Blogger BlogPost Ke Middle Me Ads Kaise Lagaye 2 Minutes Me:
Hi Friends ! Agar aap Blogger par Blogging Karte hain toh aapke liye yah bahut hi useful post hai. Iss post me maine bataya hai ki Aap Blogger Me Blogpost Ke Middle me Adsense Ads Kaise lagayenge.
Iss Blogger Trick ke dwara bss ek baar aapko Setup karna hai uske baad aapke sabhi post me automatic middle me ads show karne lagenge. Iske phle agar aap Ads Code ko baar baar apne Blog Post me copy karte the toh ab wo aapko nahi karna padega.
Middle me ads lagane ka Sbse bada fayda yah hai ki aapko CTR high milega. Jisse aapki Earnings badh jati hai.
Waise wordpress par jitney bhi Blogs aur websites hai unme Plugins ka Use karke Hum Ads ko Blog Post ke bich me kahi bhi laga sakte hain. Lekin Blogger me features limited hone ke karan thoda mushkil lagta hai. Lekin iss trick ke help se bhi aap Blogpost ke middle me ads laga sakte hain.
Blogger Ke Sabhi Post Ke Bich Me Ads Lagane Ke Liye Steps:
#1. Sbse Phle aap apne Template ka backup le lijiye. Kyuki agar baad me koi error aaye toh aap usko recover kar sake.
#2. Apne Blogger Dashboard se Templates par Click kare.
#4. Ab CTRL+F Click karne par aapko ek Search Box dikhayi dega. Jisme aapko niche diya gaya code Search Karna hai.
Note: Iss code ke jaise aapko 2 ya 3 codes dikhayi denge. Aapko 2nd wale code ke sath niche wale code ko replace karna hai. Agar 2nd wale par work na kare toh aap 3rd wale code par replace karke dekhe.
#5. Ab niche diye code ko copy kare aur jaisa maine 4th step me bataya hai waisa follow kare.
#6. Upar diye gaye code me “यहाँ पर adsense कोड paste करे” Ke Jagah par apne Adsense ka Code simply paste kar dijiye.
Note: Aapko Adsense Code ko kisi dusre format me convert nahi karna hai. Aapko jaisa code milega whi same paste kar dena hai.