Hi Friends..Kaise hain aap log. Facebook Chala chala ke agar bor ho ho gye hain toh Aaj ka post aapke liye thoda interesting ho sakta hai. Kyu iss post me Mai aapko bataunga ki kaise aap apne Facebook Profile ko Fanpage me convert kar sakte hain. Aur aapke jitney bhi friends honge wo Followers yani Likes me convert ho jayenge.
Agar aapke account par 5000 Friends ho chuke hain toh aapko pata hoga ki aap 5000 Se adhik friends nahi bana sakte hain. Lekin fir bhi aapko Friend Request aa rha hai. Toh aise me aapko apne Facebook Profile ko Facebook Fanpage me convert kar lena chahiye.
Facebook Profile Ko Facebook Fanpage Me Badlne ke Fayde:-
Agar aap soch rhe hain ki Aisa karne se kya fayda hona wala hai. Toh mai aapko kuch fayde bata du jisse aapko jyada sochne ki jarurat na pade.
#1. Sbse phla fayda toh aapke jitney bhi Friends hai facebook profile me , wo sb aapke likes me change ho jayenge.
#2. Aapke 5000 Friends ki limit ki tension bhi khatam ho jayegi.
#3. Aapka Official Page ho jayega.
#4. Aap customize username bana sakte hain.
#5. Apne Profile Pictures Ko Page par import kar sakte hain. Jabki alag se naya page bnane me aapke koi bhi pictures import nahi honge.
Toh Dosto ! Ab aapko pata chal gya hoga ki Facebook Profile ko Facebook page me convert krne ke sirf fayde hi fayde hain.
Chaliye ab mai batata hun Ki kaise aap Apne Facebook Profile ko Facebook Fanpage me convert karenge.
How to Convert your FB Profile into FB Page:
Step#1. Sbse Phle Facebook loging karne ke baad Aapko Niche Diye Gaye Link par jana hai.
Link:- https://www.facebook.com/pages/create/migrate
Step#2. Uske baad “Get Started” Par Click Karna Hai.
Step#3. Get Started par click karte hi aapka Facebook Profile , Facebook Page me convert ho jayega.
Step#4. Aapko Ek Aur “Get Started” Option milega, Jisme Aap apne facebook page ki information ko set karne ke liye kaha jayega.
Step#5. Ab aap apne According sabhi information ko fill kar sakte hain. Uske baad Next Par Click Kijiye.
Step#6. Next par click karne ke baad aapko puchha jayega ki aap kin kin friends ko chahte hain ki wo aapka page like kare. Unko aap select kar sakte hain. Aap “Select all” bhi kar sakte hain.
Aap Jaise hi Select all par click karte hain. Uske baad aapke page par sabhi friends ke like automatically ho jayegi.
Step#7. Ab fir se next karne par aap apne kisi bhi ek Photo album ko apne Facebook page me import kar sakte hain. Mai aapko recommend karunga ki aap profile pictures ko hi import kare.
Step#8. Ab aapka Facebook page ready hai.
Aap apne facebook page ka username address apne hisab se kuch bhi rakh sakte hain.
Agar Aapko Iss article ka Video Dekhan hai Step by Step toh Iss video ko follow kar sakte hain:
तो दोस्तों उम्मीद है की आपको फेसबुक प्रोफाइल को पेज में कन्वर्ट करना समझ में आ गया होगा. फिर भी आपको कोई डाउट है या कोई सुझाव देना है तो आप कमेंट कर सकते हैं. हमे आपके फीडबैक का स्वागत करते हैं . और हां प्लीज हमारे ब्लॉग का फेसबुक पेज भी लाइक कीजिये. जिससे आपको सभी updates फेसबुक पेज पर भी मिलते रहे .