How to Fix Corrupted SD Card Problem
Contents
Hi Friends, Kya apko SD Card Memory Card Corrupted Hai?. Kya apko Memory Card CMD Method se sahi nahi ho rha hai?. Agar apke sath Corrupt SD Card ke ye dono Problem hai. Toh aap sahi jagah hai. Kyoki maine Corrpted Memory Card ko sahi karne ke liye CMD Method ko bhi bataya hai. But bahut se User hai jo CMD ka sahi se Use nahi kar pa rhe hai. Ya Unke Memory Card ko sahi karne ke liye CMD Method Kam nahi kar rha hai.
Aise me maine socha ki kyo na Corrupted Memory Card ko sahi karne ke liye. Kuch Naye Trick ka use karte hai aur maine kuch Trick ka use kiye. Jisme mujhe top 2 Trick aise lage jo 100% Kam karte hai. Isliye aaj mai apko CMD ke alawa Top 2 Trick ke bare me batane wala hu
Corrupted SD Card/Memory Card Sahi Karne Ke Liye Top 2 Trick:
Friends Jab bhi hamara SD Card Corrupt hota hai. Toh Uska Sabse Main reason hota hai Virus. Jiske wajah se apke Memory Card me Data Store nahi hota. As well as agar aapne Data Store bhi kar diya toh wo Data Corrupt ho jata hai. Kabhi-Kabhi toh aisa hota hai,ki hum khud apne Memory Card me Virus Install kar dete hai. Jaise ki agar kisi ke Loptop me Virus Hai. Uske Laptop me SD Card laga dete hai.
Kuch best Tricks Android Users,
- Android Phone se Magic Video Kaise Banaye?
- Android Phone Bootable Bnakar PC me Windows Kaise Install Kare?
- Android Phone Track Kaise Kare?
Trick #1- Computer Software:
Jaise ki pahle bhi apko Computer se Corrupted Memory Card Problem ko Fix karne ke bare me bata chuka hu. But us bar maine apko Windows Cmd trick bataya tha. Aur Is bar mai apko ek Software ke bare me bata rha hu. Toh Chaliye Dekhate hai ki kaise hum Computer Software se Corrupte SD Card ko thek kar sakte hai.
Step #1- Sabse pahle aap apne Computer me "Hp USB Disk Storage Format Tool" ko Install kar lijiye. Agar apko Format Tool Software ko Search karne me Problem ho rha hai. Toh link se Direct Download kar sakte hai.
Step #2- Download aur Install karne ke bad aap Corrupt Memory Card ko PC me Plugin kare. Memory Card ko Plugin Karne ke liye aap Data Cable ka Use na kare. Iske liye aap SD Card Reader ka use kare.
Step #3- Ab aap HP USB Disk Storage Format Tool ko open kare. Jaise hi aap iese apen karenge. Apke Memory Card ka nam Isme Show karne lagega. Agar nahi kar rha hai toh aap Select kare.
Step #4- Memory Card ko Select karne ke bad aap "Start" par click kare. As well as Jaise hi aap Start par click karenge. Apka Memory Card Format Hona Start ho jayega. Aur kuch Samay bad Process Complete ho jayega. Uske bad aap apne SD Card ko Check akr sakte hai.
Trick #2- Android App
Ye Trick basically unke liye hai jinke pass Laptop ya Desktop nahi hai. Agar apke pass PC nahi hai toh aap apne Android Smartphone se hi Corrupt Memory Card sahi kar sakte hai. But iske liye apka Phone Rooted hona chahiye. Tabhi Ye App apke Phone me kam karega.
Step #1- Sabse pahle aap Google Play Store se "Aparted SD Card Partition" nam ka App apne Rooted Android Phone me Install kare. Agar apko Search karne me pareshani ho rha hai. Toh aap link se direct Download kar sakte hai.
Step #2- Ab aap apne Corrupted Memory Card ko Android phone me Insert karke. Aparted App ko Open kare. Jaise hi aap iese Open karenge. Apko 3 Option dekhenge "Create" , "Tool" aur "Configuration". Aap Simple "tool" Option ko Select kar le.
Step #3- Tool Option par apko Memory Card ke bahut se part dikhenge. Apko us Part ko Select karna hai. Jisme Storage Show kare. (Example- 1400MB). Agar sabhi Option me Show kar rha hai. Toh aap koi bhi ek Option Select kar sakte hai.
Step #4- Ab aap wapas "Create" Option apr click kare. Aur uske bad aap Plus (+) wale sign par click kare.
Step #5- Jaise hi aap Plus Option par click karenge. Apke Part 1 aur Format ka option ayega. As well as part 1 ke sath apko Scroll line milega. Jise Scroll karke apko Full par karna hai.
Step #6- Ab aap Simple "Apply Change" par click kar de. Kuch Samay bad apka Memory Card Format ho jayega. Aap apne Phone File Manager me jaker Check kar sakte hai.
Conclusion:
Dosto Agar apke pass koi bhi aisa SD Card Or Memory Card hai. Jo Corrupt ho gya hai, Phone Show nahi kar rha hai. In Dono Trick ka use karke sahi kar sakte hai. As well as aap Phone App ka Use karke apne SD Card ka partition bhi kar sakte hai. But agar apka Memory Card Physical Damage hai. Toh wo nahi sahi ho sakta hai. Jaise Agar Memory Card Crack ho gya hai. As well as Memory Card Show kar rha hai. But Usme Storage nahi show kar rha hai. Is tarah ke Problem. In dono trick se nahi sahi ho sakte hai.
उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा और आपके लिए हेल्पफुल रहा होगा |अगर आपको इस पोस्ट में कोई भी प्रॉब्लम है तो आप हमें कमेंट जरुर करे |
TechYukti ब्लॉग पर आने के लिए आपका धन्यवाद्
माधव नेताम says
मेरा मेमोरी कार्ड मोबाइल/ कंप्यूटर में सपोर्ट नहीं कर रहा है| मेमोरी कार्ड को नहीं बता रहा है क्या यह ट्रिक इस प्रॉब्लम को दूर कर सकता है मुझे ईमेल कीजिये
Shailesh Chaudhary says
Madhav ji agar apka SD Card Supported nahi kar rha hai. Toh wo sahi nahi ho sakta hai.
siddhart singh says
My memory card Can not be seen into any laptop or smarphone.plz,helps to recover my memory card.and mail your contact no.. .
Satish Kushwaha says
Sing Ji Jab SD Card Show karega tabhi ye Trick kaam karega. Agar apka SD Card Physically Damage hai to is Trick se repair nahi ho sakta hai
vidhan says
Sir mere pas computer or rooted phone dono nahi he kya karu
vikky says
pathar se memory card ko tod de
rakesh says
Mobile se kaise formet kare show kar rha hai plz help me
Shailesh Chaudhary says
rakesh ji Post me diye gaye App ko download karo
Rahul says
Sir Maine Mera
16gb Ka sd card Hai But pc par
Hpusbdisk Main 0 mb Show Kar Raha H
-File System (FAT) Pe V Show Nahi Ho Raha H .
Or Format karne Ke Next Error show Ho Raha h
Shailesh Chaudhary says
Rahul ji apka SD Card Internally Damage Ho gaya hai,
Shailesh Chaudhary says
Rahul ji apka SD Card Internally Damage Ho gaya hai,
madan kumar says
mera memory card we partition kar raha thaa partition nahi huaa magar memory card show nqhi ho raha hai
sir pls kuch bata o
Shailesh Chaudhary says
Madan ji Agar SD Card show nahi kar rha hai. to kuch nhi ho sakta hai
rinku shahani says
sr mera sd card damaged try reformatting bta rha haai kiya kru or jo mere sd card me photo or video hai o na farmet ho
Shailesh Chaudhary says
Rinku ji aap Pahle format kar do fir kisi Data recovery Software ke dwara recover kar lo apne sare videos and photo
ujjwal says
kaam ho gaya think you
Shailesh Chaudhary says
ujjwal ji dhanyawad
siddhu says
PC me SD card dikhata h open karne par format karne ko kahta h lekin window cannot format likha aata h
Hpusb wale soft se b format nahi hua kya kare
siddhu says
Cmd method me list disk me show hi nahi hota
siddhu says
Phone me SD card lagane par (SD card is damaged try reformation ) likha aata h OK karne par erasering SD card likha aata lekin erase nahi hota
Shailesh Chaudhary says
Siddhu ji aap Is Trick ka Use Karo Format ho jayega. Agar isse nahi ho rha hai to aap Nokia ke Kisi Old model Phone se Format karo usse 100% ho jayega
Purushottam sahu says
nice article bro.
Mannam says
Sir,mera nokia asha 311 ka java device hai isse kuch ho sakta hai
Satish Kushwaha says
Ha ho sakta hai
R D gedhar says
Mere SD card kam nhi kr RHA h
Pls sir help pls
Shailesh Chaudhary says
Bhai agar Support nahi karega to yah trick kaam nahi karega
lalan says
Memory card show karaha hai mb baata raha hai bataye
Shailesh Chaudhary says
Lalan Ji apka Problem Samjh me Nahi aaya, Aap Please Clear Bataye kya Problem hai
sameer says
shailesh sir mera sd card cmd se formate nhi ho rha h batao kya karu
Shailesh Chaudhary says
Aap SD Card jis Company ka Hai Uske Offical Website par Repair karne ke liye tool Milte hai aap use download karke SD Card Repair kar sakte ho
Mahebub says
shailesh ji mera memory card mobile me show nhi kar raha par computer me show ho raha hai or scn bhi ho raha hai par formet nhi ho raha hai to aap ne jo trick di hai usse ho jayega
Shailesh Chaudhary says
Mahebub Ji maine is trick se apne SD Card ko Format kiya tha isliye maine yaha par iske bare me bataya hai. Aap try karo Format jarur ho jayega
Maha Rock says
sir mera sd card m fromting ka option aa rha hai to but nhi ho rha hai kiya kru plz tell me
Shailesh Chaudhary says
Computer se kariye format
Sanjay says
Very nice article thank u 4 sharing
deepak airee says
sir mera corrpted memory card ko computer me daala tha usake baad mene usb software daara thik karane ki kosis ki loptop ke screen me error dikhaarahaahe error me kya likha he o niche derahaahu sir padalije
there is no media in the specified device
deepak airee says
isaka slove kese hoga bataadijie sir
prashant dubey says
sir ham command prompt se bhi memory card sahi kar sakte hai kya par mera card sahi nahi ho raha hai pls rply sir
Tech4Deep says
Bahot badiya jankari di hai sir Aapne thanks