Apne Android Smartphone se Double Role Video kaise Banaye ?
Hi Friends, aap logo ne Movies me bahut Double role video dekhe honge. Jise dekhker aapke dimag me ye jarur aata hoga ki kash mai bhi apna Double role Video bna pata. Agar aapke pass Androids mobile hai to mai aapko aaj batauga ki kaise double role video banate hai. Isse pahle mai aap ko bta to actually movie me double role kaise banta hai. Movie me double role kaise banaya jata hai. Movie me double role video banana ke liye bahut jayda paisa lagta hai aur sath hi sath bahut jayada time lagata hai.
Kyoki jo double role movie me banaye jate hai wo bahut hi bade software se banaye jate hai. Jiase ki Adobe After Effect, Sony Vegas Pro aur Edius ye sab software use kiye jate hai double role video banane ke liye aur bahut jayda bade hai, inhe purches karna padta hai.
Friends ab time change ho rha hai, har koi Androids se Judna chahta hai kyoki Android aisa platform hai jispar aap kuch bhi bna sakte hai. Yha tak android OS bhi Customize ho jata hai aapke phone ke hisab se. Jaise ki aapne abhi dekha hoga iPhone ka Photo Editor Apps Prisma, jaise se hi iPhone ke liye Launch huaa waise hi Android ke liye bhi Prisma software ban gaya, Kyoki maine kha na Androids open platform hai. Aap Android par koi bhi Software customize kar sakte hai.
Mai aapko Double role video ke liye jo apps batane wala hu ,Wah bhi iPhone video editor apps ka Customize version hai. Ab mai aapko Step-Step bataunga ki kaise double role vider banate hai. Aap apna Double role video aur Double role picture bna kar Facebook, Instagram par lakhon like pa sakta hai.
Double Role Video Banane ke Steps:
Step#1:
Sabse pahle aap apne Android Smartphone ke Play Store aur Search box me. “Split Video & Camera” type kare ke Software ko Download kare.
Step#2:
Jab aapke Android phone me Spilt Video & camera apps install ho jaye. To aap use open kare,Agar apko Double Role Video banana hai to Video icon par click kare. Ya apko ko Double role picture lena hai to Camera wale icon par click kare.
Step#3:
Jaise hi aap Video ya camera wale icon pak click karenge aapke same. Video recording ya camera open ho jayegi aur uski screen 2 part me divide rahegi. Ek taraf blur rahege aur ek Taraf aapka video recording hoga.
But yha par aapko ko dhyan dena hai ki. jis taraf video record ho rha hai uske dusari taraf blur hoga jise aap apne anusare adjust kar sakate hai. Jaise hi aap ek taraf ka video recording karke stop button par click karenge. Waise hi Dusari taraf ki recording Start ho jayegi.
Step#4:
Jaise hi dono taraf ki recording puri ho jaye. Uske bad aap apne double role ka video dekh sakte hai. Aur ise WhatApp, facebook, Instgram par send karke lakho like pa sakte hai.
Shalini says
Very good Satish Kushwaha
Shalini says
Also want to know how this can be done in iPhone 6?
Shailesh Chaudhary says
Shalini ji Yes, It Can bhi Done in iPhone 6
sonukushawah says
Koi aisi app hai jisamai video ke upar video set ki ja sake jaise ki photo set hota hai please tell me
Satish Kushwaha says
Sonu ji Kine Master ka Use Karo,