32 Bit Vs 64 Bit Processors Comparison in Hindi:-
Contents
Hi Friends ! Pichle kuch time se Smartphones ke Processors me aapne 32 Bit Processor ya 64 bit processor ka naam toh jarur suna hoga. Lekin kya aapko pata hai ki ye 32 Bit 64 bit processors kya hote hain?
Iss post me mai aapko 32 Bit vs 64 Bit processors ke bare me detail se bataunga . Jisse aapko future me koi bhi Device ya Computer Buy karna ho toh aapko Confusion nahi hogi.
64 Bit Processors:
Dosto ! Agar baat kare 64 Bit Processors ki toh sbse phla 64 Bit Processor ko AMD ne 2003 me launch kiya tha Computers ke liye. Aur uske thik 10 saal baad yani 2013 me Apple ne iPhone 5Sme Apna Apple A7 Processor Launch kiya jo ek 64 Bit Processor tha.
Aur 2013 ke baad aapne lagbhag har ek Smartphone me Dekha hoga ki Smartphone ka processor 32 Bit hai ya 64 Bit hai. Toh aise me aapko Confusion hone lgta hai ki kon sa wala Processor hamare Smartphone ke liye achha rhega. Aur hum 32 Bit aur 64 Bit processor ke difference ko samjhna chahte hain.
Toh 32 Bit Vs 64 Bit processor ke Comparison me mai aapko 3 Aise points bataunga jiski Help se aapko 32 Bit aur 64 Bit ke Processors me ache se difference pata chal jayega.
#1. Memory Addressing:
Phla jo difference hai wo hai Memory Addressing ka. Toh ek 32 Bit ka processor sirf 4GB tk ke RAM ko hi kaam me le sakta hai. Maan lijiye aapke Computer ya Phone me 4 GB se jyada ka RAM hai toh aapko 64 Bit ka processor hi use karna padega. Kyuki aap 32 Bit ke Processor se 4GB se jyada ka RAM use nahi kar sakte.
Aisa kyu hota hai wo bhi jaan lete hain. 32 Bit ke processor me 32 Bits hoti hai yani ki 32 aisi values hoti hai jinko aap alag alag 0 ya 1 me change kar sakte hain. Aur ye 32 Values sirf 4GB ke Memory ka hi address apne paas store kar sakti hai. Jbki 64 Bit ka processor 16 Billion GB ka address apne paas store kar sakta hai.
Waise 16 Billion GB ki jaruat hume aane wale bahut time baad pad sakti hai. Fir bhi aap 4GB se jayda ki memory use karna chahte hain toh aap ek 64 Bit processor ko kaam me le sakte hain.
#2. Calculation Speed:
Dosto agar dusri difference ke bare me baat kare toh wo hai Calculation Speed. Dekhiye jo 32 Bit ka processor hai wo 32 Bit ke 2 Integers par calculation kar sakta hai. Aur jabki ek 64 Bit ka Processor 64 Bit ke 2 integer ke sath calculation kar sakta hai. Iska siddha matlab yah hai ki Normal calculation me 64 Bit ka Processor thoda jyada achha hai.
Mai thoda jyada achha isliye kah rha hun kyuki jo 3rd Difference hai wo iss baat ko thoda daba deta hai.
#3. Operating System Support:
Agar aaka OS 64 Bit ka hai aur aapke application ya softwares 64 bit ko Support nahi karte hai toh iska matlab hai 32 Bit aur 64 bit processor dono ek saman hai.
For example:
Agar ek badhiya Actor hai. Lekin uska Director badhiya nhi hai toh uss Actor ka badhiya Utilization nahi ho payega. Matlab wo actor bhi achha acting nahi kar payega.
Isi tarike se agar smartphones ke bare me baat kare toh Android ke Lollipop aur Marshmallow me 64 bit ka support milta hai aur whi iPhone me iOS 7 ke baad 64 bit ka support milta hai.
Toh agar aapke pass Android ka Kitkat wala phone hai lekin usme 64 Bit ka processor laga hua hai toh bhi aapka phone 32 Bit Processor ke jaisa hi work karega.
Agar aapke OS ne 64 Bit ko support kar diya hai toh ek baat aur fasti hai ki aapke phone me application ya Aapke PC me jo Software hai wo 64 bit ko support karta hai ki nahi. Toh jbtk aapke Applications me 64 Bit ka support nahi hoga toh aapke 64 Bit processor ka koi khas fayda nahi hone wala hai.
Agar Android ke liye dekha jaye toh Play Store par abhi 64 Bit wale Apps available nahi hai. Lekin kuch hi apps hai jo 64 bit ko support karte hain.
Agar Computer ke liye dekha jaye toh aapko 64 Bit ke liye bahut saare Application Softwares available hain.
Read: Mobile Processor Snapdragon Vs MediaTek Me Kaun sa Sabse Best Hai?
Abhishek kumar says
verry nice post…
Ansari shamim says
64 bit ke computer me 32 bit software chalega ki 64 ka software download karna padega
Satish Kushwaha says
Ansari ji 64Bit computer me 32bit software chalega lekin 32bit me 64bit nahi chalega
Rakeshpatel says
Honor 7x achha mobile hekinahi 12999pric he 4gbram32gbrom. He
Satish Kushwaha says
Ha Achha hai
RAVI KUMAR CHOUHAN says
BAHUT KHUBSURAT JAWAB THA SIR AAPKA. MERE BHI SYSTEM ME 32 BIT KA OS HAI. TO KYA USME MAIN 64 BIT KA APPLICATION LE SAKTA HU. PLEASE BATAYEIN