Do Smartphones Cause Cancer? क्या Smartphone को Use करने से कैंसर होता है? हिंदी में जानिए
Hi Dosto ! Aapke man me kabhi na kabhi ya sawal jarur aaya hoga ki Kya Smartphone Ko Use karne se Cancer ya Koi Bimari hoti hai ? Waise toh yah article mai aap logo ke awareness ke liye post kar raha hun. Aur yah topic kuch dino se Goolge Par trend me bhi hai.
To iss post me main aapko btaunga ki Kya Smartphone Use karne Se Cancer hota hai?
Do Smartphone Cause Cancer? Know in Hindi :
Dosto Smartphone ek wireless technology par based ek electronic device hai Jo Electromagnetic Waves ke dwara kaam karta hai. Toh Aise me janna yah bahut hi jaruri hai. Jab maine iss topic ko Google Trends me dekha toh maine bahut se jagah par iske bare me padha ki Smartphones Ko use karne se cancer hota hai ya nahi.
Agar smartphone se related koi term nikal kar aata hai toh wo hota hai “Radiation”. Aur jaha tak mujhe ummeed hai ki aapne Kabhi na kabhi Radiation ke bare me toh jarur suna hoga.
Aur Radiation sunte hi ek normal Smartphone User tension me aa jata hai ki pata nhi kon si wave hai aur isse body ko kya kya nuksan ho sakta hai. Kahi aisa na ho ki phone ko jyada use krte karte Cancer ka Shikar na ho jau.
Toh aise me mai aapko Assure kar dena chahta hun ki Radiation se Cancer hota hai Lekin sabhi tarah ke Radiation se Cancer nahi hota hai. Aur jo hum Smartphone Use karte hain usse toh bilkul bhi nahi hota hai.
Mobile Phones me Radio Waves ka use kiya jata hai. Ye Radio Waves ki energy bilkul hi Low hoti hai. To iss tarah ke Radio Waves aapke body ko kisi bhi tarah se nuksan nahi pahuchati hain.
Agar Electromagnetics waves ke bare me aapko deep me janna hai toh aap niche image se compare kar sakte hain. Starting me aap dekh rhe honge ki sbse kam frequenc y ki waves hai uske baad jaise jaise aage badhte hain aapko Radio Waves, Micro Waves, Infrared, Ultra Violet, Visible Light, X-Rays, Gama Rays Dekhne milta hai.
Iss upar dikhaye Gaye Charts me yah khas baat hai ki jaise jaise Frequency badhti ja rahi hai waise waise inka Energy Level badhta ja rha hai. Toh aise me jo nuksandayak waves hain wo shuru hoti hain Ultra Voilet waves ke baad se. Iska matlab yah hai ki Ultra Voilet kuch had tk nuksan pahuchata hai. Aur uske baad X-Rays aur Gama-Rays hain wo toh hamare Body ke liye bahut hi jyada nuksandayak hain.
Aapne suna hoga ki Sunlight me Bahar niklne par Ultra-Voilet rays ka khatra rhta hain. Lekin isse niche ke frequency wale waves jaise Infrared, Micro waves, Radio waves se dur dur tak nuksan pahuchane wali koi khatre ki baat nahi hai.
Agar aapko fir bhi lgta hai ki Smartphone se aapki body ko khatra hai toh aapko pta hona chahiye ki sabhi country ne SAR value ke limit ko set kiya hai. Jaise hmare India me hain 1.6 watt/Kg . Aur yah limit bhi bahut jyada badha kar rakhi gyi hai.
Aur India me aapko job hi Phones dekhne ko milte hain unme SAR value 1.6 maximum hota hai. Toh aapko darne ki koi bhi baat nahi hai. Kisi bhi tarike se aap Phone ko kitna bhi use kare.
Myth:
#1.Kuch logo ke man me yah galat bhawna hoti hai ki Smartphone ke Radiation ke wajah se unko Headache ho gya.
#2.Agar aapko kisi bhi tarike ki bimari hoti hai toh uska Smartphone se koi lena dena nahi hai.
#3.Market me aapne dekha hoga ki radiation Dur karne ke liye kuch accessrories milti hai. Unko phone ke piche chipka lene se radiation kam ho jata hai. Aisa aap bilkul na kare. Kyuki wo sab fake hota hai. Ya fir aisa bhi ho sakta hain ki wo ulta bhi kaam kar sakta hai.
Aaj tak jitni bhi researches huyi hai isse pata chlta hai ki phone ko use karne se aapke body ko koi bhi problem nahi hoti hai. Lekin hamare India me Faith-Blind bahut jyada hai. 30% लोग नजर सुरक्षा कवच पहनते हैं की कही नजर न लग जाये. तो ऐसे लोगो को स्मार्टफोन पर भरोषा दिलवाना दीवाल में सर पटकने जैसा है.
दोस्तों ! उम्मीद है की यह पोस्ट आपको पसंद आई होगी . और आपके मन में स्मार्टफोन के खतरों से लेकर जो भी सवाल था उसका जवाब आपको क्लियर हो गया होगा. अगर आपको कोई भी सवाल करना है तो आप बेहिचक फेसबुक पर मेसेज या नीचे कमेंट कर सकते हैं.