TechYukti Technology in Hindi

  • Start a Blog
  • Make money
  • YouTube Tips
  • Reviews
    • App
    • Software
    • Phone Reviews
  • Tips & Tricks
    • Android
    • PC Tricks
    • Internet




Android Phone Ke Liye Custom ROM Kaha Se Download Kare

लेखक: Satish Kushwahaश्रेणी: Custom ROMपढ़ने का समय: 15 मिनट

Hi Friends ! Agar aap apne Android Phone ko Lolliop se Marshmallow ya Android Ke Latest Version me Upgradekarna chahte hain toh aapko Jarur Custom ROM ki jarurat padegi. Ab ye Custom ROM ka Naam aapne jarur suna hoga. Bahut se friends ko Custom ROM ka asli meaning me bahut confusion tha. Aur bahuto ne mujhe Facebook par message kiya ki Mere Mobile ke Custom ROM nhi mil rha hai. Yah post khas-taur par unhi ke liye likh rha hu jinko Custom ROM Download karne me Problem ho rahi.

Maine pichle Articles me aapko Custom ROM ko Install karne ke liye sabhi steps ko btaya hai. Toh aap Custom ROM Download karne ke baad un articles ko Follow karke apne phone ko Latest Android Version me Update kar sakte hain. Uske liye aapko niche diye gye articles ke links bahut hi helpful rhega. Custom ROM ko Install karne se phle aapko upar bataye gaye sabhi posts ko dhyan se padhna hoga.

Custom ROM Kya Hai Aur Yah Kyu Install Karna Chahiye?

Contents

  • 1 Custom ROM Kya Hai Aur Yah Kyu Install Karna Chahiye?
  • 2 Custom ROM Kaha se Download Kare?
    • 2.1 Custom ROM ko Download Karne se Phle Dhyan De-
  • 3 How To Install Custom ROM:-
    • 3.1 #1. Root:
    • 3.2 #2. Flash Custom Recovey:
    • 3.3 #3. Custom ROM ke Zip File Phone Storage me Transfer Kar Dijiye:-

Agar aapke man me abhi bhi yah sawal hai ki Custom ROM kya hai ? Isko Install karne se kya fayda hoga. Yah achha question hai. Kyuki bina kisi fayde ke hume kisi kam me time waste nahi karna chahiye.

Custom ROM Android ka hi ek aisa version hota hai jo kisi Third-Party ke dwara customize karke banaya jata hai. Iska simple sa meaning yah hai ki Jab Google jis Android ko bna kar deta hai usko hum Stock ROM kahte hain. Lekin fir usi Stock ROM ko dusre Android Developers dwara kuch changes kar diye jate hain, Usko Custom ROM khte hain. Isse aapke Phone ka Performance, Battery Life, Interface Look improve ho jata hai.

Ab Google Sabhi Phone Models ke liye Stock ROM toh bana nahi pati. Isliye third-party jab bhi koi update aata hai uska custom ROM ready kar deta hai aur almost sabhi devices ke liye available kar deta hai.

Custom ROM me thoda sa risk hai ki aapke Phone ki warranty khatam ho jati hai. Aur kabhi kabhi aapka phone kisi particular Custom ROM ko support nahi karta hai toh Koi-Koi Hardware jaise Camera, Speaker etc kaam nahi karta hai. Lekin agar aisa hota hai toh aap purane wale version me back ja sakte hain.

Custom ROM Kaha se Download Kare?

Chaliye ab dekhte hain ki aap Apne Android Phone ke Kisi bhi model ke liye Custom ROM kaha se search karenge aur download karenge.

Custom Rom Download
Source:redmondpie

Internet par aapko sabkuch milta hai. Yaha par bahur aise jagah jaha se aap Android Phone ke liye custom ROM download kar sakte hain. Agar sbse phle mai baat karu toh CyanogenMod jarur try kare.

Kyuki CynogenMod ki team sabhi tarah ke Android Phones ke Latest Custom ROM Develop karti hai. Aur yah kaafi reputed bhi hai. Yaha par aapke phone ke liye Custom ROM  milne ka bahut chance hai.

CyanogenMod ke ROMs Phone keperformance ke improvement par dhyan dete hain. Aur sath sath Battery life,  Interface par bhi dhyan deta hai.

Aur agar iske baad bhi aap apne Phone ke liye Custom ROM nahi pa pate hai toh fir aapko Dusre number par XDA-Developers Forum website par toh mil hi jayega. Yah ek Online Andorid Developers ki Community hai jo Android Development par work karti hai. Yaha par aapko Almost sabhi tarah ke Andorid Devices ke Custom ROM easily mil jayenge.

Custom ROM ko Download Karne se Phle Dhyan De-

Agar aapke phone ke liye Custom ROM mil chukka hai toh usko download karne se phle niche btaye gye baato ko jarur dhyan rakhe-

  •  Developer dwara ye Claim hona chahiye ki wo ROM kisi testing phase me nahi hai. Matlab ki yah 100% work karta hai.
  • Full Hardware Support karta hai ya nahi.
  • Jo Log iss ROM ko Use kar chuke hain unka Response achha hona chahiye. Aap Reviews bhi check kar sakte hain.
  • Agar kisi ROM ke bare me jyada kuch detail nahi mil rha hai toh aap uss ROM ko mat download  kijiye.

Upar batayi gayi baate agar aapke ROM ko satisfy karti hai toh hi aap uss Custom ROM ko download kare.

How To Install Custom ROM:-

Ab agar aapne apne phone ke liye Custom ROM download kar liya hai toh usko install karne ki jarurat hai. Uske liye aapko ek sahi process ko follow karna padta hai.

#1. Root:

Sbse phle toh aapko Phone ko Root karna padega. Root karne ke liye aap Computer ya App ki help le sakte hain. Agar aapko Root ke bare detail jankari chahiye to iss post ko padh sakte hain:–

#2. Flash Custom Recovey:

Ab aapke Phone ke booting mode ko flash karna padta hai. Flashing ke liye 2 method aate hain.

#1- TWRP
#2- ClockworkMod

Flash karne ke liye aap iss article ki help le sakte hain-

  • Andorid Phone ko Flash Karte hain?

#3. Custom ROM ke Zip File Phone Storage me Transfer Kar Dijiye:-

Agar aapne Computer se Custom ROM ko download kiya hai to usko apne phone me transfer kar lijiye. Kyuki installing ke time par aapko Zip File ka path dena padta hai.

#4. Switch off Karne ke baad Volume Down ya Up button ke sath Power button ek sath press kijiye. Fir ek booting mode open hoga. Jisme aapko  alag alag menu diye honge. Iske full detail ke liye niche diye gaye article ko dhyan se padhiye.

तो दोस्तों इस पोस्ट में आपने पढ़ा की कैसे आप अपने फ़ोन के लिए कस्टम ROM डाउनलोड करेंगे. उम्मीद है की आपको यह पोस्ट पसंद आया होगा. अगर आपको कोई भी समस्या हो रही हो तो आप मुझे कमेंट करके बता सकते है . आप फेसबुक पेज पर मेसेज कर सकते हैं. और इस ब्लॉग का न्यूज़ लेटर सब्सक्राइब कर लीजिये जिससे आपको नए पोस्ट आपके इनबॉक्स में मिल जायेंगे.

टैग: Custom ROM Custom ROM Download custom rom hindi How to

शेयर
  • Facebook
  • Twitter
  • Pin It
  • Email
  • LinkedIn
  • WhatsApp

About the Author

Entreprenuer |Content Creator | YouTuber | Blogger | Engineer by Education

Reader Interactions

Comments

  1. deep's says

    November 3, 2016 at 10:39 pm

    Vapas puruna verizon me back jana he to kese jaye

    Reply
  2. deep's says

    November 3, 2016 at 10:40 pm

    Custom ROM kaise remove kare

    Reply
  3. Aftab apam says

    December 1, 2016 at 6:44 pm

    Hello sir agar mai marshmalo custom rom me flash karunga to mera mobile kharab hone ka chance nhi to hoga
    please sir bataiye

    Reply
    • Shailesh Chaudhary says

      December 1, 2016 at 6:46 pm

      Aftab ji hota hai. Isliye aap pahle se apne Mobile ka Backup aur IMEI Number Save kar le. Uske bad Flash kare

      Reply
  4. Aftab apam says

    December 1, 2016 at 7:04 pm

    mobile ka backup kaha se liya jata hai
    Please sir bataiye

    Reply
  5. pranay says

    December 21, 2016 at 10:28 pm

    Custom rom remove kese kare?
    Panasonic p55 novo

    Reply
  6. Rohit says

    January 13, 2017 at 8:34 am

    sir ..
    xolo a600 ko update karna cahata hu. jaisa aapne bataya. besa he kiya. lakin xolo a600 ka kitkat or lollipop versions ka custom ROM (xda or cyanogenmod) pe nahi mil RHA hai. mujhe bataye kya karu.

    Reply
    • Shailesh Chaudhary says

      January 13, 2017 at 11:40 am

      rohit ji aap is Phone ko Update nahi kar sakte hai. Kyoki Isme Keval 4GB ka Internal Storage hai aur aise Koi ROM nahi hai jo Isme Install ho jayega. Agar aap Galti se Install karte hai to apka Phone Dead bhi Ho sakta hai

      Reply
  7. 13eveex007 says

    February 13, 2017 at 3:31 pm

    samsung mobile ki recovery kese download kare

    Reply
    • Shailesh Chaudhary says

      February 13, 2017 at 10:06 pm

      Iske Liye aap TWRP Reocvery Install kare

      Reply
  8. deep's parmar says

    March 4, 2017 at 12:23 pm

    Vapas custom rom se back kese jaye???
    Kitni baar puchha ????

    Reply
    • Shailesh Chaudhary says

      March 4, 2017 at 1:30 pm

      Custom ROM me Back Jane ke liye fir se Custom Rom Install Karna padega.

      Reply
  9. ash says

    November 8, 2017 at 5:50 pm

    sir lava flair E3 ke liye lolipop zip file bataye

    Reply
    • Shailesh Chaudhary says

      November 9, 2017 at 1:33 am

      xda developer pr check karo mil jayega

      Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

लेटेस्ट वाले

PikaShow TV App Download कैसे करे?

Amazon Prime Membership Free में कैसे मिलेगा?

Android Phone Top 5 Video Editing App 2021 | Hindi

यह भी देखें

Pikashow app download

PikaShow TV App Download कैसे करे?

Oppo Phone Root

Oppo Phone Root Kaise Kare (कैसे करे)?

make money with cpa mobile app

CPA Mobile App Se Earning Kaise Kare?

easy tips for students

12 Real Ways to Make Money As a Student: पढ़ाई करते हुए पैसे कैसे कमाए?

revolt electric bike

1st AI Enabled Electric Motorcycle In India: चलेगा बिना पेट्रोल

Voter Id Card correction online

Voter ID Card – Photo, Name, Address, Age, Gender, DOB




Footer

About TechYukti

Techyukti.com एक ऐसा हिंदी ब्लॉग है, जहाँ पर आपको हिंदी में Phone Reviews, App Reviews, Software Reviews,से जुडी जानकारियां आपको Detail में मिलती हैं. techyuktiofficial@gmail.com

और जाने ..

नवीनतम अपडेट, समाचार, प्रौद्योगिकी अपडेट की की सुचना पाने के लिए अपना ईमेल पता दर्ज करें और ईमेल द्वारा नए लेख की सूचनाएँ प्राप्त करें।

हमसे सोशल मीडिया पर जुड़ें

© 2016-20 TechYukti About . Contact . Terms . Privacy Policy