Google Adsense Policy In hindi
aaj maine Google Adsense Policy Ke bare Hindi me banatne wala hu aur sath Google adsense Information ke bare me bt bataunga. But Agar apke Blog par Adsense Ban ya band kyo Hota hai?. Agar aap Google Adsense ke bare me Details me pta karna chahte hai. As Well as ye pta karna chahate ha Ki Google Adsense ne 2016 me apne Policy me kya change kiya hai. To aap hamare sath bane rahiye kyoki agar aapne is Post ko Dhayan se nahi padha to shayad kal apka Adsense Ban ho jaye.
Dosto ye post keval Blogger as well as agar aap Blogging ya Google Adsense. Me Interest rakhate hai to apke liye liye hai. Aap me se bahut se Log aise Blogger honge jinko Adsense ke bare me shayad hi acche se pta ho. Kyoki aaj kal kisi ke pass time nahi hai. Ki wo ghanto baith kar Adsense ke Policy ko padhe. Hum Bus Utna padhte hai jitna hame kam rahta hai. Example ke Taur par Blog par Google Adsense Kaise Approve hota hai.
But agar apko apne Blog par Income increase karna hai. Toh apko sabse pahle Google Adsense ke Policy ko acche se samjhna hoga. Kyoki bahut se aise Blogger ko maine dekha hai. Jinhe ye pta chal jata hai ki Ads par click karne ke paise milate hai. Toh wo khud hi ads par click karne lagte hai. Jiske wajah se un Blogger ka Google Adsense Ban ho jata hai. Kyoki agar aap Adsesne policy padhoge tab toh pta chalega ki apne Blog ke ads par hum khud click karte hai to adsense Ban ho jata hai. To Chaliye Dekhate hai Google Adsense Ad Network Ecosystem Kya hota hai. As Well as Adsense Policy Kya-kya hote hai.
Google Adsense Ad Network Ecosystem Kya Hota hai:
Google Adsense Ad Network Ecosystem , Ads ka Life Cycle hota hai. Jiske main 3 Attributes hote hai. Jo apke Blog par Ads lagane se laker Kamane tak kaam karte hai.
- Advertiser
- Publisher (Blogger)
- User (Visitor)
Jab aap Koi Blog open karte hai. Toh us blog par apko Bahut se trah-trah ke Companiyo ke ads dekhane ko milta hai. Wo sab Companiya Google ko apne Ads show karane ke liye paise dete hai unhe Advertiser kahte hai. Example ke taur par- Flipkart, Amazon, Snapdeal, Honda, Hero, Life hacker, Samsung, Sony, HTC, Lenovo, Xiaomi, Micromax, Dell, Hp, Onida, Vidocon, HCL, Nike, Puma, Etc. aur bhi bahut se aise karib 10,0000 se uper companiya hai. Jo Google ko Ads ke liye paise dete hai.
Google Adsense Life Cycle ka Sabse Useful aur sabse Important part Publisher ya Blogger. Advertiser Jo ad Google ko dete hai. Google Unhe Publisher ya Blogger ke Through User tak Pahuchata hai. Jo paise Google ko Advertiser se milate hai. Google usme se kuch paise Blogger ko Ads Show karne ke liye deta hai.
Example Ke Taur Agar Flipkart ne Google ko 1500 ruapye ek TV ka Ad diya. Ab Google us Ad ko apke Blog ke help se Logo tak pahuchata hai. Jab Log Us Ad par click karte hai. To Google apko us Click ke Kuch paise deta hai.
Apke Blog par Daily jitne bhi Organic Visitor aate hai unhe User kahate hai. Apke Blog par Jitna jyada Traffic hoga utna jyada ad Click ayega. Aur apka Uthan Jyada Earning hoga. User ek Blogger aur Google dono ke liye Most Important part hai. Kyoki user ki wajah se hi Google ko Ad milate hai. Aur Blogger ko paise isliye aap apne Blog par hamesha Best Article post kare. jisse apke Blog par Traffic Increase hoga.
Kya aap ek Approved Blogger:
Friends Agar aap ek Approved Blogger hai. Toh aap sabse Best Blogger honge Kyoki abhi tak keval 20% Blog ko hi. Google ne Approved Blog ke List me rakha hai. Baki ke 80% Blog ko Google ne abhi tak Approved nahi kiya.
80% Blog ko Google ne isliye Approved nahi Kiya Kyoki,
Unusual Content (Kuch Blogger aise hote hai. jo apne blog par kuch bhi likh deta hai. Example- Agar koi Blogger apne Blog Description aur Meta Tag Technology ke bare me Define kiya hai. But aap apne Blog par post Bollywood ke bare me dalte hai.)
Content Quality aur Size ( Example– Bahut se New Blogger aise hote hai. Jo blog 300 ya 400 word ka Post dalte hai aur na to usme Koi Accha Keyword use hua hota hai. kuch Blogger to aise hai jinko Google Keyword ka Matlab bhi nahi pta hai. )
Adsense Policy ( 100 me 20 Blogger hi Google Adsense Policy ko acche se samjhate hai. Baki to Adsense Policy ko dekhate bhi nahi)
Blog Sitemap (Kisi bhi Blog ko Approved na hone sabse bada reason hai Blog Sitemap. Kyoki sare Blogger apne Blog par sab kuch set kar lenge But wo Blog Sitemap ke bare me bhul jate hai. )
Blog Par Google Adsense Violation Warning Kyo aata Hai:
Apne bhi bahut aise Blogger ya Blog ke bare me suna hoga. Jiska Google Adsense Ban ho jata hai. As Well as Blog par Adsense Ban Hone ke Waring aata hai. Kyoki jis blog par Google Adsense ka Warning aata hai unme neeche diye gaye. Google Adsense Policy Violation me se Koi na Koi Content jarur use huya hota hai.
Copyrighted Material:
Agar apke Blog par kisi bhi tarah ka Copyrighted material rahega. Toh apka Blog Adsense Monetize nahi karega. Example ke taur par- Agar aapne kisi aur ke post ko Copy karke apne Blog par dala hai. Aur apne jiska Post use kiya hai. usse Permission nahi liya hai. Toh apke Blog par Copyright ka Claim ho jayega aur Google Adsense ki taraf se Adsense Violation ka Warning ayega. Agar aapne fir bhi us post ko apne Blog se nahi ataya to apke Blog par Adsense Ban ho jayega.
Sexual Content:
Agar blog par Sexual Content post karne ka Licence nahi hai. And aap blog par kisi bhi tarah ka Sexual Content ke bare me Post Dalate hai. Ya apne Blog par Sexual Cheezo ke bare me User ko Suggest karte hai. To apke Blog par Google Adsense Violation ka Warning aa sakta hai. Ya apke Blog par Adsense Ban ho sakta hai.
Violent Content:
Agar apka Blog Google Adsense se Monetize hai. Toh aap apne Blog kisi bhi tarah ka Violent Content nahi dal sakte hai. (Example- Original Fight Scene, Accident, bloodshed) Agar aap aise Content apne Blog par dalte hai. To apke Blog ka Adsense Ban ho sakta hai.
Deceptive Blog Layout:
Agar aap apne Blog ka Layout aisa Set karte hai. Jisse User ke na chahte huye bhi Ads par click karna pade. Toh is Click ko Google Adsense Invalid Click ke taur par leta hai. Jiske wajah se apke Blog pa Adsense Violation ka Warning aa sakta hai as well as apka Adsense Ban ho sakta hai.
Invalid Click:
Agar aap apne Blog ke ads par khud se bar-bar click karte hai. Ya aap apne Kisi Friends se Bol kar bar-bar click karte hai. Toh Google Adsense in sab Click ko Invalid click manker apko Adsense Violation ka Warning dega. Agar aap fir khud se click karna nahi band karte hai. Toh apke blog par adsense Ban ho jayega.
Webmaster Guideline:
Agar aap ek Blogger hai aur apko Webmaster ke bare me nahi Pta. Toh aap apne Kisi bhi post par apna Copyright nahi pa sakte hai. Agar apke Post par apka Copyright nahi hai to use Koi aur Blogger. Apke Post ko use kar sakta hai aur sath me wo apke Uper Copyright ka Claim kar sakta hai. Jiske wajah se apke Blog par Google Adsense Ban ho sakta hai.
Kya apne Blog par kabhi Adsense Violation Warning Aaya Hai:
Friends agar apke Blog par Google Adsense Violation Warning nahi aaya hai. To bahut acchi baat But agar apke Blog par Adsense Violation Warning aaya hai. Toh aap Pareshan na ho . Adsense Policy ke kuch Step hai. Agar aap unhe Follow karenge to Adsense Violation Warning Remove ho sakta hai.
- Bus aap Adsense ke us Violation Warning ke Notification ko acche se Read kare. Aur apne Adsense account me jaye waha par Status Tab ko Opne karke. Dekhe ki apke Blog ke Kis Post par Adsense Warning aaya hai.
- Jab apko Pta chal jaye ki apke Blog par kis wajah se Adesense Violation aaya hai. To aap us Post ko Opne kare aur us Problem ko Fix kar de.
- Adsense Violation Problem ko Fix karne ke bad aap Adsense Policy Troubleshooter ka Use karke, Warning ko Remove karne ke liye Appeal kar sakte hai.
Kya apke Blog par “Ads Disable” ka Notification aaya hai:
Agar aap apne Blog ke Adsense Violation Problem ko door nahi kiya hai ya apke Blog par koi Page Level ka Violation aa jata hai. To Google adsense ki taraf se apko Ads Disable ka Notification ayega. And kuch Samay bad apke Blog se Ads Ban ho jayega.
Friends agar apke Blog ka apke kisi dost ke Blog par Google Adsense Disable ka Notification aaya ho. Toh aap neeche diye simple se Kuch Step hai. Jinhe Follow karke aap apne Blog par Adsense fir se wapas pa sakte hai.
- Ads Disable Notification ko Read karne ke liye apko apne Adsense Account ke Status Tab ko open karna hoga. Waha par Ads Violation ke bare me details me bataya gya hoga. As Well as us Violation ke fix karne ke bare me bhi batya gay hoga.
- Aap us Link ko opne kare aur Ads Violation Notification ko acche se read kare. Ki blog ka kaun sa part Violate huya hai. Blog ka Adsense Disable kyo huya hai. Jab apko Samjh me aaye ki apke blog par kha-kha ads Violate huya. To aap un sare Violate part ko Fix ya Resolve kar do. Ya Fir apne Blog se Permanently remove kar do.
- Jab aap sare Violate Problem ko Fix kar lo. Uske bad aap Adsense Policy Troubleshooter ka use karke. Adsense Enable hone ke liye Appeal Form Submit kar sakte hai.
Google Adsense Policy Ke Best Tips:
Agar aap Blog Traffic Increase karna chahte hai. Ya Blog par Earning badhana chahte hai. Toh aap Google Adsense Policy ke in Tips ko Follow karo.
- Apne Blog ke ads par khud na click kare. Aur na hi kisi ko Click karne ke liye Suggest kare.
- Blog Post likhate samay ek Use ki tarah soche. Aur hamesha Useful content post kare. Jiska Adsense Value ho aur Interesting ho.
- Kabhi kisi tarah ke Partibandit (Prohibited) Article ko Post na kare. Iske bare me mai aapko pahle bhi bat chuka hu. Jaise Copyrighted material, Sexual Content, Deceptive blog layout, Violent Content Etc.
- Agar apne Blog par Click badhan chate hai to aap Ads ko nahi Post ko jyada bada likho. Jitna jyada bada aap post likhoge utna jyada earning hoga.
- Hamesha apne Blog par Sitemap ka use karo. Apne Traffic ko hamesha Track karna chahiye. Ki apke Blog par kis Trah ke log aate hai. Apke User kaha -kaha se aate hai Etc.
- Google Adsense Code ko kabhi bhi Change na karo. Wo jaise hai unhe waise hi rahne de.
दोस्तों अगर आपको Google Adsense Policy के बारे में ये सब जानकारी होगा तो आपके ब्लॉग का Google Adsense कभी Violate या Ban नहीं होगा | अगर आपको अपने ब्लॉग पर जयदे पैसे कमाने है तो आप Google Adsense के इस Policy को अच्छे से समझिये और उन्हें अपने ब्लॉग पर apply कीजिये. रिजल्ट आपको 2 month के अंदर पता चल जायेगा |
उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा | इस पोस्ट के बारे में अगर आपके पास कोई विचार या सुझाव है तो आप हमें कमेंट जरुर कीजिये |
TechYukti ब्लॉग पर आने के लिए आपका धन्यवाद