Hi Friends, Abhi Tak aap Android Ko Root Karke Customize karte the. But aaj mai apko Bataunga ki aap Kaise Windows Boot Menu ko Customize kar sakte ho. Sath mai apko Ek Tricks bhi Bataunga Windows Boot Screen ko change karne ke liye.
Sbase pahle mai apko Windows Boot Screen ke bare me bta deta hu. Windows Boot Screen, Kuch aur nahi Windows ka Logo hota hai. Agar aap Uttar Pradesh se hai to wha par UP Government se jo Laptop mila hai. Uska Boot Screen Change karke wha ki Government ka Image lga diya hai. Agar aapko is Image ko hataker apna ya koi aur Image lgana hai to aap is post ko pura padhe.
Dosto agar apko Windows Boot ke bare me jankari ho. To aap Windows Laptop ya Desktop ko Puri tarah se customize kar sakte hai. To Chaliye Dekhate hai Windows Boot Screen ko Kaise Change karte hai.
Read: Top 10 Budget Laptop For Gaming & Video Editing
Windows Ke Boot Screen ko kaise Change karte hai:
Agar aap Is Tricks ka use pahli bar kar rahe hai. To sabse pahle aap apne Windows Boot Screen System ka Backup kar le. Backup karne ke liye apko bus us file ko Copy karke kahi aur Paste kar lena hai.
Windows Boot Screen ka Backup karne ke liye aap Neeche diye gaye Step ko Follow kare.
- Sabse pahle aap apne Windows PC My Computer ke C DRIVE me jaye.
- Fir aap C Drive me Windows Folder ko Open kare.
- Windows Folder me “System32” Folder ko open kare.
- System32 me aap “ntoskrnl.exe” File ko Search karke use Copy kare.
- Ab aap ntoskrnl.exe File ko apne Computer me kise aur Drive me Save kar le.
- Ab aap apne Windows PC ke Boot Screen ko Change karne ke ready ho jayiye. And aap apne Computer me “Resource Hacker” nam ka Software Download karke Install kar lijiye.
- Resource Hacker Tool Install hone ke bad aap use Open kare. And File wale Option par click kare.
- Jaise hi aap File par Click Karenge apke samne ek Box Open hoker ayega. Jaha se aap ntoskrnl.exe File ko Select kar le.
- Ab aap Action Button kar Click kare aur waha se “Replace Bitmap” option ko select kare.
Read: jpg to Bitmap Image Converter
- Yha se aap ko apne Windows Boot Screen ko change kar sekte hai. Agar aap koi Dusra Image lagana chahte hai. To aap Us Image ko Select kare aur OK Button par Click kare.
- Ab aap Fir se File Option par Click kare aur “Save As” Option ko select karke. File ko ntoskrnl.exe nam se save kar de.
- Ab aap apne PC ko Turn OFF kare aur use Fir se Safe Mode me Start kare.
- PC ko Start hone ke bad aapne Jo ntoskrnl.exe File ko save kiya hai. Usse System32 me jaker Paste kar de.
- Ab aap apne PC ko fir Restart kare, aur dekhe apka Boot Screen Change ho gya hai.
दोस्तों उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा | अगर आपको इस पोस्ट में कोई प्रॉब्लम है या इस पोस्ट के बारे में आपके पास कोई विचार है तो आप हमें कमेंट जरुर करे |
TechYukti ब्लॉग पर आने के लिए आपका धन्यवाद
vijay says
Akhilesh yadav wala laptop hai change kaise kare
lokesh says
Hello sir my name lokesh kumar ha sir mery pc ki asush company ki moderbord ha aur boot ke same us mei( jontek) love ka aata ha to sir aap ki trik kam kar jaygi kay sir please puri jankari my wattshap no par bej do sir 8503973427
sejee says
Ser Mai boot change kar RHA hoo change nhi ho RHA hai
Satish Kushwaha says
sejee Kya Problem aa rha hai, Please aap bataye
Raaz kushwah says
sir rajasthan sarkar wala laptop hain mai boot screen change nahi kar pa raha hoo plz madad karege
Satish Kushwaha says
Raaz ji jaise Step bataya gaya hai aap waisa kare, agar anhi ho rha hai to aap Youtube se video dekhe
Geyasudin Ansari says
Sir file ke option par click karne me baad ntoskrnl.exe nahi aa raha hai
Satish Kushwaha says
Geyasudin ji aap Hidden Option ko ON karke Check Kare