Abhi tak Android phone me itni sari possibilities ko dekhte huye ek chiz ye bhi mind me aata hai ki kya Adobe Photoshop ki tarah hum kisi picture/image ka background remove kar sakte hain? Toh iska jawab hai haan. Mai aaj aapko iss post me ek aise app ke bare me bataunga jiski help se aap apne image ka background remove kar sakte hain.
Jo bilkul hi easy hai aur kuch hi steps me aap apne photo ke background ko remove kar sakte hain.
Aur iss post ko aap aage padhe ki mai aapko bata du ki iss app ke liye mujhe email aaya tha ki kya koi aisa android app hai jisse pictures ka background remove kar sakte hain. Phle toh maine socha ki background toh photoshop se hi remove hota hai aur Android ke Photoshop me background remove karne ka option toh hai nhi. Fir maine bahut jyada search kiya tb jaaker iss aap ke bare me jankari mili.
Ab aap bhi bade hi aasani se apne pics ke background ko remove kar sakte hain.
Easy Steps to Remove Background of any picture in Android Phone:
#2. Jab aap iss app ko open karenge aapko kuch iss tarah ke options dikhayi denge.
#3. Ab aap “Load a photo” par click kar lijiye.
#4. Iss step me aapko apne Gallery se koi ek photo choose karna hai aur fir uss pic ko thoda crop kar lijiye. Jisse aapko background remove karne me aasani hogi.
#5. Crop karne ke baad ek option hai Done ka. Uspar click kar dijiye.
#6. Ab aapko 3 option milte hain background ko remove karne ke liye. Jisme phla option “Manual”, Dusra option “Auto” aur tisra option “Eraser” milta hai. Aap auto ko select kar lijiye.
#7. Agar photo ka background remove karte time koi mistake ho jata hai toh aap undo bhi kar sakte hain.
#8. Jab photo se background remove ho jaye tab aap Done par click kar dijiye.
#9. Ab photo ke border ko smooth karne ke liye aap smooth badha skte hain.
#10. Ab aap finish par tap kar dijiye. Aapke photo se background htane ka process ho chukka hai.
Aap chahe toh background ko change bhi kar sakte hain. Apne according koi bhi photo background me set kar sakte hain.
Toh Dosto ! Aaj iss article me aapne padha ki kaise aap apne photo ka background bade hi aasani se remove kar sakte hain. Aur sath me aap background me koi dusri image bhi set kar sakte hain. Agar aapko Android se related aur koi bhi jankari chahiye toh aap behichak puch sakte hain
अगर आपको यह पोस्ट पसंद आया हो तो सोशल मीडिया पर जरुर शेयर करे. और हमारा न्यूज़ लेटर जरुर सब्सक्राइब करे जिससे आपको न्यू पोस्ट आपके इनबॉक्स में सबसे पहले मिल जायेंगे.
RAJKUMAR SHARMA says
Good
byas kushwaha says
Very very important knowledge thanks
Rakesh Kumar says
Bahut hi achhi jankari share ki h aap ne keep sharing .
Umeed krta hu aap aage bhi aise post daaloge aur blogging ko aur aage bhdaoge
Satish Kushwaha says
Thanks राकेश जी ! आप बने रहिये techyukti के साथ आपको ऐसे ही फ्रेश पोस्ट मिलते रहेंगे.
Gorav says
Aapki profile par Jo photo he wo aapne kis software se edit kiya.
plz .ans
Satish Kushwaha says
Gorav ji mai apni sare photo Photoshop se hi edit karta hu.
Gorav says
Ek achha software batao jisse bina cut kiye background change kar sake
Satish Kushwaha says
GOrav ji Agar aapko Image ka background change karna hai to iske liye Photoshop ho sabse best software hai. Aur dusari baat bina cut kiye kisi bh image ka background aache se change nahi kiya ja sakta hai.
gorav says
Adobe Photoshop me photo cut kese kre kis tool se , Sir
Shailesh Chaudhary says
Gorav ji Photoshop ke bare me comment me batane par apko samjh me nahi ayega. Isse accha hai aap youtube par photoshop ke bare me koi video dekh le apko acche se samjh me aa jayega
Jagdish makvana says
aapka post bahot acha hai or mene ek blog start kiya hai umid hai ki aap dekhe or koi problem hai to please muje bataye thanks