How To Update MIUI 8 in Xiaomi Redmi Note 3 :-
Hi Friends! Redmi Note 3 Me MIUI 8 Ka Update aa chukka hai. Waise agar aap MIUI ki Website se ROM ko Download karte hain toh wha se downloading kafi slow hai. Mai aapko ek link de rha hu same ROM ki aap befikar hoker download kar sakte hain.
Mujhe pata hai ki aapko bade hi Besabri se intezaar hoga iss nye update ka. Kyu Xiaomi ne MI MAX ke launching ke time hi announce kar diya tha ki MIUI ka update aapko jald hi milega.
Before Updating MIUI8:-
- Apne phone ko MIUI8 me update karne se phle aapko Backup lena padega. Kyuki install karne ke time me sabhi data delete karne pdenge.
- Phone ko at least 60% tak charge kar lijiye.
How to Update MIUI8 in Redmi Note 3:-
Toh chaliye dekhte hain ki kaise aap apne Redmi Note 3 me MIUI 8 ka update install karenge.
Step#1.Sbse phle aap iss link se MIUI 8 Ka ROM Download kar lijiye. Download complete ho jane ke baad aapko us file ko Phone memory me bahar hi copy karna hai.
Step#2.Ab apne Menu me Tools Folder ke andar jayiye.
Step#3.Updater par click kijiye.
Step#4.Jaise hi Updater open hoga. Aapko batayega ki aapke liye koi update nahi hai. Lekin hum Developer ROM install kar sakte hain. Toh aap right corner me option par click kariye.
Step#5.Ab aapko “Choose Update Package” par click karna hai. Uske baad aapka Root folder open hoga. Jisme aapko downloaded file ko choose karna hai.
Step#6.Iske baad Phone check karega ki kya ye ROM perfect hai ya nahi. Fir aapko erase data ka option show hoga.
Step#7.Ab aapko “Erase and Update” par click karna hai. Ab process chalu ho jayega.
Aapko 8-10 Minutes ka wait karna pad sakta hai. Kyuki install hone me thoda toh time lagta hai.
Jaise hi MiUi 8 Aapke phone me install ho jayegi toh aapka Phone Reboot hoga. Ab aapko Language , Account etc sb select karne pdenge. MIUI 8 me aapko India ke Regional language ka support milta hai. Jo ki bahut hi achhi baat hai.
Toh dosto ! Bade hi aasan se steps me aap apne phone ko MIUI8 me update kar sakte hain. Agar aapko dusre Xiaomi Phones me update install karna hai toh aap unke ROM download karke thik isi tarah se install kar sakte hain.
MI Phones के कुछ Special Updates.
- Xiaomi Redmi Note 4 में Android Nougat कैसे Update करे?
- एंड्राइड फ़ोन से डिलीट फोटो विडियो को कैसे रिकवर करे?
- Android Phone Hardware Software को कैसे Optimize करे?
तो दोस्तों उम्मीद है की यह आर्टिकल आपको हेल्प करेगी. अगर आपको कोई प्रॉब्लम होता है तो आप कमेंट में पूछ सकते हैं.
Bro… File download ktne ke bad choose file krte hai to wo file show ni hoti…
Bhai Update karne ke baad phone ko pehle jese nahi kar sakte kys
Anil ji Phone ko reset kar dijiye, apka Phone pahle jaisa ho jayega
Aap uss file ko phone memory me update naam se save kro
Mujhe ahha nahi lag raha hai
Anil Ji actually aap kya kahna chahte ho?
Bhai mere bhai ne account bnaya tha miui 8 ka but vo bhool gya koi option h use on krne ka mi account ke bina
Amit ji Miui Mi ka Official Update hai.
Bhai mere to update hi nhi ho raha h
Dinesh ji abhi aap Update na kare MIUI 8 me Kuch Problem hai. Jiske wajah se Phone Me Problema aa rhi hai.
Bhai virsion badhana he matlab lolipop se marshmallow karna he to kya karna padega
Shakir ji iske liye apko Marshmallow ka Custom ROM download karna padega
Bhai Mere fone me MIUI 8 theek se kam nahi karta hai. Ab Purani update ko Kaise pa Sakte hain…?
gyan ji aap apne Phone Ko Reset kar lo —-sahi ho jayega
Bhai miui8 me battery drain Jada hote hai
SIR, MIUI8 ME CAMERA ME SELFY LENE KE LIYE FINGURPRINT SE HO NHI RAHA HAI? JABKI UIMI7 ME HOTA THA…MIUI8 ME YE FUNTION NHI HAI KYA?
Kya miui 8 se camera me problem aati h
Sunil Ji Camera me nahi Proximity Sensor me kabh kabhi Problem aa rha hai
Sir miui8 updet Karene ke bad mera batterie backup kam ho gaya or mera hi nahi mere Bhai ke phone ka bhi koi upay hai
patel ji aap Trick Padho aur Usse Use karo How to fix Redmi Note 3 Camera, Fast Drain, Touch & Charging Problems
Q.1.Sir mene trick padhli usme batayi gayi bate to aam hai jo ki hum miui7 me bhi use nahi karte the phir bhi battari backup bahut bahut achha tha ….. Q.2.mujhe miui 7 me jana hai kya ho sakta hai
Ha aap apne Phone ko reset kar do
Mera phone mi account password mang rha h or password dalne k bad bhi nhi on ho rha h please solve my problem
Moshim ji aap Sahi Passoword Enter karo. Ya fir aap Reovery Mode me jaker Phone ko Reset karke fir se passwors set kar sakte hai
Bhai yr apki help cahiye mujhe apki Bhoot mehrbani hogi …
Mera phone yu Yureka yu5510a hai Jo Maine Abhi liya h or mujhe pta nhi tha ki Usme KitKat version h to Maine software ko update Kya to phele 4.2 tha or aab 4.4.4 hogya …MERI problem ye h ki mujhe lollipop me ya MIUI me kaise update Karu plz help me Bhai yr plz
Zishan ji aap Phone ko root karke , Phone me Lollipop ya MIUI ka Custom rom Install kar sakte hai
Sir Maine miui 8 update kr Liya h but mere mobile ka rotation work nhi kr rha h kucch upay bataye….
Rajkumar ji MIui 8 ka Stable Version Update karo, iske Beta Version Me Problem hai
Sir Maine Jo version redmi 3s me aaya tha to wo update mang raha tha to Maine miui me update kar liya par sir mujhe miui 7me hi Jana hai phone reset kar liya fir bhi bhi ho raha plz help me
Vikas Ji aap MIUI 7 Ko Fir se Install karo
sir kuj din se mera phone battry bhut kha rha hai kya kru mera phn mi note 3 hai 32gb 3grom wala sir btayo nakahi koi setting se to garbad nhi huya na
Mandeep Agar apne Phone ko Miui 8 me update kiya hai, to aap uska Stable Version Install kare. Problem sahi ho jayega
hi actually mere pass redmi note 3 ka 32 gb wala phone hai aur maine miui 8 ka version bhi download ker diya hai but maine phone mai memory card nahi use kiya hai aur mere pass kafi data hai phone memory mai like photos, songs, videos so kya mera sara data delete ho jayega ager mai install ker du ya pehle sara data kahin aur save karu please advise. thanks you..
Neeraj ji pahle aap apne Phone ka Sara Data kahi aur save kar lo
Mere pass red mi2sprime phone 8.2.1 jab se apdate kiya hai tab se mere phone use kartr karte aotomatick turn off and turn on ho ne lagata hai isska koi reesan
Update karne par bug aa ra hai…new update me dur ho jayega ye problem
Bhai mere pass redmi 3s phone hai is me update Karne ke liye notification aa rha hai
Main Ye Janna chahta hu ki mare phone main kya change hoga..
Phone Ka UI yani Interface Change hoga.
Bhai Mera phone Mi Note 3 hai isma update nhi a Raha hai 2 saal sa