Top 5 Best Budget Smartphone in india
Hi Friends ! Waise toh abhi apne India me 3G thik se chala bhi nahi ki 4G LTE launch ho gya. Aur iss time par koi bhi banda Smartphone lene ki soch rha hai toh usme 4G jarur chahiye. Baad me wo use kare ya na kare. Isi ko dekhte huye iss post me aapko mai Best 4G LTE SmartPhones Under 10000 suggest karunga.
Market me aapko itne sare options milte hain jisme aap confuse ho jate hain ki kon sa phone lena sahi rhega aur kon sa nahi. Aap bahut time tak Specifications ko compare karte rhte hain fir bhi aapka confusion bana hi rhta hai.
Isi confusion ko dur karne ke liye mai Features aur Performance ke base par aapko Best 4G Phones ke bare me bataunga. Ye sabhi Smartphones Android ko support karte hain. Aur ye sabhi phones 2016 me hi launch huye hain.
List of Best 4G LTE Smartphones Under 10000:
#1. Asus Zenfone Max:
Jaise ki aapko pata hoga ki agar hum 3G me Mobile Data ka use karte hain toh Battery Life bahut hi kam hoti hai. Aur isi tarak 4G LTE network par aur jyada Battery consume hoti hai. Isiliye battery aur processor ko dhyan me rkhte huye Asus Zenfone Max ek better option hai.
Asus Zenfone Max Smartphone me aapko 5000 MaH ki Battery milti hai. Aur baki iska performance bhi bahdiya hai. Aur Camera quality bhi ek number hai iss range me.
#2.Redmi Note 3:
Waise to 2016 ki 10000 ke range me meri sbse phli pasand hai. Jbse ye launch hua hai tabhi se mai iss phone ka bahut bada fan hu. Chaliye mai aapko iske overview ke bare me bhi bata du ki yah phone aapko sbse best performance dega. Kyuki isme Battery, Camera , Processor ek dum best quality ke lage huye hain. Isme aapko Snapdragon 650 Milta hai. Jo ki battery par bahut hi kam effect daalta hai. Aur sath me fingerprint ka maza hi kuch aur hai.
Waise agar aap 2000 Aur kharch karna chahte hain toh aapko iska 3GB aur 32GB storage wala version le sakte hain. Redmi Note 3 ka Review aap Hindi me padh sakte hain.
#3. LeEco Le 1S:-
Chinese Smartphone Company LeEcone India me bhi apna paaw jama liya hai. Aur aaye din ek se ek phone launch kar rhi hai. February me launch huye LeEco Le1s me aapko 5TB ka Cloud storage milta hai wo bhi bilkul free. Aur yah bhi Redmi Note 3 ke takkar me hain. Toh Best 4G LTE Phone ke list me LeEco Le 1S bhi aa jata hai. Is Phone me bhi aapkoFingerprint milta hai.
#4. Lenovo Vibe K5 Plus
Agar ek budget 4G smartphone ki baat kare toh aapko 8500 aur 7000 INR me Lenovo Vibe K5 Plus aur Lenovo Vibe k5milta hai. Jisme aapko Camera ke sath ek badhiya processor aur Battery Life bhi milti hai. Sath me Lenovo Brand ka bharosha. Lenovo Vibe K5 Plus me bhi aapko Snapdragon Processor milta hai.
Iss dono version me aapko sirf Processor ka difference milta hai aur baki ke sabhi features same hain
Lenovo Vibe K5 7000 Me Kharide:- Buy Now
#5.Coolpad Note 3 Plus:
Coolpad Note 3 ka upgraded version me aapko Display full HD milti hai. Aur baki sab phle wale hi features hai. Toh agar aap 10000 ke andar ek fingerprint aur 3GB RAM ke sath 4G LTE network wala phone lena chahte hain toh aapke Liye Coolpad Note 3 Plus bhi ek achha option hai.