Hello Dosto ! Aaj Mai Iss post me aapkobataunga ki Android me Custom Recovery Kaise Install Karte Hain . Iss method se lagbhag sabhi android phone me custom recovery install kar sakte hain . Custom Recovery install karne ke baad hi hum apne Android Phone Me Custom ROM install kar sakte hain .
Custom Recovery install karne se phle kuch baate jaan lete hain . Humare Android Smartphone me phle se Default install rhti hai use Stock Recovery kahte hain . Jisme hume limited chize hi milti hain . Isliye hume jarurat padti hai Custom Recovery ki jisme aap bahut kuch experiment kar sakte hain . Custom Recovery ke baad hum apne Android Phone me Custom ROM install kar sakte hain .
Custom ROM ka matlab ki Agar aapke Android Phone me Lollipop version hai aur aap usko Marshmallow ya Android 6.0 Version me Upgrade karna chahte hai lekin abhi uska official update nahi aaya hai toh aapko custom ROM se hi aap Marshmallow me Update kar sakte hain .
Iss post me aage se badhne se phle aapko bata du ki iss method ko use karne se phle aapka Android phone Rooted hona chahiye .
Agar aapko apna Android phone Root karna hai toh aap iss post ko padh sakte hain. Toh Chaliye Mai aapko batata hu ki Kaise aap apne Android phone me custom recovery install karenge :-
How To Install Custom Recovery in Android in Hindi:-
Step#1: Sbse Phle Aap Root Checker App se ye check kar lijiye ki aapka Phone Rooted Hai Ya Nahi .
Step#2: Agar aapka phone Rooted nahi hai toh aap sbse phle apne phone ko Root Kijiye .
Step#3: Ab aap Play Store par jaye Aur wha se “ Flashify (For Root Users)” Naam Ka App download karke install kar lijiye .
Step#4: Ab Flashify ko Open kijiye . Iske baad aapko 2 option milenge jisme aapko “Accept” Par Tap karna hai .
Step#5: Ab aap “Backup/Restore” Option par click kijiye . Aur jo aapkacurrent kernel aur Current Recovery hai uska backup le lijiye . Aap Dono Backup ko Apne SD Card me install kar sakte hain .
(Backup ka fayda aapko yah milega ki agar aapko future me kabhi purane Stock recovery par aana ho toh aap Restore karke ja sakte hain .)
Step#6: Ab aap Flash Option Par Tap Kijiye . Usme Aap “Recovery Image” Par click kijiye .
Step#7: Agar aapne phle se apne device ke liye custom Recovery Download kiya hua hai toh aap “Choose File” se uss file ko select kar sakte hain .
Or
Aap “Download TWRP” Par click kijiye .
Step#8: Iss step me aapko phle wale file ko download karna hai jo lagbhag 7 MB ka hoga . Download hone ke baad usko install kar lijiye .
Step#9: Ab aapka Flashing Complete ho gaya hai . Ab aap Reboot now par click kijiye .
Step#10: Ab Reboot karne ke baad jab phone ON hoga toh aapko kuch option show honge . Jisme aapko Never Show this Screen During Boot Again par click karke aapko niche left ki or swipe kar dena hai .
Step#11: Iss step me aapko Custom Recovery ka UI dikhega . Jisme aapko Install , Wipe ,Backup , Restore , Mount , Setting, Advanced, Reboot options milenge .
Install option ke through aap apne phone me Custom Rom install kar sakte hain . Agar aapko apne Android phone me Custom ROM daalne hai toh mai uske liye bhi ek detail me post likhunga aur Publish kar dunga . Iske liye aap bane Rahiye iss Blog “TechYukti” ke sath .
तो दोस्तों इस पोस्ट में आप जान गए होंगे की कैसे आप अपने एंड्राइड फ़ोन में कस्टम रिकवरी इनस्टॉल करेंगे . अगर आपको कोई प्रॉब्लम होती है तो प्लीज् आप कमेंट करके बता सकते हैं . मुझे आपकी हेल्प करने में ख़ुशी होगी . और जल्दी में इस ब्लॉग का न्यूज़ लेटर सब्सक्राइब कर लीजिये जिससे आपको नए पोस्ट आपके इनबॉक्स में सबसे पहले मिल जायेगा .