Hi Friends, Aaj hum baat karenge ki Hame Cashless Transaction or Online Money Transaction kyo karna chahiye. As well as Cashless Transaction se hame aur hamare Country ko kya Benefit (fayada) hoga. Maine Cashless Transaction se hamare Country ko hone top 10 benefit ke bare me socha hai. Shayad apko bhi ye benefit pasand aaye. Agar apko in sare top 10 benefit me se koi bhi benefit acche se samjh me aa gya. Aur aap Online Money Transaction ka Use karne lage. Toh aap apne Country ko jaldi Development Country ke roop me dekhenge.
Top 10 Benefits of Cashless Payment:
Friends Jab se 500 aur 1000 Note Ban huye hai. Tab se Indian Government aur RBI ne Cashless Transaction System ko bahut Improve kiya hai. Ab aap Online ghar baithe hi 10 se 10,00000 Rupaye Transfer kar sakte hai. Agar apko Cashless Transaction ke bare me janakri nahi hai. Toh aap neeche diye gaye kisi bhi Link par click karke. Online Payment or Transaction ke bare me puri jankari hasil kar sakte hai.
Ye Dono Service ka Use India ke lagbhag sabhi Bank karte hai. Agar apka kisi bhi Bank Me Account hai. Toh aap In dono Service ka use Cashless Payment or Fund Transfer ke liye kar sakte hai. Agar apko Cashless or Online Payment ke bare me pta hai. Toh chaliye dekhate hai. Inse hone wale Top 10 Benefit ke bare me.
#1 Black Money Par Lagam:
Jab se 500 aur 1000 ke note ban huye. Tab se aap Daily News me dekhate hong. Yah 10000 Million Rupaye Black Money pakada gya. Waha 500000 Rupaye Black Money Pakada gaya. But kya apko pta hai jinke pass Black Money pakade gaye. Wo rupaye unke pass kaha se aaye. Ye Rupaye hamare aur apke hai aur ye wahi rupaye hai. Hum jinka Use Product Purchase karne ke liye karte hai. Jab bhi hum koi Product Offline Pay karke Purchase karte hai. Toh Distributor, Businessman in sab paiso ka Pura hisab Indian Government ko nahi dete hai. Aur wo Offline Pay kiye Cash ko apne pass jama kar lete hai. As well as wo un Paiso ka Income Tax bhi pay nahi karte hai.
But agar aap agar aap Online Cashless Transaction System ka use karte hai. Toh un sare Paiso ka hisab Indian Government aur RBI ke pass rahega. Jisse Black Money par 100% tak lagam lag jayega. Agar Black Money par rok lag gaya. Toh India ko America banane se Koi nahi rok sakta hai. Kyoki Wikipedia ke anusar abhi 2016 tak India me INR92.5 Billion Back Money Hai.
#2 Jali Note Karobar Par Lagam:
Agar aap Cashless Online Payment ka use karte hai. Toh Jali Note Karobar ekdum band ho jayega. Kyoki jab kisi ko Cash ko jarurat hi nahi hai. Toh Market me Jali Note rah kar bhi kya karenge. Waise bhi ab Jali Note ke Karobari heart Attack se mar jayenge. Kyoki RBI ne aise Note banaya hai. Jiska Duplicate banane me 10 Year se bhi jayada samay lag jayega. Ab jab bhi koi Jali note banayega toh RBI use 10 Minute me identify kar lega. Ki Kaun jali Note hai aur kaun Original Note hai.
But agar hum log jayada se jayada Cashless Payment ka use karne lage. Toh hum Indian Government aur RBI ka Help kar sakte hai. Jali Note Karobar rokane me.
#3 Terrorism ko Funding Nahi Milega:
Friends RBI ke Anusar Terrorism ko sabse jayada Funding Jali Note ke Karobari karte hai. As well as Jinke Pass Black Money Hota hai. Wo log India me aane wale Terrorist ko sabse jayada Funding karte hai. Aise me agar hum Cashless Transaction Use jayda se jayda karte hai. Toh Hamare desh me na Black Money rahega aur Jali Note. Agar Black Money aur Jali Note Desh me nahi rahenge. Toh Koi bhi Terrorists ko Fund Provide nahi karega.
Agar terrorism ko Funding nahi milega. Toh 90% tak terrorism ko waise hi khatam ho jayega. Kyoki Kisi bhi Terrorist Desh ke pass itna paise nahi hai. Ki wo Terrorism ko itna paisa Pay kar paye. Apko ye jan kar hairani hogi but Terrorism ko sabse jayada Funding India se milta hai. Toh aise me agar aap India ke ek jimmedar Nagrik hai toh aap jitna ho sake. Utna Cashless Transaction ka use kare. As well as apne dekh ko 26/11 jaise Terrorist Attack se bachaye.
#4 Tax Chori Par Lagam:
Jaise ki mai apko pahle bhi bat chuka hu. Black Money aur Income tax Chori ek dusare ke purak hai. Agar aapke Income ke bare me Indian Government jankari nahi hai. Aur aap apne Income ko Tax se bachane ke liye apne pass Cash, Gold, ke Roop rahate hai. Toh wo ban jata hai Black Money.
Hum aap chahe toh Income Tax chori par lagam lag sakta hai. Agar hum aap Cashless Payment kare toh Kisi bhi shopkeeper , Distributor, Dealer , Businessman ke pass Cash me Paise nahi jayega. Agar Cash me Paisa unke pass nahi jayega. Toh unhe apne sare paiso ka hisab Indian Government aur Income Tax department ko dena hoga. Aur apne sabhi Income ka Tax pay karna padega.
Ye baat to pure desh ko pta hoga ki Tax ka paisa Indian Army, Airforce, Navy, Education, Technology, NGO, Hospitality , Charity Donate, Research & Invention Ect. Jaise jagah par kharch hota hai. Agar aap chahte hai India ke pass World ki sabse Powerful Country bane. Toh aap Jayda se jayada Cashless payment ka use kare. Aur desh ko Tax choro se bachaye.
#5 Ghuskhori (Donation) Nahi hoga:
Black Money ke bad agar India me kisi aur Bimari ka sabse jayada kahar hai. Toh wo hai “Ghuskhori (Donation)” ye aise Bimari hai. Jo lagbhag sabhi Government Worker ke pass hota hai. Chahe wo dekh ka ek chota sa Sarkari Chaprasi ho ya Desh ka sabse bada IAS Officer. Sab Ghuskhori nam ke Bimari se garsat hai. RBI ke anusar Ghuskhori , Tax Chori aur black Money ka main reason hai.
Chuki Donation ka asali matlab hota hai. Apne iccha se kiya gaya Dan but India me Iska Matlab hota hai. Table ke Neeche se diya gaya Cash “Ghus”. Agar aap Cashless Payment, Online Money transfer ka use Karte hai. Toh Desh me aage Ghuskhori nam ki Bimari ko ekdum khatam kiya ja sakta hai.
For Example- Agar aap Suppose aap apne District ke District Magistrate Office me jate hai. Aur apko koi Kam hai. Jiske liye DM Office se 10,00000 ka Donation maga ja rha hai. But aap unse ye kahiye ki mai apko Donation apke Account me Online Transfer kar dunga.
Agar aap ye kane wale akele honge toh apka kam nahi hoga. But agar us kam ke liye sabhi Log aisa kanhe lage. Toh wo kisi se bhi ek rupaye bhi ghus nahi lenge. Aur sabka kam kar denge. Agar hum aap aur pura desh Cashless Transaction ka use karene. Lage Toh 100% Corruption aur Ghuskhori ko khatam kiya ja sakta hai.
#6 Economy Strong Hoga:
Forbes ke Anusar India World ke Top 7 Economic Country me aata hai. As well as India ka GDP (Gross Domestic Product) $2.25 Trillion ka hai. Jo ki America ke GDP ($18.7 Trillion) se karib $16.45 Trillion Kam hai. But agar India ke pass Sare Black Money ka Hisab ho aur Sabhi Tax payee pura Tax pay kare. Toh India 2025 tak duniya dusara sabse bada Economic Desh ban jayega.
Aur ye tabhi sambhav hai. Jab hum aap jayada se jayada Cashless Transaction karenge. Kyoki Online Payment hi ek aisa rasta hai. Jiske jariye RBI, Income Tax As well as Indian Government. Sabhi paiso ka hisab rakh sakti hai. Aur Jitne bhi Tax payee hai. Unse Tax pay kar sakti hai.
#7 India ek Fast Developing Country Ban Jayega:
Apko pta hoga ki Hamara desh ek Developing Country hai. Aur ye Development country ki side improve ho rha hai. Abhi 2015 se India top 10 fast Growing me 4 Number par aa gaya. Kyoki 2015-16 me India ka growth 7.6% raha. But agar India ke pass Sare Black Money ka hisab ho jaye. Aur Us sare Paiso ko India ko Tax mil jaye. Toh ye 2020 tak duniya sabse Fast Developing Country ban jayega.
But ye tabhi possible hai. Jab Desh me Smart Transaction ka Use hoga. As well as Cashless Translation or Online Money Transfer System. Kyoki Abhi tak Jitna Black Money aur Tax chori tha wo toh Indian Government Nikal rha hai. But Future me fir se aisa na ho. Iske liye hum aur apko Cashless Transaction kar Use karna hoga.
#8 Cashless payment Service Providers ke Startup ko Benefit Milega:
Agar hum aap Cashless Transaction karte hai. Toh hum apke Desh me ek aur Online Business System ko Increase kar sakte hai. Wo business “Cashless Payment Service”. Jaise ki Paytm, UPI, Net Banking, Pay Etc.
For Example- Abhi kuch din pahle tak 90% Log UPI kr bare me nahi janate the. Aur UPI Service ka use bhi nahi karta hai. But jab se 500 aur 1000 ke note ban huye. Aur Indian Government Privacy lga diya. Ki aap Bank ek week 20,000 rupee hi nikal sakte ho. Tab se online Money Transfer ke Liye UPI Service ka bahut log use kar rahe hai. Aur UPI Service Providers ko kuch benefit ho rha hai.
Agar hum aise hi future me bhi Cashless Transaction karte rahe. Toh UPI (Unified Payment Interface) jaise bahut se Cashless Payment Service Providers ke Startup me Benefit hoga. Isse hamara bhi fayada hai. Kyoki agar aap Bank me jaker money transfer karte hai. Toh apko kuch charge pay karna padta hai. But agar aap yahi Online Service ka use money transfer ke liye karte hai. Toh apko kuch Cashback bhi mil jata hai.
#9 Chori Hone ka Dar khatam:
Socho India me har Year kitne log Paiso ki wajah se mare jate hai. Har din News paper me Paisa chori ko laker koi na koi news jarur aata hai. Hum Jab bhi Cash laker sath chalate hai. Toh hame chori hone ka dar lga rahta hai. But agar hum Cashless Transaction ka use karte hai. Toh kabhi bhi hume chori hone ka dar nahi rahega.
#10 Samano (Product) Ka Price Kam hoga:
Hamare desh me 90% Product ka Price Local Distributor aur Dealer tay karte hai. Kyoki iska Main reason hai, Hum jayada tar Product Cash pay karke Purchase karte hai. Agar aap Product purchase karne ke liye Online Payment use karte hai. Toh koi bhi Dealer Product ka Price Increase nahi karega.
Kyoki agar Jab aap Online Payment ka use karenge. Toh dealer ke dwara liye gaye product ke Price par tax lagega. As well as Dealer jitna jyada product ka price Increase karega. Uske uper utna Tax Increase hoga. Isliye wo hamesha apne product ko Company Price ya ITC (Indian Trade Center) ke dwara decide price par Sale karne ki koshish karega. Jisse Product ka price Decrease hoga.
Conclusion:
Dosto Top 10 Benefit of Cashless Payment Service se apko samjh me aa gaya hoga. Ki Cashless Payment se hame aur hamare desh ko kitna benefit ho sakta hai. Agar hum Jayada se jayada Cashless Payment ka use karte hai. Toh wo din door nahi hai. Jab India ke 90% log Tax payee ho jayenge. As well as India bhi ek Development Country ho jayega.
Aap mera Bishwas kijiye Cashless Transaction , Cash Transaction se bahut asaan aur Secure hai. Agar aap ek bar Cashless Service ka use kiye. Toh aap Online Payment ke liye hamesha Cashless payment ka hi use karenge.
Sochiye agar apke ghar me raat ko 12:00 koi bimar pad gaya. Aur aane wala agla din Sunday ho. Toh aap Kaise hospital ka Bill pay karenge. Shayad Paise na hone ki wajah se Death bhi ho sakta hai. Kyoki hum sabko pta hai. Hospital me Paise ke bina ek Minute bhi rahane nahi dete. But agar aap wahi par Cashless Transaction ka Use karte. Toh aap apne Smartphone se bahut araam se Hospital bill pay ka sakte hai.
उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा और आपके लिए हेल्पफुल रहा होगा | अगर इस पोस्ट के बारे में आपके पास कोई सुझाव या विचार है | तो आप हमें कमेंट जरुर करे |
TechYukti ब्लॉग पर आने के लिए आपका धन्यवाद्