Hi Friends, Kya apko Pta hai kisi bhi WhatsApp backup and Contact ko Gmail Account se kaise Delete kiya jaye?. Agar apko nahi pta hai ki Gmail Account se Email Contact, Phone Number, Conversation, and Audio Chat ko kaise Delete kiya to aaj mai aap Logo ko bataunga.
Iske bare mai apko Post nahi likhane wala tha. But aaj Suabh mai jaise Soker utha to mere ko Facebook Group par kisi ka Message aaya “Gmail Se Contact ko kaise Delete kare”. To maine bahut Simple se use Reply kare diya “Apne Phone se Contact ko Delete kar Do”.
But fir Mere ko ek aur Message aaya ” lakin Contact to Gmail Id se kaise Delete kare”. Tab maine socha yaar ye to baat sahi bol raha hai. Agar hum apne Contact, Chat, WhatsApp backup ya Phone Number ko Gmail Id se Delete nahi karenge. Tab tak to wo save hi rahega.
Tab maine Socha jab iske bare me mere ko nahi pta aur mere ek Dost ko nahi pta. To mere aise bahut se dost honge jinko iske bare me nahi pta hoga. Ki kaise hum gmail se Contact, Chat, Phone Number and WhatsApp Backup ko Delete karenge.
Aaj mai apko Bataunga Ki kaise hum Gmail par apne Contact ko Save karte hai and kaise Use Delete karte hai. And iske sath mai apko ye bhi bataunga ki kaise Gmail par Apka Audio aur Chat Save ho jata hai.
Gmail ID Par Phone Number Ko Kaise Save Karte hai:
Dosto aaj kal har koi apne SIM ya Smartphone ko average har 3 month me change kar dete hai. Aise me agar aap apne Phone Number ko Mobile ya SIM me save karte hai. To apko Bar-bar apne Contact ko Import karna padta hai. Isse bahut se Phone Number bhi delete ho jate hai.
But agar aap is sare Phone Number ko apne Gmail Id par save kar denge. To unhe bar-bar Import karne ki jarurt nahi padega. Jaise hi aap apne naye Smartphone me apna Gmail ID Login karenge. Automatic apka Sara Phone Number apke Contact me add ho jayega.
- Agar apko Apne Contact ko Gmail Id Par save karna hai. To uske liye bus apko apne Gmail Account me Login karna hai.
- And jab Aap ko naya Contact save kare to Phone, SIM1 aur SIM2 ki jagah apne Gmail Id ko Select kar le. Apka Phone Number Gmail Id Par save ho jayega.
Gmail Account Se Phone Number Ko Kaise Delete kare:
Dosto agar aap Koi Unwanted Phone Number ko Delete karna chahte ho. To bus apko apko Simple 3 Step Follow karne padenge.
- Sabse pahle aap apne Gmail Account me LogIn kar aur Gmail ko open kare.
- Jaise hi aap apne Gmail Account me Login karenge, apke samne apka Gmail Inbox open hoker aayega. And Inbox ke uper apke “Gmail” likh huya milega. Apko Us Gmail ke uper apne Mouse ka “Right Button” Click karke Contact ko Select kar lena hai.
- Ab apke samne apke Gmail Account se Jude sare Contact open hoker aa jayenge. Isme se apko Jis bhi Phone Number ya Email Address ko Delete karna hai. Aap uske samne bane 3 Vertical Dot par click karke. Delete kar sakte hai.
Gmail Account Se WhatsApp backup Delete kare:
Dosto agar aap WhatsApp use karte hai. To apko pta hoga ki WhatsApp par kabhi-kabhi ek Popup Show karta hai. Jisme likha hota hai “Backup Your WhatsApp Data” . Ye message tabhi aata hai jab aap apne phone me Gmail Account Login kiye rahe.
Jaise hi aap “Backup” par click karte hai. Apke WhatsApp ka Sara Data apke Google Drive me jaker Save ho jata hai. And apko iske bare me pata bhi nahi chalta hai.
WhatsApp jaise aur bhi aise bahut se Data hai. Jime aap Gmail Id ka Use karte ho. Wo Sab apke Google Drive me jaker Save ho jate hai. Agar apko in sab data aur backup ko delete karna hai to aap neeche diye gaye Step ko Follow kare.
- Sabse pahle apko apna Gmail Account Login karna padega.
- Gmail Account Login karne ke bad aap “Google Drive” ko open kare.
- Ab Google Drive me apko “Setting ke logo” par click karna hai.
- Jaise hi aap Setting logo par click karne apke samne 3 option open hoker ayenge. Usme se apko “Setting” Wale Option par click karna hai.
- Setting option ke open hone ke bad apko fir se 3 option dekhayi denge. Usme se apko “Manage Apps” Wale Option par click karna hai.
- Jaise hi aap Manage Apps option par click karnge. Apke samne Google me save sare hidden aur Backup data aa jayenge.
- Ab apko isme Scroll karke WhatsApp messenger ko Search karna hai. And Uske samne bane Option Button par click karke. Aap apne WhatsApp Backup data ko delete kar sakte hai. WhatsApp ko Gmail Account se Disconnect kar sakte hai.
दोस्तों उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा | अगर आपको इस पोस्ट में कोई भी प्रॉब्लम या इस पोस्ट के बारे में आपके पास कोई सुझाव हो तो आप हमें कमेंट जरुर करे |
- Mobile Phone ko TV Ka Remote Kaise Banaye?
- Micromax Phone Ko Reset & Root Kaise Kare?
- Dusare Ka WhatsApp Message Kaise Padhe?
Techyukti Team की तरफ से Pooja Meena को बहुत-बहुत धन्यवाद जिन्होंने gmail के बारे में ऐसे Question पूछकर हमें ये पोस्ट लिखने का Idea दिया | दोस्तों अगर आपके पास भी ऐसे Technical Problems हो तो आप हमें हमारे Facebook Group या Email पर Message कर सकते है |
TechYukti Q & A Facebook Group
TechYuktiofficial@gmail.com
TechYukti Blog पर आने के लिए आपका धन्यवाद