IMEI Se Phone Ko Kaise Pta kare?
Hi Friends, Aaj ka ye post sabhi Android user ke liye hai. Kyoki Agar apka Phone kahi kho (Chori) ho gya. Toh aap apne Phone IMEI Number ko Galat use hone se kaise bacha sakte hai Or IMEI Se Phone Ka Location Kaise Pta kar sakte hai. As well as Agar kisi Android User ka Smartphone kahi kho gaya hai toh uska IMEI Number pta karna chahte hai. Hamare bahut se dost aise hai jinko IMEI Number ke bare me janakri nahi hai. Toh mai apko sabse pahle IMEI Number ke bare me bta deta hu. Jisse apko ye pta chal jayega ki IMEI Number apke liye Kitna Important hota hai. As well as Agar apko IMEI Number koi aur Use kar raha hai. Toh apko kya Problem ho sakti hai.
IMEI Number Kya Hota hai ?.
IMEI (“International Mobile Equipment Identity”) ek 15 se 17 digit ka Unique code hota hai. Jo har ek Smartphone ke liye alag-alag aur Unique hota hai. Agar apke Phone me Removable Battery hai. Toh aap apne Phone ke Battery ko Nikal kar apne Phone ka IMEI Number dekh sakte hai. But agar apke Phone me Non-Removable Battery hai. Toh aap apne Smartphone me ” *#06# “ dial karke. Apne Phone ka IMEI Number check kar sakte hai.
IMEI Number ke Galat use se apko Kya Problem ho sakte hai?.
Dosto agar apke Smartphone chori ho gya. Ya apka Phone kahi kho gaya hai. Toh aise me agar aapne Phone Customer Care ya Police Station me Complaint karke. Apne IMEI Number ko Block nahi karaya hai. Aur apke Phone IMEI Number ka galat use ho raha hai. Toh iske liye apko Jail ho sakta hai. Ya fir apko Fine bharan pad sakta hai. As well as aap isse bade Problem me bhi fas sakte hai.
Agar apka Phone kahi kho gaya hai. Aur apke Pass Phone se Related kuch Bhi nahi hai. Jisse apke Phone ke IMEI milne ka chance ho. Jaise ki Phone Box, Bill, Charger etc. Toh aap neeche diye gaye Android Phone trick se apne Phone ka IMEI pta kar sakte hai.
Khoye Huye Phone Ka IMEI Number Kaise paye:
Suppose apka Phone Kahi kho gaya. Jisme apka bahut se Important data tha aur apka Phone bhi Costly tha. Toh iske liye jab aap Police Station me apne Phone ke liye Complaint karne jayenge. Toh Police apse apke Phone Track karne ke liye. Apke Phone ka IMEI Number pochegi. Toh aise me agar apko is Google Service ke bare me pta hai. Toh aap apne khoye Huye Phone ka IMEI Number pta kar sakte hai. Agar apko apne Khoye (Lost) Smartphone ka IMEI pta karna hai. Toh apke pass ek PC hona chahiye jisme Internet ki subidha ho.
- Sabse pahle aap apne PC me Google Chrome Browser Open kare. Aur Chrome Browser me “google.com/Setting/Dashboard” Search karna hoga. Agar apko Search karne me problem ho raha hai. Toh aap Link se Direct Google Dashboard Login par ja sakte hai.
- Jaise hi Google Setting ke Dashboard Open hoker ayega. Uske apke Gmail Account se Related apko sari Information dikhega.
- Yaha par apko “Android option” par click karna hai. Jaise hi aap Android par click karenge. Apke Phone ka IMEI Number apke samne Open hoker aajayega. Aap usse Note karke apne Phone ko Track kar sakte hai.
- As well as Iske sath apko ye bhi pta chal jayega. Ki apne apne Gmail Id ka use kis-kis Smartphone me aur Kaun-kuan se SIM ke sath kiya hai.
Conclusion:
Dosto shayad apko ye jankar hairani ho ki Google apke sare Information ko chupke se save karta rahta hai. But Google Service ki sabse acchi baat ye hai wo kisi bhi Information ko apne Database me nahi. Apke Gmail Account me hi save karte hai. Jisme se ek Information ke bare me maine apko bta diya.
उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा और आपके लिए हेल्पफुल रहा होगा | अगर आपको इस पोस्ट में कोई भी प्रॉब्लम है या आपके पास इस पोस्ट के बारे में कोई सुझाव या विचार है | तो कृपया आप हमें कमेंट जरुर करे
TechYukti ब्लॉग पर आने के लिए आपका धन्यवाद्