Hi Friends, Agar apse pucha jaye ki Aaj Kal Facebook, WhatsApp par sabse jyada Famous kya hai?. To apka Jawab yahi ayega WhatsApp par GIF Image aur Facebook par 360 Image. But kya apko pta hai ye kaise banate hai. Image ki chodiye Ab jabse VR (Virtual Reality ) aane lga hai . Tab se Logo ko Image me kam 360 Video banane me jyada maza aa raha hai. But kya apko 360 Video banane aata hai. Agar apko 360 Image aur Video banane nahi aat hai. Toh aaj hum 360 image aur Video bnanna Shikhenge as well as Video edit karna bhi.
360 Video Kya Hota Hai:
Dosto basically 360 Video exactly apke Simple Video ki tarah hota hai. But 360 Video me jo Video Recording kiya jata hai. Wo apke Simple Video se thoda Different hota hai. 360 Video aap Single Camera ke use se nahi bna sakte hai. Kyoki 360 video banane ke liye apko ek sath sabhi Side ka Video Record karna hota hai. Jo ki ek Single Camera se Possible nahi hai.
Example ke taur par- Suppose aap ek Park ke Center me khade hai. Waha se apko ek aisa video banana hai. Jisme ek sath apke Left, Right, Front, Back, Up as well as Bottom ka Video ek sath apke Camera me Record Ho jaye. Toh iske liye apko Kam se ka 6 Camera ka use karna hoga. Jo apke Right, Left, Up, Down, Front, Back sare Side ka Recording ek sath kar sake.
Dosto kya apko lagta hai. Hum 1 Single Smartphone Camera se 360 Video nahi bana sakte. Agar apko lagta hai hum nahi kar sakte. To aap Bilkul galata hai. Kyoki puri duniya me Indian ke liye ek Muhawra bahut mashhur hai.
“अमेरिका के किसी महा पुरुष ने कहा था | इंडिया एक ऐसा देश है जहा पर आपको हर चीज़ का जुगाड़ मिल जायेगा”
Toh hum aapne bare me kahi huye. Baat ko sach karnege aur keval 1 Single Smartphone ke camera se 360 Degree Video banayege. But aap usse pahle ye Original 360 Video ko dekhiye.
Ye 360 Video Discovery ke dwara banaya gya hai. Jisme aap Video ke Upper Diye gaye “Arrow Button” par click karke. Video ko 360 degree par dekh sakte hai.
360 Video Banate Kaise Hai:
Friends agar apko 360 Video apne Smartphone ke Camera se banan hai. toh apko 2 batane Dhayan rakhana hai. Jo apko 360 Video banane me Help karenge. And aap Successful tarike se ek 360 Video ban sakenge. To chaliye dekhate hai. Kaise banata hai 360 Video.
- Apko 360 Degree Image Capture karna aana chahiye.
- Image ko Edit karke Mp4 me Convert karna aana chahiye.
Toh Chahaye sabse pahle hum baat karte hai. Smartphone se 360 Degree image kaise Capture Kiya ja sakta hai. Wo keval Smartphone ke single Camera se.
360 Image Kaise Capture kare:
Fiends agar apko 360 Degree image Capture karna hai. Toh iske liye sabse pahle apko apne Smartphone ke Camera ko open karke Check karna hoga ki usem Photo Sphere ka option hai ya nahi hai. Agar apke Phone me Photo Sphere ka option hai. To apko Google Camera Download karne ki jarurat nahi hai.
But agar apke Phone ke Camera me Photo Sphere ka option nahi hai. Toh aapko apne Android Phone ke Liye Google Camera Download karna padega. But Sabse badi Problem ye hai, Ki Google Camera Officially keval Nexus Device ke liye aata hai. To isliye apko Google Camera apko Google Play Store par nahi milega.
- Agar aap Google Camera App ko Download karna chate hai. Toh aap apkmirror.com se Download kar sakte hai. As well as neeche diye huye Link se Direct download kar sakte hai.
- Agar apke Phone me Photo Sphere ka option hai toh aap apne Smartphone ke Camera ko open kare. But agar apke Smartphone me Photo Sphere ka Option nahi hai. Toh aap Google Camera ko Open kare. And “Photo Sphere “ par click kar de.
- Jab aap Photo Sphere par click kar de. Uske bad aap 360 Image Capture karne ke liye ready hai. And aap apne Camera se 360 Degree ghum kar araam se 360 Degree Image Capture kare.
Agar apko 360 Degree image Capture karne ke Problem ho rahi hai. Toh aap Neeche diye gaye Video ko Dekhaker . jaise-Jaise Video me dekhaya gaya hai. Waise 360 Degree Image Capture kare.
360 Image Ko Edit Karke 360 Video me kaise Convert Kaise bnaye:
Dosto Agar aapne 360 Image successfully capture kar liya hai. Toh aap 360 Image ko Convert karke Video me banane ke liye ready hai. But iske liye apke Pass koi Video Editing Software hona chahiye. Kyoki jo 360 image apne Capture kiya hai. Uska Resolution hoga 8096*4048p yani 4k Image Resolution wala image hai.
4k Image ko aap sabse pahle apne Laptop ya PC me Transfer kar le. Transfer karne ke bad aap koi bhi Video Editing Software apne Laptop me open kare.
- Ab aap apne Image Ko Video Editor Software me open kijiye. Aur waha se apne Image Ka Resolution 4k Set kar dejiye as well as Image ka Aspect Ration 2:1 ka hona chahiye.
- Ab aap apne 360 Degree image ko mp4 video me render karne ke liye ready hai. Bus aap Export option par click karke “Video Format” me Mp-4 Option Select karke apne 360 Video ko Export kar lena hai. Render karne me thoda Time lagega.
Conclusion:
दोस्तों वैसे तो ये बहुत मज़ेदार Trick है| But मुझे लगता है 360 विडियो बनाना आपके लिए थोड़ा कठिन काम होगा |लेकिन अगर आप आराम से बनायेगे तो 360 डिग्री विडियो बनाने में आपको ज्यादा से ज्यादा 10 मिनट का टाइम लगेगा | मेरे बहुत से दोस्तों ऐसे है जिनको विडियो एडिटिंग के बारे में नहीं पता है |
तो उनके लिए 360 विडियो बनाना मुश्किल होगा | लेकिन अगर आपको विडियो एडिटिंग नहीं आता है तो आप 360 image बहुत आराम से कैप्चर करे सकते है | इसके साथ अगर आपको विडियो एडिटिंग सीखना है तो आप “Wondershare Filmora Software” download कर लीजिये | क्योकि इस सॉफ्टवेयर पर आप बहुत आराम से विडियो edit करना सिख सकते है |
उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा | अगर आपको इस पोस्ट में कोई प्रॉब्लम है या इस पोस्ट के बारे में आपके पास कोई विचार है तो आप हमें कमेंट जरुर करे |
Techyukti ब्लॉग पर आने के लिए आपका धन्यवाद