj is post ki help se aap apne mobile ke software related issue ko Ghar pe hi kuch hi der me thik kar lenge. Isse aapka time aur shayad rupye bhi bach jayein. Nokia ki kisi bhi software related issue ko thik karne ke liye Windows Device Recovey Tool ka use kiya jata hai, Ye tool Microsoft ki website pe bhi available hai, lekin aap ise niche diye gaye link se bhi download kar sakte hain.
Agar aapke Phone me koi software update problem hai, ya aapke mobile ne respond karna band kar diya hai, hang ho gaya hai ya fir Switch on nahi ho raha hai to Aap is tool ki help se apne WIndows mobile ke OS ko flash karke restore kar sakte hain. Is post me aapko step by step Windows Device Recovery tool ko use karne ka procedure bataya jayega. Toh iske liye aapko kuch chizo ki jarurat padegi :
Things you require :
#1.PC or Laptop,jismein Windows 7/8/10 Operating System ho.
#2.Ek USB cable(Data Cable), jisse aap apna mobile computer se connect kar sakein.
#3.Kam se kam 4 GB Ki free storage space.
#4.Working Internet connection on your Computer.
Iss Software ki help se kya kya kar skte hain:-
1. Agar aapka phone update krte samay corrupt ho jata hai toh iss software ki help se phone ko recovery kar skte hain.
2. Koi naya software update karne ke liye.
3.Recovery karne ke liye.
4. Format Karne ke liye.
5. Hard Reset karne ke liye.
Windows Phone ko Hard Reset karne ke liye steps
(Lumia phones, LG Lancet, HTC One, and HTC 8X phones running Windows Phone 8.0/8.1 or Windows 10 Ke Liye)
Step 1:-Sabse pehle Yahan se Windows Device Recovery tool ko Download karein. Make sure, apke mobile ki battery full hoy a 70% charge ho.
Step 2:-Software ke Successfull download ke baad usse Install karein. Software ko download hone me thoda time lag skta hai. Kyuki wo aapke net speed par depend krta hai.
Step 3:-Ab apne PC pe, Windows Device Recovery tool ko launch karein.
Step 4:-Ab apne mobile ko USB cable se PC me connect karein, aake mobile par ek prompt appear hoga, usmein ”Nokia suite or Modem” USB mode select karein.
NOTE:Reset karne se aapke mobile ka sara data erase ho jayega, isliye ho sake to Apne data ka Bckup bana lein.
Step 5:-Tool par diye gaye aage ke instructions ko follow karein.
Is process ke completion me kuch time lag sakta hai, process completion time aapke internet ki speed pe depend hogi.
Thanx for visiting, stay tuned for more updates.
Ankit Jha says
Kaafi achhe tricks hai aapke blog pe, Aapke per day pageviews kitne hote hai
Satish Kushwaha says
Thanks Ankit … Aap email par contact kijiye … [email protected]
manoj says
bhai mo. on nahi ho raha h vaibrat ho raha h keya karu bhai
Shailesh Chaudhary says
manoj ji aap Use Service Center Check Karao
david rajpoot says
Phone ko update Karne main kit a time lagta hai
Shailesh Chaudhary says
David ji 10-30 min
anil kumar says
thnaks……..bhai
Amit Kumar Sharma says
Mera WhatsApp install nhi ho raha h aur Mai pura phone format karke window 10 install karna chahta Hu kaise karu?iss samay w10 hi hai
Please Bataye
Shailesh Chaudhary says
apke phone me Windows 10 ka Update aaya hoga. Aap Setting me jakeer System Update Check kar sakte hai. Waha se aap apne Phone ko update kar sakte hai
Amit Kumar Sharma says
Bade bhaiyya
Kya windows phone ko android me badal sakte hai
Agar kuchh upay h to please bataye
Shailesh Chaudhary says
Amit ji aap Windows Phone ko Android me nahi badal sakte hai
AMIT KUMAR SHARMA says
Bade bhaiyya
Mere kahne ka matlab ye h ki windows 10 update h
Mai ise windows 8.1 karna chata Hu phir windows 10 install karna chahta Hu
Please reply me
Abhishek chahar says
Bhai ye window 8 phone h isme pahle maine xp window upgred ki thi uske baad window10 ki h ab mujhe bapas window 8 k liye kiya karna padega
dipak says
Mere mobail me games software chal nahi rahe he
Shailesh Chaudhary says
Dipak ji koi Message Show kar raha hai, Kya Agar kar raha hai. to us Message ke bare me batao
kapil says
Mera phone Lumia 920 wifi ke network nahi pakad pata me kiya karu
Satish Kushwaha says
Kapil ji kya Problem Message box me Show kar rha hai. wifi connect karte samay
kapil says
Nahi mobile bhi rest kar Diya ab koi bhi file download nahi Ho rahi
manoj says
sir mara lumiya 535 on nahi ho raha h keya karu vaiberat ho raha h on nahi
Upendra kumar says
Mere pas Lumia 1320 hai jo ek din me 3/4bar hang ho jata hai please give me koi tips
Shailesh Chaudhary says
upendra ji aap is tips se use reset kar do sahi ho jayega
Muzaffar husain says
Mere phone me charging ka problem h.mera Lumia 535 h.reset krne k bad 2-4 din thik chalta h fir your device is charging slowly likhta h.aur bht der lagta h charge hone me koi update bataiye bhaiyya jisse 1 ghante me full charge ho jaye pahle ki tarah.maine cable v change krke dekh liya
Satish Kushwaha says
Husian ji Microsoft ne Windows Phone ke saare Support Band kar diye hai. Ab apko phone waise hi Use karna padega.
lucky says
Window device recovery tool phone m install krna h ya laptop m
Shailesh Chaudhary says
Laptop me Install karna hai
usman says
Mera HTC windows 8 update karna h kese kre sir
Shailesh Chaudhary says
Usman Ji Windows ne Mobile ke Liye apna Sabhi Update band kar diya hai. Iske Liye aap HTC Forum me Question kare shayad waha se apko koi Solution Mil jaye
Ranjit says
Bhaiya mere windows mobile ka lock todna hai
Shailesh Chaudhary says
Ranjit ji agar reset ho jaye to
jyoti biwal says
Mere nokia510 mobile m live id support nhi kr rhi reset bi kr liya kya kru
Shailesh Chaudhary says
Shayad Ye Windows Update ki wajah se Ho rha hai aap aisa Karo Laptop me Live par Login karo uske bad App me try karo
sushannt says
Mere window phone me ms account kya he mughe new account kease karu
Shailesh Chaudhary says
Windows phone me outlook account hota hai aap Use create kare
maneet says
Mere latest Microsoft Lumia 640 XL hai latest update aane band ho chuke hain…microsoft edge mein pdf open nhi ho rhi….
Kya mera phone android mein convert ho Sakta hai
Satish Kushwaha says
Nahi android me nhi convert hoga
minakshee says
Sir mera window phone Nokia ke sare apps support Ni Kr re kya kru
Niraj says
Sir ab windows me whatspp use ni kr payenge
Shailesh Chaudhary says
Kaun saa Phone hain