Android Phone ke Sabhi Calls Aur Message ko PC par Kaise Receive Kare Without Rooting
Hi Friends, Aaj mai aap sabhi ko Android Phone ka mast,amazing Tricks Batane wala hu. Jo Trick aaj mai apko bataunga shayad hi abhi tak kisi ne usse use kiya ho. Because Android Smartphone par jyadater log Google ke Gadget use karte hai. Is Trick Ka nam Hai Microsoft Cortana.
Ye Trick kaise kam karta hai pahle mai apko iske bare me Details me bta deta hu. Jisse aage sare process apko acche se samjh me ayenge aur aap pure Interest ke sath is Trick ko use karenge. Agar apko Cloud Computing ke bare me pta hoga to apko ye trick bahut asaan lagega.
But agar apko Cloud Computing ke bare me nahi pta hoga to yr Trick apko magic ki tarah lagega. To Chaliye dekhate hai ye trick kya hai aur ye kam kaise karta hai.
Microsoft Cortana kya hai:
Friends agar aap Windows 10 ka use karte hai. To Apko Microsoft Cortana ke bare me pta hoga, Microsoft Cortana bulkul Google Assistant ki tarah hai. And Microsoft Cortana , Google Assistant ki tarah hi kaam bhi karta hai. Basically Microsoft Cortana ek Speech Recognition App hai, jo apke Voice ko Command ki tarah use karta hai.
Microsoft Cortana me ek Extra Feature hai “Notification Synchronization”. Jiske use se aap apne Android Smartphone ke sare Phone Calls, WhatsApp, Messenger, SMS, App Notification ko apne Laptop ya Pc par receive kar sakte hai. Agar aapne apne PC ya Laptop me WhatsApp, Messenger ka App Install kiya hai. To aap waha se Direct reply bhi akr sakte hai.
Example ke taur par Suppose apke pass ek Android Smartphone hai aur ek Laptop ya Desktop hai. Aap kabhi College ya Office jate Time apna Phone Ghar par bhul gaye and us din apke ghar se kuch Emergency ya Important call (Mummy, Papa, Bhai, Bahan, Girlfriends, Beta, Beti, Biwi etc.) aane wala hai. To aise me aap Kya karenge agar apke Phone par Koi Call ya Message (WhatsApp, Messenger, twitter, Goggle+, etc) kar rha hoga to wo ghar par hi rah jayega.
But agar aap Is Trick ko use karte hai. To aapko sab pta chal jayega ki apko kaun Call kar raha hai aur Kya Message kar rha. Yaha tak agar aapka phone kahi kho jata hai to aap to apko Bus apne Laptop ko open aur bolna hai ” Hey Cortana Find My Phone” aur apke phone ke Location apke samne hoga.
Microsoft Cortana ko Android Phone aur Laptop me Install kaise kare:
Dosto agar apke Laptop me Windows 10 hai to apke Laptop me Microsoft Cortana by Default diya hota hai. And apko keval apne Android Phone me Microsoft Cortana ko Install karna padega.
Android Phone me Microsoft Cortana ko Install karne ke liye. Apko Bus apne Phone me Google Play Store ko open karna hai. Aur waha Search Box me Type karna hai “Cortana” . To apke Samne “CoA Preview” nam ka App ayega apko usi ko download karna hai. Ya aap Necche diye gaye link se direct download kar sakte hai.
Android Phone ke Calls aur Message ko Laptop me kaise Dekhe:
Jab apke Phone me Microsoft Cortana Install ho jaye. Tab aap Laptop aur Android phone ke Microsoft Cortana ko Synchronize karne ke bulkul ready hai. Aap neeche diye Step ko Follow karke apne Phone aur Laptop apas me connect kar sakte hai.
- Sabse pahle apko Microsoft Cortana par apna “Email” id Login karna hai. (Example- Outlook)
- Ab aap apne Phone me Cortana ko open karna hai aur uske “Setting” me jana hai.
- Jaise hi aap Setting par click karnege to apke samne bahut se option open hoker ayenge. Jisme se apko “Sync Notification” par click karna hai.
- Sync Notification me apko jitne bhi option apko Dikhange sabko “ON” kar dena hai. Aur jaise hi aap “App Notification Sync” ko ON karenge. Just uske neche apko “Choose Which App to Sync” ka option milega. Jisper click karke open karna hai.
- Jaise hi aap Choose App to Sync par click karenege apke samne. Apke Phone ke sare App Open ho jayenge. Aap usme se Un App ko ON kar dijye. Jisak apko Notification Laptop par chahiye.
- Apke Android Phone me Microsoft Cortana Set ho gaya hai. Ab apko apne Laptop me Cortana ko open karna aur Wahi Email Id Enter karke Login karna hai. Jis Email Id se aap Android Phone ke Cortana me Login kiya hai.
- Bus ab apke Android Phone ke Calls aur Message ka Notification apke Laptop par ane lagega. Aur agar aap apne Laptop par Messenger, WhtaApp, Map, Google+, linkedin, Tumble, Allo, Etc. jaise Software use karte hai. To aap apne Laptop se direct Reply kar sakte hai.
Dosto aap ise ek baar jarur use kare. Kyoki agar aap ise use karenge to apko ye kisi Magic se kam nahi lagega. Ye Computer revolution ka sabse best Trick hai. Jo Keval Cloud Computing ke jariye hi sambhav ho sakta hai. Mujhe aaj tak Computer Science me sabse acchi cheez Cloud Computing hi lga ha.
दोस्तों एक बार आप जरुर इस Trick use करे आपको बहुत मज़ा आया है . वैसे भी Microsoft की हर चीज़ सबसे unique होती है . उम्मीद है ये पोस्ट आपको पंसद आया होगा | अगर आपको इस पोस्ट कोई प्रॉब्लम हो या इस पोस्ट के बारे में आपके पास कोई विचार या सुझाव हो तो आप हमें जरुर कमेंट करे |
TechYukti ब्लॉग पर आने के लिए आपका धन्यवाद