Hi Friends ! Kya aap ek Android Smartphone User hain? Agar haan toh aapke liye sbse badi problem hogi Battery ka Jaldi se Discharge hona aur fir usko pure din Charge Karte rhna. Agar battery 0% par hai toh usko 100% tk charge karne me normally 2-3 Hours toh lag hi jate hain. Iss post me bataunga ki aap kaise apne Android Phone ke Battery ko Fast Charging Karenge. Yani ki aapko 2-3 Hours ka wait nahi karna padega aur aapka Android phone jaldi hi charge ho jayega.
Agar mai galat nahi hun toh aapke Android Phone me kuch aise apps honge jo aapke phone ki battery bahut jaldi hi chus jate hain. Jaise “Facebook” , Applocker etc. Aisa isliye hota hai ki iss tarah ke apps aapke phone me background process me bhi run hote hain. Aur aapke phone ki battery ko chuste rhte hain.
Aapko believe nahi ho rha ho toh aap settings se “Power Cosumption Details” Dekh sakte hain ki kon sa app aapka battery jyada drain kar raha hain. Aur agar jarurat na ho uss apps ki toh usko apne phone se uninstall kar dijiye.
Ab dekhte hain ki aap apne Android Phone ko Fast kaise charge karenge.
How to Charge Android Mobile Faster in Hindi:
Contents
- 1 How to Charge Android Mobile Faster in Hindi:
- 2 #1. Phone Charging ke Time par Airplane Mode Activate Kare:
- 3 #2. Switch Off Karke Charge Kare:
- 4 #3. Charging Ke Time Bluetooth, Wifi , Mobile Data Ko Band Rakhe:
- 5 #4. Phone Charge Karte Samay Phone Ko Use Na Kare:
- 6 #5. Week me 1 Baar Battery Ko Pura Discharge Kare.
- 7 #6. Hamesha Original Charger Hi Use kare:
- 8 Conclusion:
Agar aapne apne phone koi faster charge karne wali apps ko install kiye hua hai jaise DU Battery Saver, Battery Quick Charger ya Ultra Fast Charger to bina koi der lagaye inn apps ko sbse phle uninstall kijiye. Iss tarah ke apps kuch kaam nahi karte hain balki aapke Android Phone ko lag karte hain. Ye ek tarike ke Malware hote hain. Jo hamari phone ko kisi na kisi tarike se nuksan pahucha sakte hain.
Agar aap apne phone ke battery life ko badhana chahte hain aur fast charging karna chahte hain toh bataye gaye tips ko follow kijiye. Mai aapko pure tarike se assure karta hun ki aapka phone jaldi se charge hoga aur lambe samay tak backup dega.
#1. Phone Charging ke Time par Airplane Mode Activate Kare:
Aap jab bhi phone ko charging me lagaye toh usme Flight Mode/ Air Plane Mode activate kar de. Airplane Mode activate karne ke liye aap action center se kar sakte hain.
Isko activate karne se aapko phone par upcoming phone calls, Messages, Notifications band ho jate hain. Jisse phone ko charging ke time par koi bhi disturbance nahi hota hai aur aapka phone normal time se phle hi charge ho jata hai.
#2. Switch Off Karke Charge Kare:
Agar aapko phone ko thodi aur jaldi charge karni hai toh aap apne phone ko Switch Off kar dijiye. Kyuki jabtak aapka phone On rhta hai aapke Phone ka Processor work karta rhta hai. Chahe aap phone ko use kare ya na kare.
Waise Phone ko jaldi charge karne ka sbse effective tarika hai. Aur shayad aapne aajmaya bhi ho.
#3. Charging Ke Time Bluetooth, Wifi , Mobile Data Ko Band Rakhe:
WiFi, Mobile Data, Bluetooth aapke phone ki battery ko bahut jyada consume karte hain. Agar kaam na ho inka toh band kar de. Aur charging ke time par ye on rhte hain toh aapka phone slowly charge hota hai.
Isliye aage se phone charge karte samay inn baato ka dhyan rakhen.
#4. Phone Charge Karte Samay Phone Ko Use Na Kare:
Bahut se log hote hain ki Phone ke charger ko socket me Ghused diya aur fir phone ko charge me laga kar Chatting karna chalu. Aisa karne se naa kewal aapka phone heat hota hai balki aapka phone slowly charge hota hai. Isliye Koshish yahi kare ki Phone ko Charging ke time par use na kare.
Agar aapko Safe aur Faster charging chahiye toh Charging ke time par phone ko use na kare.
#5. Week me 1 Baar Battery Ko Pura Discharge Kare.
Dosto ! Akasar hum apne Android Phone ko use karte hain aur jaise hi phone ki Battery 40-50 % par aati hai hum apne phone ko charge me lga dete hain.
Dekhiye ye toh achhi baat ki phone ko charge me laga dete hain. Lekin koshish ye karni chahiye ki week me kam se kam 1 baar phone ki battery ko 0% tak use kare aur isko apne se switch off hone de.
Fir phone ki battery ko 100% tak charge kare. Isse Phone ki Battery ko refreshment milti hai aur aapke phone ki battey bhi safe rhti hai aur jaldi se charge bhi hoti hai.
#6. Hamesha Original Charger Hi Use kare:
Kya aap koi bhi charger pakad ke apne phone me ghused ke charging shuru kar dete hain? Agar aisa karte hain toh yah aapke phone ke battery ke liye nuksandayak hoga. Hamesha aap apne phone ke sath mile huye Charger ka hi use kare.
Aur phone ko Laptop ya Desktop me USB ke through charge mat kare. USB se utni power nahi milti hai jitni phone ko chahiye hoti hai. Aur phone ki battery bahut slow charge hoti hai aur jyada der tk chalti bhi nahi hai.
Conclusion:
Dosto ! Mai daawe ke sath kah skta hun ki agar aap upar bataye gaye tips ko follow karte hain toh jarur aapke Android Phone ki Battery Normal time se phle charge hogi. Aur kam se kam aap ek baar jarur try kijiyega. Aapko jarur difference samajh aayega.
उम्मीद है कि यह पोस्ट आपको पसंद आया होगा. अगर कोई सवाल या सुझाव है तो कमेंट में जरुर बताएं.
Parveen Boora says
Agar hum phone ko sari raat charging me lga chod dete hai to us se phone ko koi nuskaan to nahi hoga na
Satish Kushwaha says
Parveen ji agar aap ek din apne phone ko sari raat charging me lagaker chod denge to koi problem nahi hai but agar aap roj-roj aisa karenge to apke phone ki battery ya Motherboard kharab ho sakta hai
Khursheed says
Sir made phone ma ye problem ha k ma offline vedioes dekhta hu to mere battery reverse hona shuru hk jati ha charging pa laga ke be.
Shailesh Chaudhary says
Khursheed Ji pahle to aap Charging me Lagane ke bad Phone Use naa kare, Aur Agar fir bhi apke sath aisa hota hai to aap Phone ko ek bar reset kar sahi ho jayega
Mohit sharma says
Battry becup ka koi acha upay btaiye
Satish Kushwaha says
बैकग्राउंड Apps को क्लोज करके ही रखे…और अनावश्यक apps को uninstall कर दीजिये
Mohit sharma says
Quike charging ka matlb kya hota ha
Satish Kushwaha says
मोहित जी ..Quick Charging का मतलब १ घंटे के अंदर ही फ़ोन का चार्ज हो जाना
Munaf says
Charger phone battery q kheech leta letahai
Shailesh Chaudhary says
Munaf ji aisa nahi h apka charger apke battery ka power nahi kheech sakta hai.
Ravindra Singh says
Hlw bro… mere pas micromax canvas spark mobile hai… me mera original charger hi use krta hu.. ette din to normally mere 2 gnte ke andr mobile full charge ho jata tha but ab pta ni kya ho gya kal se… ab full charg hone ne 5,6 gnte lag jate hai… etta slow kyu ho rha hai.. mene others chargr bhi use kiya but usme bhi same problem….
Shailesh Chaudhary says
Singh ji aap apne Phone ko ek Bar Reset kar do Ye Problem sahi ho jayega
kajal says
Hello.. mra ph samsung galaxy a7 h.. wse to ye jldi hi charge ho jata h but kbi kbi 92% se upr charging ni bdti or charge b bhut zyada slow hota h..so wht i do plz tell me?
Shailesh Chaudhary says
kajal ji aap apne Phone ko ek Bar Reset kar dijiye. Problem solve ho jayega
kajal says
But sir mne to apna sd card b htaya hua h.. tb b ye prblm h sd card se to koi dikkt ni h na.. or reset krne se whtsapp chats b remove ho jaegi..??
kajal says
Sir bta do plz jldi
Hemant says
Fon ko fodd do or kya
fer thek ho jae ga
Satish Kushwaha says
Haha
Shivraj nikam says
Nice thought very nice
Rajan says
Mai ye sb krta hu phir bhi charge hone mae utna hi time lgta hai
Shailesh Chaudhary says
Rajan ji aap apne Phone ko ek bar Service Center par dikha lo.
Shubham says
Hi sir mary phone ki battery jadi khtam ku ho jati h or charge bhi bhot dayr shy hota h
Satish Kushwaha says
shubham ji aap apne phone ko ek baar reset kar do
brijesh maurya says
mahadev….☺its a best
Pramod dubey says
Satish Sahab Mobile me Faltu Application Kaun si hai Jise hum Unstall Kr sakte Aur ye kaise pta chalga Mera mobile sumsung On-8 Hai
Geyasudin Ansari says
mai apne phone ko din bhar charge karta hu Lenin yah 60% se upper nahi pahuch pata hai mai kya karu please sir help me
Shailesh Chaudhary says
Geysudin ji aap ne apne Phone me bahut se Unwanted App Install kar liye honge. aap apne Phone ko ek bar reset kar le
RAJKIRAN SINGH says
Hello sar mera phone Samsung j1 hai full charge honekelia 3.30 se 4 hours lagtahai plies help
Shailesh Chaudhary says
Rajkumar ji apne phone me bahut se Unwanted App Install kar diye honge. Isliye aisa ho rah hai aap phone ko ek bar Reset kar dijiye
aazu says
yr me apni phone ko tkribn 2 month se raat ko laga deta shyd is liye mera phone slow charge hota hy or kbi kbi. to percentage back hoti jati hy yr koi hal bateen or main bat ye ke mere mobile seal hy betrry bi nh nikalti
Shailesh Chaudhary says
Aazu ji Aap Phone ko kabhi bhi Over charge na kare. Agar bar bar aise karte hai. Toh apka Phone fir sahi se charge nh hota hai. Iske sath bhi Phone charge karna ho Data OFF kar de.
Agar fir bhi nahi sahi ho rha hai. Toh aap apne Phone ko ek bar reset kar de. Problem Sahi ho jayega
Amir says
Mere pass micromax canvas evok hai Jo 9to10hours main full charge hora hai or 2to3hours main battery 30to40% battery bachti hai main kya karun
Shailesh Chaudhary says
Amir ji aap Phone ko ek bar Reset kar lijiye. Apke Phone ka Battery Problem solve ho jayega
Umesh says
hello mera phone 3 se 3.5 hours me full charge hota h
but full charge hone ke baad battery apne aap girne lagti h
me kya kru…. plz bataiye
Satish Kushwaha says
Mobile Kitna purana hai aapka
Umesh says
plz help
Prince kumar says
Mera phone jaldi charge nhi hota hai charge hone me 6 7hour lag jate hai phone samsung note 2 hai kya kru mai plz bataiye
Shailesh Chaudhary says
Prince Ji aap Ye Trick ko padho Android Phone Ke Battery Backup ko Kaise Badhaye
rahul says
battery 58% ke upar charge hi nhi ho rahi 5-6 ghante me bhi
kya kare ?
please reply
Shailesh Chaudhary says
rahul ji aap apne Phone ko ek bar Reset kar do. Aur ha aage se aap Phone ko keval usi ke Charger se charge kare
Komal saini says
Sir mere mobile m battery bhut jldi low ho jati b jb ki maine mobile 2 month phle hi purchase kiya h or ni h kuch jyda app h or jb m mobile use bi ni krti tb bi uski battery km hoti rhti h Plls sir help me
Shailesh Chaudhary says
komal ji aap Phone ko Service Center Le jao,
alsafa says
Mere phone ki battery charge krte hi 15 min me hi khatam ho jati h plz help ..
Shailesh Chaudhary says
Alsaf Ji aap Phone ko Service Center check karo
love says
Mere pas sony xperia mt15i h us ki bttry 39% se jyada charj nhi ho ti solution batayi plz
Shailesh Chaudhary says
aap Phone ko Service center check karao
vivek tiwari says
Bhai maine new battery liye hai bt bhat dheere charge hoti hai ur 100%charge bhi nhh hota
Shailesh Chaudhary says
Vivek ji aap is Post me bataye gaye sabhi Tips ko follow kare, agar fir bhi sahi nahi hota hai. to aap phone ko Service Center Check karao
shyam says
mera battery kal se charge nhi ho rha hai bar bar shut down likh de rha hai kya kru restart bhi kiya
Shailesh Chaudhary says
Shyam ji aap Phone ko ek bar reset kar le sahi ho jayega, Agar nahi sahi hoga to apko Service center par check karna hoga
vishal ahalawat says
mere phone ki battery bhaut kam chal rhi hh kya kru sir moto e2 hor ha sir maine suna hhvki kbhivbhi phone full charge nhi karna chaiye kya ye bat such h
Shailesh Chaudhary says
Vishal ji aap ek Bar Phone ko Reset kar do, Agar fir bhi nahi sahi ho rha hai, to aap Service Center Le jao Phone ko
pintu says
Mera phone j2 2016 hai isme fast charge use kar sakte hai s4 ka charger hai 2mpiyar ka hai jaldi charg ho jata hai koi problum nahi hoga na
Satish Kushwaha says
Nhi
Mohd Zaid says
Sir mera mobile Micromax canvas doodle 3 he
mere mobile me charging 2hours ya 3hours me ho jati he ye 97percentage pe ruk jati he aap kuch bataiye plz help me
Mohd Zaid says
plz plz help me
Shailesh Chaudhary says
Mohd ji aap ek Bar battery ko 0% tak Discharge hone de uske bad battery nikal kar, Home Button ko 30 Time Press kare aur fir battery laga kar charge kare
Deepesh says
HELLO SIR AAP THEME KOSI USE KR REHE HO PLEASE reply
vishal sambal says
Hello bhai mera phone sm-g355h hai ye 2.30 hours mein charge hota hai or percent apane aap girne lagati hai Jab ki mai use use bhi nahin karta hu to bhi sir pls help me
Shailesh Chaudhary says
Battery Purana ho jata hai toh aise hi hota hai
Sandip says
Hi sir mera mobile bahut slow charge Jo raha yani 1hour me 15 % mai kya karoon please bataye… Abhi bataye
Satish Kushwaha says
Aap ek bar Mobile ko reset kar de, problem sahi ho jayega agar apka Battery sahi hoga to
Raj says
Sir mera mobile samsung j5 hai mera mobile charge home me 8-9 khante lagata hai to mai kya karu
Khustar Noorani says
Nice Article