Android Phone Se Blurred Background Wali Photo Kaise Click Kare?
Hi Dosto ! Android Tips & Tricks ke series me mai aapke liye ek aisi trick batane ja raha hun jisse aap Apne Android Phone se DSLR ke jaise picture click kar sakte hain. Lekin fir bhi aapko bta de ki DSLR ke photos me aur Android se Clickkiye gaye photos me bahut jyada difference hoga.
Aapne phle bhi aise bahut saare Android Apps use kiye honge jisse aap phle se clicked photo ko edit karke uska Background Blur kar dete hain. Lekin iss App ke through aap direct click ke time par hi blur kar sakte hain.
- Best 5 Photo Editing Apps For Android Phone [Hindi]
- Photo Se Background Remove Karne Ke Liye Best Android App
Agar aap Macro Photography karte hain toh aap Default camera app se hi kisi bhi Object ko focus kar sakte hain. Macro Photography ka matlab ki aap bilkul pass se kisi ek object ko target karke jb photo lete hain toh wo photo kaa Background bikul blurry ho jata hai.
Chaliye mai Uss Android App ke bare me btata hu ki Kaise aap Phone se hi Blurred Background wali photo click karenge.
How to Take Blurred Background Picture With Android [Hindi]:
Step#2. Ab aap jaise hi Google Camera Ko Open Karenge. Aapko Right-side me bahut saare icons milenge.
Step#3. Unhi icons me Aapko ek “Lens Blur” Ka Icon dikhega. Ab Aap uss par click kar dijiye.
Step#4. Iske Baad aap kisi aise object ki photo lijiye jiske sath aur koi object na ho. Uske background me jo chahe wo chize ho sakti hai.
Step#5. Ab Jaise hi aap photo click karenge. Aapko Phone ko upar thoda sa uthane ke liye ek symbol show kiya jayega. Tabhi aapko phone ko dhire se upar ki taraf uthana hai.
Step#6. Ab uske baad kuch seconds me Photo Render hogi. Render hone ke baad aapke Photo ka Background Automatic Blur ho jayega.
Note: Perfect shot lene ke liye aapko thode practice ki jarurat padegi. Fir bhi aap iss Google Camera App ke help se ek badhiya Blurred Background Wali Photo Click Kar sakte hain.
Google Camera’s Other Features:-
Google Camera’s Other Features:-
Google Camera ka use sirf Lens Blur ke liye nahi balki iske bahut saare features hai. Lekin iss app ko use karne ke liye aapke pass 1GB RAM wali phone hona jaruri hai. Iske jo khas features hai wo iss prakar hain.
#1. Auto-HDR+:
Google camera me ye feature Automatically work karta hai. Agar photo me light ki kami hai to hiss HDR effect se automatic light increase ho jati hai.
#2. Slow-Motion Video:
Agar aapke phone ke Default camera me Slow motion video banane ka option nahi hai toh yah App aapke liye bahut hi useful hai.
- 3 Best Video Editing Apps For Android [Hindi]