Google Assistant Ab Sabhi Android Phone ke Liye
Hi Friends, Kay apko Google Assistant ke bare me pta hai?. Kya apne Kabhi Google Assistant Ka use kiya?. Agar aap Google Assistant ke bare me jankari chahte hai aur apne Android Phone me Install karna chahte hai. To aap sahi jagah Kyoki aaj mai apko Google Assistant ke bare me Detail me bataunga.
Abhi kuch din pahle hi Google ne apne 2 naye Phone Launch Google Pixel aur Google Pixel XL. In dono phone me pahali bar Google Assistant ka use kiya gya hai. Abhi tak ye in dono Smartphone ke alawa aur kisi bhi Smartphone me Inbuilt nahi mil raha hai. To Chaliye Dekhate hai Google ka ye naya App kya hai aur aap is Kaise apne Android Phone me Install karenge.
- Google Pixel and Pixel XL Smartphone Full Specification and Features Hindi me
Google Assistant (GA) Kya Hai:
Friends GA Artificial Intelligence aur NLP (Natural Language Processing) ke use se bana huaa. Ek Personal Robot hai as well as ek App hai. Jo Voice aur Written dono tarah ke Command Accept karta. Abhi 2016 Google I/o Event me Google’s CEO “Mr. Sunder pichai” ne Google Assistant ko launch kiya hai.
- Google Allo & Duo App | Google I/O 2016 Projetcs in Hindi
- Messaging Ke Liye Sabse Best App: Google Allo
GA ko Specially Google ne India ke English ko dhyan me rakhker banaya hai. Kyoki isse pahle jitne bhi Google ke Voice App (Google Voice and Google Now) hai. Wo India me Famous nahi huye aur na hi unko Koi Use karta hai.
Kyoki Agar aap Google Now ka Use karke kisi Contact name ko open Voice Command dete hai. To wo kuch aur hi Open karta hai. Example ke taur par agar apne Google Now par Command diya “Vikas” to Google Now apke samne “B” nam wale sare Contact ko opne kar deta hai.
But Ab apko GA me ye Problem dekhane ko nahi milega. Kyoki isme NLP ( Natural Language Processing) ko 3 phase me use kiya gya hai. Jisse hamare Common Language ko bhi acche Recognize karke. Uska Sahi jawab milega.
- Natural Language (Hamare aur apke Dwara boli jane wala General Laguage)
- Standard Language (Grammatical Language)
- Machine Language
GA me apko ek aur Extra Feature milega” Smart Typing “ . Smart Typing me apko kuch bhi Type karne ka jarurat nahi hai. Google Assistant apke Friends ke Question ke hisab se apko Answer Suggest karge. Example Ke taur par Agar aap ne apne Friend ko Send kiya “Hi”. And ke Friend ne apko Reply kiya “Hi and How Are You?”. To Google Assistant ko Suggest karege “Fine”, “Fine and You?”.
Google Assistant Ko Android Phone me Kaise Use kare:
Dosto abhi Tak Google Assistant keval Google ke Dono Smartphone me hi mil raha hai. Kuch Trick hai jiske use se aap Google Assistant ko Apne Android Phone me use kar sakte hai. But ye Trick keval Android ke 2 version ke liye hai. Android Marshmallow v6.0.0 and Android Nougat v7.0.0.
Google Assistant ke Feature ko Enable Karane ke Liye Requirement:
Google Assistant ke App ya Feature ko use karne ke liye. Apke pass neeche diye sare Requirement Full fill hone chahiye. tabhi aap is Feature ka use apne Phone me kar sakte hai.
Kisi bhi Phone Ke Liye Best Rooting App Kaise paye
Android Phone Ko Root Kaise Kare
- Apka Android Phone Rooted hona Chahiye.
- Xposed Framework (Marshmallow)
- Root Browser (Nougat)
- Google Assistant (Nougat)
Google Assistant ke Feature ko Marshmallow me Kaise Enable Kare:
Agar apke Phone Android marshmallow OS hai. Aur aap apne phone me Google Assistant ka Feature ko enable karna chahte hai to Necche Diye gaye Step ko Follow kare. But aap ye baat dhyan rakhe apke Phone me Xposed Framework Installed hona chaiye. Agar nahi hai aap Neeche Diye gaye Link se Xposed Framework bhi Install kar sakte hai.
Xposed Framework Download Kare
- Xposed Framework ko Install ho jane ke bad aap usse open kar aur “Moduls” me jaye.
- Fir aap Module par Tick karke apne Phone Restart kar de.
- Phone ko Restart hone ke bad aap Home Button ko Long Press kare aur Google Assistant ka Mza le.
- GA ke feature ko use karne ke liye video dekhe.
Google Assistant (GA) Ke Feature ko Android Nougat me Kaise Enable Kare:
Agar aape pass koi Android Nougat wala Smartphone hai. Aur aap apne Phone me Google Assistant ka Feature Enable karna chahte hai. To apko bus Kuch Simple se Step Follow karne padnge. As well as aap bahut araam se Google Assistant ko Apne Android Phone me use kar sakte hai.
Sabse pahle apko apne Android Nougat wale Phone me Google Play Store se “Root Browser” Download aur Install karna padega.
- Root Browser Install karne ke bad aap jaise hi ise open karenge. Apke ek Message Opne hoker ayega jisme Root Permission ke bare me likha hoga. Apko Usse Allow karna hai.
- Root ko Allow karne ke bad aap Root Browser me “Navigate to” Option me jaye.
- Navigate to “System” Option me jaye.
- System se “Folder” Option me jaye. Yaha se aap “Build.prop” option par click kar de.
- Jaise hi aap Build.Prop option par click karenge apke samane bahut se Option open hoker aayenge. Aap un option me se “RB Text Editor” Option par click kar de.
- Jaise hi aap RB Text Editor option par click karenge. Apke samne ek Code ka Pura Page open hoker ayega. Aap Neeche diye gaye Code ko Copy karke us page ke End me Paste kar de.
o.product.model=Pixel XL
ro.opa.eligible_device=true
- Ab aap apne Phone me Google Assistant ke App ko Install kare.
- Download Google-assistant App
- Ab aap apne apne Phone ke Setting me jaker Google App Data ko Clear karke. Apne Phone ko Restart kare.
- Phone ko Restart hone ke bad aap apne phone ke Home Button ko Long Press kare. Aur Google Assistant ka Use kar.
Conclusion:
दोस्तों Google Assistant बहुत ही Unique और मज़ेदार app है | जिसमे आपको कुछ ऐसे Feature मिलेगे जो आपको किसी मैजिक से कम नहीं लगेगा | ये आपके Personal असिस्टेंट की तरह होगा | जो आप इसे कहेंगे Google Assistant आपके लिए वही करेगा |
उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा | अगर आपको इस पोस्ट में कोई प्रॉब्लम है या आपके पास इस पोस्ट के बारे में कोई विचार या सुझाव है तो आप हमें कमेंट जरुर करे |
TechYukti ब्लॉग पर आने के लिए आपका धन्यवाद