Google Photos Kya hai?
Hii.. dosto, aaj mai aapko unlimited cloud storage ka fayde kya hai, aur apne photo aur video ko kaise online aur unlimited store kare , iske bare me iss post me bataunga. Aap ek Android app ki madad se aap apne photos ka backup rakh skte hain. Jo kabhi by chance agar aapke phone se delete ho jata hai toh iss app ki help se aap jab chahe tab recover kar skte hai .Yah app bilkul free hai.
To dosto, Sabse pahle aap apne mobile ke play store me jaiye aur search kijiye “Google Photos”. “Google photos” ye google ki apni application hai . Ho sakta hai ye pahle se hi mobile me padi ho. Aur agar nhi ho toh aap install kar lijiye.
Unlimited Cloud Storage Ko First Time Kaise Setup Kare:-
- Sbse phle aap app ko open kijiye aur “get start” par click kare.
- Phir aapka email id aa gayega jo aapke phone ke sath link hai.
- Backup aur Sync’ ka option on rahega. Aur mobile data ka backup off rahega
- Ab aap isko continue karenge.Fir isme 2 options aayege-
High quality
Original
- 7. High quality me Full HD ki video aur 16 megapixels tak ki photo upload kar sakte hai wo bhi unlimited.
- 8. Original me aapko 144 GB ka space milega,aur isme original photo hi upload ho jayega.
- 9. Aur ab aap iske bad next next next karte jaiye. Aur yah app puri tarah se start ho jayega.
- 10. Ab isake bad app open karne par, aapke mobile ka photo dikhne lagega, jo aapke mobile me pahle se hi hai.
- 11.Aapki sab photo apne aap upload hone lagegi. Aur photo par refresh ka symbol ban ka aayega, isaka matalab ye hai ki photo aap ki upload ho rahi hai.
- Agar aapko isme aur kuchh change karna ho to , aap apne option me jayenge to first option aayega.
- “Photo” ka:- us par click karne par aapki vo photo ya video aa jayegi jo apane pahle se upload ki hui hai.
- “Collection” me :- aapko folder vise dikhne langege.
- “Device folder” me:- aane par aapko apne mobile ka folder eg. camara, video ,movies ,etc bhi dikhne lagega..fir aapko apne according ek folder ko “sync off” ya “sync on”karna hai ,vo kar sakte hai.
- Now,”setting” option me:- me ak aur option hai “backup aur sync “ ka-
- Jab aap usme jayenge to usme bahut sare option milenge like:-
- Active account
- Backup storage
- Backup setting
- While charging only
- Agar aap charging wale par tik kar dete hai to aapke liye sahi hai..kyunki isaka matlab ye hai ki jab aapka phone charge hoga tabhi backup karega nahi to nahi karega..
- Isase aapki battery bhi jyada chlegi aur jab aap ghar aa kar phone charge me laga kar data connection on karenge ,tab hi aapki photo drive me automatically upload hone lagegi.
-
Ye bahut simple aur easy application hai,, ye aapke computer system me bhi chalegi , jisko aap apne se manage kar sakte hai..
Unlimited Photo and Video Storage Ko PC me Kaise Use Kare:
Aap apne system me bhi application open kar sakte hai,, jab aap apna gmail account apne system login karenge to , usme apps ke option me “photos ” par click karne par aapki sabhi photo open ho kar aa jayegi ,jo aapne apne mobile se upload ki hog . Aur aap apne photo ko manage bhi kar sakte hai ,means edit, delete, downlod, share on fb, twitter,etc. Ya kisi ko photo ka link bhi send kar sakte hai.
Aap apne kisi bhi cell phone me ,like android, windows, iPhone, me ye app install kar sakte hai.
Aap ye app apne important photo ,video, ko store karne ke liye useful hai. jisko aap kanhi bhi ,kabhi bhi, kisise bhi apne gmail account se open kar sakte hai.दोस्तों उम्मीद है यह पोस्ट आपके काम आएगा . क्योकि आजकल के टाइम में फ़ोन में स्टोरेज का बहुत ही प्रॉब्लम है . और सबसे बड़ा फायदा यह है कि अगर आपका फोटो डिलीट हो जाता है तो आप आसानी से उस फोटो को recover कर सकते हैं .