Google Trick: Lost Android Phone ko Kaise Track Ya Lock Kare
Hi Friends, Kya aapka Android phone Lost ho gaya hai?. Kya aap apne Lost Android Phone ko pana chahte hai?. To aap sahi jagah hai. Kyoki aaj mai apko ek aise Google Trick ke bare me batane wala hu. Jiske use se aap apne Android Phone ko Track kar sakte hai. Ya apne Android Phone ka Security Lock kar sakte hai.
Dosto Google ka Ye Trick hota hai sabhi Phones me but koi iska use hi nahi karta. To maine socha mai apko ek bar yaad dila deta hu is Google Trick ke bar me. Ye Google Trick har us Android Phone me hota hai. Jis Phone me Google Account yani Gmail Login hota hai.
Google Device Manager Kya Hota Hai:
Google ke 3 Secret Trick me se ek Hota hai Google Device Manager. Jiska use kisi bhi Device ko Google Cloud Security se Mange karne ke liye kiya jata hai. Agar apko Google Device Manager ka use karna hai to sabse pahle apke pass ek Gmail ID hona chahiye. Tabhi aap is Google Trick Service ka use kar sakte hai.
Example Ke Taur par Suppose apke Pass ek Smartphone hai. Jisme apka bahut sa Important Data pada hai. Agar aap se wo Smartphone kahi Lost ho jaye to aap kya karenge. Shayad aap jyada se jyada Police me Complaint karenge. Agar aap Police me Complaint bhi kar de aur Police apke Phone ko kuch Dino ke liye Surveillance par lga de. To 10% ummid hai apka phone mil jaye.
Agar apka Phone mil bhi Gya. To kya Guaranty hai apke Smartphone ka Data Safe hoga. Jahir si baat hai jisko apka Smartphone milega wo to usse use karenga. Shayad wo apke Data ka Miss-use bhi kar sakta hai.
But agar aap apne Phone me Gmail Account Login kiye hai. Aur apko Google Device manager ke bare me pta hai. To apka Data 100% Safe rahega aur uske sath aap apne phone ka Exact Location Track kar sakte hai. Is Google Trick ka use Kaise kar sakte hai iske bare me mai apko Neeche wale Heading me bataya hai.
Google Trick: Google Device Manager ka Use kaise karte Hai:
Friends Google Device manager ka use karna bahut hi assan hai. Bus agar apko is Google Trick ka use karna hai. To apke pass ek Google Account (Gmail ID) hona chahiye. And wo apke Phone me Login hona chahiye tabhi aap is Google Trick ka use kar sakte hai.
Abhi maine apko Upper ye bataya ki Google Device manage kya hota hai and uska Kaam kya hai. Iske sath mai apko ek example ke bare me bataya hai. Agar apka Phone galti se kahi Bhul gaye ya lost ho gya. To apko Jaise apne Phone ke bare me pta chale. Aap Turant kisi Cyber Cafe me jaye aur Computer ya agar apke pass Laptop hai to usse open kare.
Aap apne Laptop ya Desktop me Wahi Gmail Account Login kare. Jo aap ne apne Mobile me Login kiya hai. Bus aap Google Device manager ko open karke. Apne Phone ko Lock kar sakte hai. Sare Data ko Delete kar sakte ha. Ring kar sakte hai. Apna Emergency Number Set kar sakte hai. Apne Phone Ko Track kar sakte hai.
To Chaliye Dekhate hai,is Google Trick ka Kaise use karenge. Mai apko Step by Step bataunga jisse apko acche se samjh me aa jaye.
- Jaise ki Mai apko Pahle bhi bta chuka hu. Agar apko is Google Trick ka use karna hai. To apke pass ek Gmail Account hona chahiye. Aur wo Account apke Phone Me Login hona Chahiye. (Example-Techyukti@gmail.com)
- Ab Agar apka Phone kisi ne chura liya hai ya aap kahi Bhul gaye hai. To aap Turrant kisi Aise Computer ke pass jaye jisme Internet ki shubidha ho. Aur aap Use Computer me wahi Gmail Account Login kare jo apne apne Phone me kiya hai. (Example-Techyukti@gmail.com)
- Computer me apne Email Address ko Login karne ke bad. Aap Google Search Box me “Android Device Manager” Enter karke Search Kijiye aur use Open kijiye.
- Jiase hi Android Device Manager open karenge apke samne Map aur Us par ek Chota sa Box Bnaker ayega. Jisme apko 4 Option milenge.
- Track Android Device
- Ring Android Device
- Lock Android Device
- Eras Android Device
Ab Mai apko ek-ek karke charo Option ka use kaise karete hai. iske bare me Details me batunga. Ki apko kab kis Option ka use karna hai aur Kyo Karna hai. And Kaise aap Is Charo Option ka use karke apna Lost Phone ke bare me pta laga sakte ho.
Lost Android Phone ko Track Kaise Kare:
Friends agar apka Phone Chori ho gya hai ya aap kahi bhul gaye hai. Aur apko ye Pta Lagna hai ki apka Phone hai kaha. To aap Simple Android Device Manager ko opne karo aur “Location” wale Sign par click kar do. Bus 10 ya 12 Second me apke Phone Exact Location apke samne hoga.
Lost Android Phone Ko Lock Kaise kare:
Agar apke phone ko koi chura liya hai ya kahi lost ho gay hai. To aap sabse pahle is Google Trick kar use kare. Aur apne Phone ko kisi aur password se Permanently Lock kar de. Lock karne ke bad apka Phone Tab tak Unlock nahi hoga. Jab tak aap Android Device manager password nahi Enter karenge.
Lost Android Phone Se Data ko Kaise Delete kare:
Friends agar apke Smartphone me Important Data hai aur apka Phone kahi Lost ho gaya hai. To apko Pareshan h0ne ki jarurat nahi hai. Bus aap kisi laptop me Android Device manager ko open kare. Aur “Eras” option par click karke apne Smartphone ka Sara Data Delete kar de.
Android Phone Ko Ring Kaise Kare:
Is Google Trick ka use aap tabhi kare jab apka Phone Ghar ya Office me kahi bhul gaya ho. Because agar aap es Google Trick ka use Lost Phone par karenge. To jiske pass apka Phone rahega wo Ring ko band kar sakta. Ya fir Chor aap se door hoga to Ring karne ka Koi Fayada Nahi Hoga.
Dosto ummid hai ab apko samjh me aa gaya hoga ki Android Device manager ka use kaise karna hai. And hum Android Device manager ka use karke Kya-kya kar sakte hai. Google ke sari service me mujhe ye Service sabse acchi lagti hai. Aap Android Device Manager ke in charo Service ka use karke apne Lost phone ko Pa sakte hai. Ya apne Lost phone ke Data ko Miss use hone se bacha sakte hai.
उम्मीद है आपको ये पोस्ट पसंद आया होगा | अगर आपको इस पोस्ट में कोई प्रॉब्लम हो या इस पोस्ट के बारे में आपके पास कोई विचार है तो आप हमें कमेंट जरुर करे |
TechYukti ब्लॉग पर आने के लिए आपका धन्यवाद
Vijay Raj says
Sir per ye trick use kerna ke liya smartphone ki location aur mobile data on hona chiya kya?
pramod says
Sir mera j5 2 din pahle gum ho gaya hai
Kya kar
Kaiser apna fhone wapis pau
Shailesh Chaudhary says
Pramod ji is Trick se apke Phone ka Last location Dekhayega. Jaha par apke Phone last time data On Raha hoga
pramod says
Kya mobile data on ya fhone on raha cahiye sir
Shailesh Chaudhary says
Pramod Ji ha apka Mobile Data ON rahna Chahiye
md NADEEM says
Mobile find karne ke baad ise lock jo android device manager se lock kiye the use ab unlock kaise karenge….please reply
Shailesh Chaudhary says
Nadeem ji Adnroid Manager me aapne Lock karte samay Jo Password Enter kiya tha Use Mobile Me Enter karo
Md danish says
Hii sir jab mai apna mobile lock aur erase data kar raha hun to ” request sent to mobile lock and wipe admin features likhnke aata hai ”
Iska kya matlab hai aaj hi mera mobile chori ho gaya hai ples sir jaldi bataye
Shailesh Chaudhary says
Ad Danish Ji Kya apne Phone ko kabhi Root kiya hai, Agar kiya hai to Pahle Phone ko Reset kar de
Niraj kumar says
Dear Sir/madam’ lekin us device ko lock karne ke baad dobara us lock ko device se kaise hatayen jisko humne lock kiya hai.
Shailesh Chaudhary says
Niraj ji apne Lock karne ke Liye Google Device Manager se jis PIN ka Use kiya hai, Usi se Unlock Kar sakte hai
aakash tyagi says
Sir android device manager se mobile lock to ho gya tha or ab screen lock open bhi ho gya but hme abhi lock hatana hai to setting security me jate hai Wha pr slide lock activated nhi ho rha vo kese hogs sir Plz help
Shailesh Chaudhary says
aakash ji aap Phle Adnroid Device Manager se Lock remove Karo uske bad aap Lock Use karo. Agar fir bhi naho hota hai to aap Phone ko Reset kar do sahi ho jayega
Santosh says
Android device manager ka exat link send kijiye
Shailesh Chaudhary says
https://accounts.google.com/signin/v2/sl/pwd?service=androidconsole&passive=1209600&continue=https%3A%2F%2Fwww.google.com%2Fandroid%2Ffind%3Fu%3D0&followup=https%3A%2F%2Fwww.google.com%2Fandroid%2Ffind%3Fu%3D0<mpl=findmydevice&rart=ANgoxccTSuWaSm1iJU3HRQxkik0nHyciYCrlJ363dotIL9cZu1aZnjSlP0WtIJbjtqCLlPPSQj6mOAU1X9-vj3iSQGhRTCPqgg&authuser=0&flowName=GlifWebSignIn&flowEntry=ServiceLogin