Jio Ka IMEI Block News Real or Fake
Contents
Hi Friends, Mai WhatsApp aur Facebook par bahut analysis karne ke bad ye post likh raha hu. Maine Facebook aur whatsApp par aise hazoro message dekhe ki log bol rahe hai. ki 3 Month bad jab Reliance Jio SIM ka Offer khatam ho jayega uske bad bhi hame Us SIM Slot me keval Jio ka SIM hi use karna padega. Aagr aap Jio SIM Nikalte hai to apna SIM Slot Block Ho jayega.
Mai apko Reliance Jio SIM ke Bare me kuch Common Question Batata hu, Jo WhatsApp aur Facebook par Viral Ho gya hai.
- Kya Reliance Jio SIM se Phone Lock Ho jayega?.
- Kya ab hume Jivan bhar Reliance Jio SIM hi use karna padega?.
- Reliance Jio SIM Slot One me hi Kyo Kam karta hai?.
- Kya Jio SIM hamare Phone ka IMEI Lock Kar Dega?.
- Kya Reliance Company Hamare Phone Ko Hack kar rahi hai?.
Agar apko In sab Question ka jawab chahiye to aap hamare sath is post me bane rahiye. kyoki aaj mai Bataunga Reliance Jio SIM apke SIM Slot ko Lock karega ya nahi.
Related: Reliance Jio- ka Fibre Broadband Plan With 1Gbps Speed
Reliance Jio SIM ko Slot One me Lagane Ko Kyo Kha Jata Hai:
Apne dekha hoga Jab bhi aap Reliance Digital Store ya Reliance Customer Care par call karte ho, to wha se apko Instruction diya jata hai ki aap apne JIO SIM ko “Slot One” me hi lagaye.
Slot me lagane ka Simple sa reason hai. hamare Bahut se Smartphone me keval SLOT ONE me hi 4G LTE ka Support milta hai. Agar apke Phone me Dono SIM Slot 4G LTE hai to aap kisi me bhi Reliance Jio SIM lga skate ho.
Pahle Mujhe bhi aisa lga tha but maine iske liye Test kiya. Maine Yureka Note jisme Smart SIM Slot ka Option hai, matlab aap Dono Slot me se kisi ek me 4G LTE ka use kar sakte ho. Maine Dono Slot me SIM lgaker dekha, Jio SIM Dono Slot me Acche se kaam kar rha hai.
Kya Jio SIM Use Karne Se IMEI Lock Ho Jayega:
Dosto Reliance Jio SIM ke liye apko apna IMEI number use karna padhta hai. IMEI number ka use sabhi SIM ke liye kiya jata hai, Chahe wo Jio ho ya aur koi Company ka SIM but ye baat hamko Pta nhi hoti hai. IMEI number ka use basically Phone ko Identify karne ke liye hota hai.
Related: Reliance Jio- Ke Sabhi App ka Use Kaise Kare
Example Ke taur par man lijiye agar apka Phone kisi ne Chura liya hai to aise me aap kaise pta lagyenge ki apka Phone kha use ho rha hai.
Agar aap ye Soch rahe ki Google Device Manager ka Use karke pta lga sakte hai. But usne apse pahle apke Google Account ko remove kar diya to.
Police Surveillance ka use karke apke phone Ke IMEI Number Ko Track Karti hai aur Phone ke bare me pta lga leti hai. Kyoki jab aap Phone khareed kar Usme apna SIM lagate ho to us SIM Number ke sath apka IMEI Number Mobile Phone Company ke Database me save Ho jata hai.
Isi tarah Reliance Jio apke IMEI Number ka use karke ye check karta hai ki ye IMEI number 4G Mobile ka hai ya kisi aur Mobile ka, Kyoki Reliance Jio ka Offer ke keval 4G Mobile ke liye hai. Is Offer ko koi aur na use kar le iske liye Reliance apke 4G Mobile ka IMEI Number ka Use karta hai.
Jio Ka IMEI Lock News Real or Fake:
Dosto ab apko Smajh me aa gya hoga ki Reliance Jio Ke bare me Viral huaa ye News Fake hai. Reliance Jio SIM Use karna se na to apka IMEI lock hoga aur nahi Jio SIM ko apko Jivan bhar use karna padega.
Agar apko aise lagat hai ki apka IMEI Lock hho jayega to aap abhi apne Jio SIM ko nikal kar usme Dusra SIM lgayiye dekhiye Kam Karta hai ya nahi kaam karta hai.
Related: Reliance Jio- SIM ko 3G Phone Me Kaise Use Kare
ye bahut purani kahawt hai.
“अगर आपके बन्दूक में मैंने अपना कारतूस लगा लिया तो बन्दूक मेरी नहीं हो जायेगी | केवल उस कारतूस पर मेरा हक रहेगा”
Isi tarah Reliance Jio ka SIM apne Mobile me lga lene se apka Mobile Reliance ka nahi ho jayega bus jab tak aap Reliance jio ka Sim use kar rahe hai. tab tak wo SIM Slot Reliance ka hai, jis din aap Jio SIM ko Nikal diye us din wo Slot apka ho jayega.
Related: Reliance Jio- SIM Free me Kaise Paye Bina Number Change Kiye | MNP
दोस्तों उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा. अगर इस पोस्ट में आपको कोई प्रॉब्लम है या आपके पास कोई विचार है. तो आप हमें कमेट जरुर करे.
Techyukti में आने के लिए आपका धन्यवाद
Praveen tiwari says
sir hume bar code nhi mil rah hai so.please bato
Satish Kushwaha says
Praveen ji aap kaun sa Phone use kar rahe, please hame pahle iske bare me bataye.
PranayD says
Kya hum 31st December ke bad jio me 2G plans kar sakte he? 2G ke rexharge kar sakte he? ya fir hume net use karne ke liye sirf 4G ka hi recharge karna padega?pls reply
Shailesh Chaudhary says
PranayD ji Reliance Jio apko keval 4G me hi milega.iska koi 2G Plan nahi ayega
Vijay panara says
Aap ke post padh kar acha lav
Ga kayu ke mobile block ke der se maine joi sim buy nahi kiya tha but ab jaldi he ek sim buy karuga ..
mabud says
Bhai jahase sim milrahi h. wohi batate h ki osi sim slot me dusra sim kam nahi karega
Shailesh Chaudhary says
Babud bhai aisa kuch nahi hai. agar aap chahe to ek bar JIO SIM Fir use nikal kar Kyo aur SIM lgaker dekh sakte hai
Ajay says
Kya hum Jio sim dusre 4G mobile me dal sakte he ya nahi
Shailesh Chaudhary says
Ajay ji aap Jio SIM ko Kisi Bhi 4G Phone me use kar sakte hai
Montu says
Sir mere ko watsapp msg aya ta agar aap 31 Dec ke baad jio sim use nahi karoge to aapka ph block ho jayega Kyo ki unke pass aapka imei number hai kuch batao iske baare main kya Yeh sahi hai Sach main block ho jayega
Shailesh Chaudhary says
Montu ji aisa Koi baat nahi hai. Apka Phone kabhi bhi nahi kharab hoga chahe aap Jio SIM use karo ya na Use karo
Tuahar says
Kya jio sim mw accha network milta hai ?, ya reliance ki taraha hi network hota hain.
Shailesh Chaudhary says
Tuahar ji Jio SIM me apko accha Network nahi milega. jaise Pahle tha waisa hi hai
Shrinivas Mule says
आप हमें jio sim मुफ्त में क्युं दे रहे हों
Satish Kushwaha says
Mule ji ye hum nahi Reliance Jio Company de rahi hai
Zafar Naim says
Shailesh ji mere Infocus m2 3g phone ka first sim slot block ho gaya hai. main jio sim chalane ki koshish kar raha tha ise kholne ka tareeka bataye. meharbani hogi.
Shailesh Chaudhary says
Zafar ji aap apne SIM Slot ka IMEI Number change kar do sahi ho jayega
Ramnarayan says
Mera 11 ank ka barcode 5 din Purana Hai plz batai ki Kam Kare ga
Shailesh Chaudhary says
Ramnarayan ji ab apko naya bar code generate karna padega. Kyoki sare Purane Bar code Redeemed bta rahe hai
Ramnarayan says
sir bar code download karane ka link number batai
Ramnarayan says
sir jio sim redami 3s me sim2 me laga sakate Hai plz replay
Ramnarayan says
sir IMEI change karane se Kuch problem to nahi hoga
bablu kumar says
Hi sir. Sir news aai ki ab welcome offer 2 lunch hoga our ye pehla offer khatm hone ke badme launch hoga to sir mene abhi tak is sewa ka labh nahi uthaya hai to aap mujhe bataye ki agar me abhi phone leta hu to is mahine to free net use karunga our reliance december me offer 2 lunch karega to uski bhi sewa mujhe milegi kyoki news me ye bataya ki jinhone december ke Pehle sim kharidi unko ye offer nahi milega our Jo log abhi tak reliance se nahi jude hai wahi log welcome offer 2 ka labh uthayenge. To aap mujhe bataye ki me phone abhi lu ya jab offer 2 lunch hoga tab
Shailesh Chaudhary says
babu ji apke Jio ne apne naye Offer ke bare me koi real janakri nahi diya hai. Abhi toh aap keval 3 Dec 2016 tak hi offer hai.
karn says
Sir kya jio ka bill aane wala hai….
Satish Kushwaha says
Nahi bhai
Neha says
Sir jio sim kaise block kar sakte hai…
Shailesh Chaudhary says
Neha ji Block karne ke Liye aap baki Sabhi SIM ke tarah Crack kar do
sameer khan says
Hii bro . Mera ek jio sim kho gaya hai
Aur wo sim ko koi dusra aadmi use kar raha hai
Muje batao bro ki mai jio sim ko deactivate kyase karu
Repy bro plz
Shailesh Chaudhary says
Sameer ji aap Jio Customer care par call karke SIM band kara sakte hai
Chanchal jangid says
Sr jio on krne k liy kya kre jldi se suggest kijiy jisse phir se jio sim chalu kr ske
Shailesh Chaudhary says
Chanchal ji Agar Jio SIM band ho gaya hai, to apko Jio Center jana hoga
Chanchal jangid says
Mne jio sim kuch din use na li an lgayi h to network nhi aa rhe h sim bnd ho gyi h kya phir se on krne k liy kya kre
dheeraj kumar says
Sir mera jio sim khi khi kho gya hi ..dusra new sim kisse mil sakta hi .pls help me
Shailesh Chaudhary says
Dheeraj Ji aap Jio Customer Care par call kare aur Claim kare