Android Phone Ke Liye Best Custom ROMs
Hi Friends, Kya aap apne Android Phone ke liye Best Custom ROM Search Kar rahe hai?. Kya apko Pta hai Custom ROM kya hote hai?. Agar apko Custom ROM ke bare me pta hai tab bhi aap is Post ko padhiye. Agar apko nahi pta hai to fir ye post apke liye hai. Kyoki aaj mai apko Custom ROM ke bare me kuch aise baat bataunga. Jinke bare me apne shayad kabhi Suna ho.
Dosto Android ek Open Source Operating System hai. Open Source Means agar apko Android Phone Rooting ke bare me Knowledge hai. Toh aap apne Android OS ko apne hisab se Customize kar sakte hai. But is tarah ke Customization aap tabhi kar sakte hai. Jab aap ke pass Android ROM Developer aur Coding ke bare me acchi jankari ho.
Custom ROMs Kya Hota hai:
Suppose apko Coding aur Android ROM Developer ke bare me Knowledge nahi hai. Toh aap kya karenge. Aise me bahut se Android App Developer Companiyo ne socha kyo na hum aise App banaye. Jisse logo ko Android phone Customize karne ke liye Coding na karni pade.
Kyoki Android ke 85% user aise hai. Jinko Coding ke bare me Knowledge nahi hai. Toh Unhone ne 85% user ke liye Custom ROM banana Start kar diya. Custom ROM ka Matlab Android OS ko Customize karne ke liye Unofficial Software . Agar apko apne Android Phone ka Interface Change karna hai. Toh Bus apko apne Phone ko Root karna hai. Aur Custom ROM ko Install kar dena hai.
Example- CyanogenMod ek Android Custom ROM (Software) hai. Jisme apko Android KitKat, Android Lollipop, Marshmallow as well as Nougat sabhi ke ROM (Software) mil jayenge. Aur aap inko Kisi bhi Mobile me Install kar sakte hai.
Android Best Custom ROMs :
Aaj mai apko Jitne bhi Custom ROMs ke bare me bataunga. Wo sabhi Best Android Customization App hai. Jo Apko Google Play Store par nahi milenge. Toh Chaliye dekhate hai Android Top Custom ROMs kaun-kaun hai aur unhe kaise Download kar sakte hai.
- MIUI Custom ROM
- Paranoid Custom ROM
- CyanogenMod (CM) Custom ROM
- Cataclysm Custom ROM
# MIUI Custom ROM:
Jab se Xiaomi Redmi Note 3 India me Lauch huya hai. Tab se MIUI Custom ROMs bahut popular ho gaya hai. Kyoki MIUI me apko 500+ Theme milate hai. Jisse aap apne Android Phone ko Customize kar sakte hai as well as Interface Change kar sakte hai. Agar apne Xiaomi ka koi bhi Smartphone dekha hoga like Redmi 3S, 3s Prime, Mi Max Etc. Sabhi me apko MIUI ROMs ka Interface hi milega. But agar aap MIUI Custom ROMs ko apne Xiaomi Phone ke liye Download karna chahte hai. Toh aap MIUI ke Official Site se iske Custom ROM file ko Download kar sakte hai.
Kuch logo ka kahana hai MIUI ka Interface iOS se bhi accha hai. Mai apko MIUI ke Kuch Screenshot dikha deta hu. Jisse apko samjh me aa jayega. Iska Interface kaisa hai.
# Paranoid Custom ROMs:
Agar apke pass Oppo, Google Nexus as well as OnePlus Smartphone me se koi bhi Device hai. Toh apke liye Paranoid Custom ROMs sabse best Software hoga apke Phone ka Interface Change karne ke liye. Paranoid Custom ROMs se aap Android OS ke Complete Interface (Internal + External) Change kar sakte hai. Paranoid Custom ROM se aap apne Phone ke Notification Bar, Style Bar change kar sakte hai. As Well as Paranoid Custom rom me apko Theme Engine ka bhi Feature milega. Jisse aap apen Device ke liye Different-Different tarah ke Theme Select kar sakte hai.
# CyanogenMod Custom ROMs (CM):
Dosto CyanogenMod Custom ROMs jise bahut se log CM ke nam se bhi janate hai. Yah ek Evergreen Custom ROMs hai. Kisi bhi Android Device ke liye. CyanogenMod me apko Android KitKat, Lollipop, Marshmallow aur Android Nougat ka bhi Custom ROM mil jayega. Agar apko kisi bhi Smartphone me Android latest Version Nougat 7.0.0 ka Custom ROM Download karna hai. Toh aap bus CyanogenMod 14 (CM14) Custom ROM Install kar lijiye. Apka Device me Koi bhi Version Android OS ho. Wo CM14 ke Download karne ke bad direct Nougat me Convert ho jayega.
Mai apko ek aise Website ke bare batata hu. Jaha se aap Sabhi Android Phone ke CM14 Nougat Install kar sakte hai.
Agar aap CM12, CM13 aur CM14 Custom ROMs Download karna. Karna chahte hai. Toh aap CyanogenMod ke Official Website se Download kar sakte hai.
# Cataclysm Custom ROM:
Cataclysm Custom ROM ke bare me bahut hi kam log janate hai. But agar aap Android ke aise user hai jo apne Android Phone ke sath. Kuch na kuch Experiment karte rahte hai. Unke liye Cataclysm Custom ROM sabse accha Software hoga. Kyoki Cataclysm se aap Android OS me bahut kuch Customize kar sakte hai, Jaise Notification, Boot Menu, Call Blocker ,App etc. Iske sath-sath Catalysm Custom ROM me apko SmartRedio aur SmartReboot kar bhi Option milega.
Agar apke Cataclysm Custom ROMs ke bare me aur janakri chahiye. Ya agar aap Cataclysm Custom ROM ko Download karna chahte hai. Toh aap Catalysm ke Official Website par ja sakte hai.
Conclusion:
Dosto Is post me apko Android ke sabhi Device ke liye Custom ROMs ke bare me bataya gaya. Jisse aap Download karke aap apne Android Phone Interface Change kar sakte hai. But koi bhi Custom ROMs Install karne se pahle aap apne Android Phone TWRP Recovery Software jarur Install kar le.
उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा और आपके लिए हेल्पफुल रहा होगा | अगर आपके पास इस पोस्ट के बारे में कोई भी सुझाव या विचार है | तो आप हमे कमेंट जरुर करे |
TechYukti ब्लॉग पर आने के लिए आपका धन्यवाद