Top 3 Prisma Alternative App Android Ke Liye
Contents
Hi friends, Aajkal aapne dekha hoga ki Facebook se lekar Instagram tak Prisma App se Edit kiye huye pics ka bahut craze chhaya hua hai. . Prisma app ko aap sabhi jante hai ye application Art effect Create karne ke liye use Hota hai.
Lekin Iss Prisma App me bahut saare bugs hai aur Slow network par ache se work nahi kar rha hai.
Isliye Prisma ke tarah ki kuch aur bhi apps hai jo Creative photo edit karne ke liye jabardust hain.
Toh Aaj mai aap logo ko Prisma ke 3 alternative Apps ke bare me bataunga. Prisma App aaj ke date me bahut popular hai, agar apko iske bare me aur jayada pta karna hai to aap hamare Prisma App review post se pta kar sakte hai.
- Prisma App Install Kare aur Kaise Use Kare:
>p>Prisma jitna popular hai usme utna jyada problem aa rhe hai, Jaise ki bina Internet ke aap ise use nahi kar sakte hai aur Prisma me aaj kal bahut se log Server Connectivity problem face kar rahe hai.
To chaliye aaj mai aap ko batata hu ki Prisma ke Top 3 Altenative App kaun hai aur kaise Prisma app ke similar hain.
- Top 5 Photo Editing Apps For Android [Hindi]
- Image se Background Remove Karne ke Liye Android app
Top 3 Prisma Alternative App:
#1: SuperPhoto:
Prisma alternative app ke list me sabse pahle jo app ata hai uska nam hai SuperPhoto App. Filter apply karne ke liye SuperPhoto App sabse popular hai.
SuperPhoto App ko ab tak 5 Million logo ne download kiya hai aur iskaGoogle Play Store par 4.1 ka rating hai. Iss SuperPhoto App me apko effect dalne ke liye bahut sari categories mil jati hai. Jaise ki mai aap ko kuch categories ke bare me bta deta hu.
SuperPhoto App Categories:
- Filter
- Artist
- 3D
- Brushes
- Cutouts
- Frames
- Combos
- Background
- Bokeh
- Pattern
SuperPhoto app me apko effect applykarne ke sath-sath kuch Customization aur effect Control karne ke Option mil jate hai.
Effect create karne ke bad aap ise bina Watermark(Logo) ke bhi photo ko apne gallery e save kar sakte hai. Superphoto me apko sharing ke bhi bahut se option mil jate hai, Aur isme khash baat ye ki jo Photo apne edit kiya hai use SuperPhoto Community me bhi aap share kar sakte hai.
#2: Photo Lab:
Photo Lab basically paint apply karne ke liye nahi, Isme bahut se effect , filter etc. mil jate hai. Agar apkoFunny aur Unique effect chahiye to ye app apka favorite app ho sakta hai.

Agar hum log Google Play Store me iski rating aur downloading ki baat kare to, Photo Lab ka rating hai 4.4 aur ise 10 million logo ne download kiya hai.
Photo Lab App Categories:
Is app me apko bahut sari categories mil jati hai, jaise ki..
- New Realty
- Face Montages
- Drowning vs Photography
- Face Photo Props
- Artist Effect
- Amazing Frame
- Background
- Magazine Cover
- Stylized Effect
- Flags
- Human to Animal
- Color effect
- Celebrity Collages
- Lens Effect
Photo Lab App me aur bhi bahut sari categories mil jati hai. Is app me effect apply karane ke sath-sath Sticker aur text bhi edit kar sakte hai. Photo Lab bhi aap directy Camera, gallery aur Facebook se import kar sakte hai.
#3: PicsArt:
PicsArt App ek bahut hi popular photoediting application hai. Ye app ek full Photoshop package hai. Is app me apko ek acchi photo editing wale sabhi tools mil jate hai.

Agar hum bat kare PicsArt ke Rating aur downloading ki to, Ye app Google play store se 100 Million downloadhuaa hai aur iski Rating hai 4.4.
PicsArt App Effects:
- Fx effects
- Artist Effects
- Paper Effects
- Pop Art
- Distort
- Color Correction
PicsArt me aap Photo ke background Blur kar skate hai aur Photo ke upper Multiple photo bhi dal sakte hai. Isme bilkul Photoshop ki tarah apko blending mode ka bhi option milta hai.
- Background Blur Wali Pics Click karne Ke Liye App
Isme me bahut sare aur bhi photo editing hai jaise ki Border, frame, Masking, Sticker lens effect, call out etc.
Ye the hamare top 3 Prisma Alternative app jisse aap Prisma jaisa effect create kar sakte hai. Ekdum prisma jaisa nahi but usse better photo edit kar sakte hai.
Leave a Reply