Android Phone Me RAM Kaise Badhaye? Agar aap bhi apne karna chahte hain toh uske phle ye post aapko jarur padhna chahiye. Aapko phle hi bta du ki iss post me mai aapko Android Phone me RAM increase karne ka tarika nahi bataunga. Balki aapko mai aware karna chahte hunk i Android Phone Custom tarike se RAM badhana kitna sahi hai aur kitna nahi.
Agar aapko abhi bhi Android Phone Me RAM Kaise Badhaye janna hai toh aap Google Par search kar sakte hain aur iss post ko yahi se leave kar sakte hain. Jaisa ki maine bataya tha ki iss post me RAM badhane ke disadvantage ko hi btaunga. Kyuki Android Phone Me RAM badhana bewkoofi hai.
Android Phone Me RAM Kaise Badhaye?
Aap Apne Phone Me Theoretically RAM ko badha sakte hain lekin Logically ya Practically aapke Phone me RAM badhta hi nahi hai. Abhi aapko ye word agar samjh nahi aa rhe hain toh aap iss post ko aage padhiye.
Phone me Logically RAM nahi badhaya ja sakta jiska reason bhi btata hun. Isse phle aapko thoda sa Storage ke bare me btata hun .
RAM jo hoti hai chahe wo Phone ki ho ya PC ki Wo ek fastest memory hoti hai. Fastest ka matlab ki ye uss RAM ki jo Read aur Write speed hoti hai wo bahut jyada hoti hai. Matlab ki system jis speed se RAM se data ko le sakta hai ya Data ko de skta hai utni speed se kisi memory card dwara badhaye gye RAM se nahi milegi.
Waise toh RAM se fast memory hoti hai wo hai Cache memory. Lekin cache memory ki size bahut kam hoti hai. Lekin RAM me wahi chize store hoti hain jo Temprory hoti hai. Jaise hi aap phone ko off karte hain wo RAM se data delete ho jati hai. Iss tarah se RAM se hum lakho baar data ko uda sakte hain. Lekin agar yahi chiz kisi external storage ke sath kare toh usme problem ho sakta hai. Aur processor bhi RAM ke through hi kaam karta hain yani data ko leta hai.
Aapne dekha hogi ki phone ko Root karne ke baad Memory card ke kuch storage ko hi RAM me convert kar diya jata hai. Lekin wo RAM kaam me aa jayegi. Lekin usse aapka phone aur bhi Downgrade ho jayega.
Aisa isliye hoga kyuki aapke phone me RAM ka kuch part bahut high speed par hoti hai aur kuch RAM slow speed me hoti hai. Aur iss tarike se Read Write speed kabhi match kar hi nahi payega. Jisse aapke phone ke processor par bura asar padta hai.
Aur jo hamara external storage hota hai wo permanent storage purpose ke liye banayi jati hai na ki RAM ke liye. Lekin log lage pade hai Phone ki RAM badhane me.