कंप्यूटर डाटा को मोबाइल से एक्सेस कैसे करे?
Hi friends, Agar aap kahi bahar jate ho to apko apne sath apna Laptop, Hard Drive aur aise bahut si Storage device apne sath laker chalte hai. Jinka aap ko kho jane ka bhi dar lga rhata hai.
Agar aap chahte hai ki aap jab bhi ghar se bahar jaye to apka sara data bhi apke sath ho aur apko apna Laptop ya aur koi Storage device bhi na le jani pade to iske liye aap is post ko dhayan se padhe.
Aaj mai apko ek aise Trick aur Software ke bare me bataunga jisse aap kahi bhi aur kabhi bhi apne Laptop, PC ka Data apne Mobile par access (hack) kar sakte hai. Aur aap jab chahe tab apne Computer me store Video, Movie, Mp3 Song, Docs File aur Photo ko apne Mobile phone me dekh sakte hai.
Younity ek aisa Software hai jisse aap apne Computer ke sare data ko apne Mobile se Access kar sakte ho. Agar aap soch rhe ho ki ye to Cloud Storage se bhi ho jata hai to mai aap ko bta du Cloud Storage me apko pahle apna data Upload akrna padta hai.
Younity me apko Koi bhi data Upload ya Synchronize nahi karna hai bus aap Younity Software ko apne Computer aur Mobile device me Install kar le. Younity aap se aap apne Mobile ka data computer me Download ya dekh sakte hai aur apne computer ka data mobile me dekh sakte hai.
Mai aap ko example ke taur par bta deta hu- Younity App se aap apne Mobile ke Play Movie & Music , Pdf file ka anpe computer se dekh sakte hai aur isi tarah aap apne Mobile se Computer ke Video, Music, Facebook Photo sharing, Instagram Photo Sharing, WhatsApp Profile Change aur Download , Edit Computer file kar sakte hai.
Younity App ko Kaise Install kare:
Sabse pahle aap Younity App ko Apne Computer aur Mobile phone me Download kare. Younity App Download karne ke liye neech diye gaye link par click kare.
Computer ke liye Younity App download rare.
Android Smarphone ke liye Younity App Download kare.
iPhone Apple ke liye Younity App Download kare.
Apke Smartphone me to Younity App baki sabhi App ki tarah download hote hi install ho jayega. Computer me Install karne ke Apko bus OK, NEXT aur Finish karna hoga.
Younity App me Login kaise kare:
Younity App ko apne Computer aur Mobile me Install ho jane ke bad jaise hi aap App ko open karenge. Sabse pahle apne samne Login panel Open hoker ayega jisme apko Login ke 3 Option milenge. Aap in time me se kisi bhi option par click karke Login kar sakte hai.
Note: Login karte time ye jarur dhayan rakhe ki in tino option me jis bhi account se apne apne Laptop ya computer me Login kiya hai. Same usi account se Mobile me bhi Login hona chahiye.
- Login with facebook
- Login with Google Account
- Login with Younity Account
Younity App Work kaise karta hai:
Sabse pahle younity apke Computer aur Mobile ke sare Data ko Scan karta hai. Scanning ke liye toda time lagta tab tak aap wait kare.
Jaise hi apke computer me Scanning process complete hota hai. Aap apne Mobile se Camputer ke file ko acess kar sakte hai.
Younity App se aap kya-Kya kar sakte hai:
- Younity App se aap apne Computer ka Video, Movie apne mobile me dekh sakte hai.
- Aap apne Computer me Store Photo ko Apne Mobile se Facebook, Instagram, WhatsApp par shar kar sakte.
- Aap apne Computer ke File ko apne Mobile se Edit, Download aur Share bhi kar sakte hai.
Dosto Younity File sharing ke liye sabse best tool hai jiska Use hum Computer to mobile data transfer karne ke liye ya Remotely mobile se computer access karne ke liye kar sakte hai. Agar aap iske bare me koi sujhav dena chahte hai to aap comment jarur kare.