Hi Friends, Aaj mai apko Kuch Useful App aur Website ke bare me batane wala hu. Jo apke Problem ko Kam kar sakte hai. Waise bhi aaj kal log Subah uthate hi Bank ya ATM ke Line me Lag jate hai. But Ab kuch din se aisa ho rha hai ki Bahut se ATMs me Cash hi nahi hai. Toh isse Log aur pareshan ho gaye hai. Aaj aise hi Problem ko Solve karne ke bare me maine kuch Trick aur Website ke bare me bataya hai. Jisse aap asaani se apne Smartphone ya Laptop me search kar sakte hai. Ki Kaun se ATMs me Cash hai aur us ATMs ka Address kaha hai.
2000 rupaye ko Bank me aaye sayad ek Week ho gaye. But aap dekha sakte hai Rs 500 aur Rs 1000 ko Change karne ke liye. Logo bank ke bahar long Queues me lage hai. But ek bar fir Computer Science & technology ne ye sabit kar diya. Ki Inse Bahter ko bhi Technology nahi hai. Kyoki is Technology ne apke liye kuch aise Tool Invent kiye hai. Jiske help se aap ghar baithe pata kar sakte hai. Ki kaun se ATMs me CASH hai. As well as us ATMs ka Address kaha ka hai. to chaliye dekhate hai.
How To Find ATM with Cash:
Agar aap ghar baithe ye pta akrna chahte hai. Ki kaun se ATMs me Cash to apko apne Phone kuch App Download karne honge. Ya Phir aap Direct Website se Bhi Seach kar sakte hai. Toh is Liye apko kuch Website aur App ke Bare me batane wala hu. Jo apko Cash wale ATM Search karne me help karenge.
#1 Walnut : Money Manager App:
Walnut ek app hai jise aap apne Smartphone me Install kar sakte hai. Agar aapke Pass Android Smartphone hai. Toh aap is Google Play Store se Download kar sakte hai. Basically ya ek Financial Management App hai but is Sath-sath aap isse ye bhi pta kar sakte hai. Ki Kaun se ATMs me Cash hai aur Map me dekh sakte hai. Wo ATMs kaha hai.
Feature of Walnut ATM Finder:
- Find ATMs with Cash near you in real time
- Transfer Money to your Friends for Free
- Pay Credit Card Bills
- Check bank balance
- 40+ ATM Cards Supported
Download Walnut atmCash Finder App
#2 Cash No Cash Website:
CashnoCash.com ek Website hai . Jise Quikr ne banaya hai Cash no Cash ke help se aap Area PIN se ye pta kar sakte hai. Ki Kis ATMs me Cash Hai. Bus Iske liye apko Simple apne laptop ya Smartphone me Cashnocash.com open karna hoga. Uske bad aap Search Box me apna Area Pin Code Enter karke Search par click kare de. kuch hi samay me un sare ATMs ke List aur Address apke samne hoga. Jisme Cash hai.
- Jise ATMs me Cash Hoga Usse “Green Color” se Show karega.
- Jise ATMs me Cash nahi hoga usse “Red Color” se Show karega.
#3 CMS ATM Finder:
CMS (Content Management System) Infosystems aise Organization hai. Jo desh ke labhag 50,000+ ATM ko Manage karti hai. CMS ne apka kuch ek ATM Finder Tool banaya hai jiske Help se aap ATM ke bare me sari Information pat kar sakte hai.
Basically CMS ka ATM Finder Tool ek Website hai. Jaha par aap “State” aur “City” Select karke ye pta kar sakte hai. Ki City me Kaun sa ATM Work kar raha hai. As well as Kaun se ATM me Cash hai. CMS ATM Finder se aap apne City hi nahi balki India ke kisi. Bhi City ke ATMs ke Bare me Information pat kar sakte hai. Ki Kisi-kis City me kaun kaun se ATM Work kar rahe hai.
Read: UPI App Kya Hai? Online Paisa Send & Recieve kaise kare
Agar aap Organization ke hisab se mane to CMS ATM Finder apko Sabse Genuine Information dega. Kyoki CMS ka Main Kam hai ATMs ka Setup karna aur unke Status ke bare me Information rakhana.
Aap is Link se Direct CMS ATM Finder Tool tak pahuch Sakte hai. Aur Sabhi Working ATMs ke Bare me Information hasil kar sakte hai.
CMS atmCash Finder Tool
Conclusion:
Dosto Agar aap in Sare Financial Tool ka Use karenge. Toh apke Money Problems ka Solution mil sakta hai. Shayad aisa ho apke ghar ke koi ATM Work kar raha ho aur apko uske bare me janakri na ho. Toh aise me ye sare Tool apke Liye Helpful ho sakte hai. Agar apke pass Smartphone hai toh aap Walnut nam ka App Download kare sakte hai. But agar apko Apps use karne nahi aat hai. Toh aap Simple CMS ATM Finder tool ya Cashnocash Website Ko open kijiye. Aur usme Pooche gaye Information ko Fill kijiye. Apke pass us sare ATMs ke List hoga jin ATMs me Cash hoga.
उम्मीद है ये पोस्ट आपके लिए हेल्पफुल रहा हो और आपके प्रॉब्लम को Solve करने में आपको सहायता मिला हो | अगर आपके पास इस पोस्ट के बारे में कोई सुझाव या विचार हो तो आप हमें कमेंट करे |
TechYukti ब्लॉग पर आने के लिए आपका धन्यवाद्