Computer Ko Bina Format Kiye C Drive ka Size Kaise Badhaye
Hi Friends, Kuch din pahle maine Hard Disk Partition se related ek Problem face kiya tha. Jiska Solution maine Pta kar liye hai. To maine socha sayad ye problem aap log bhi face kar rhe ho. Mujhe apne Solution ke bare me apko batana chahiye.
Baat Ye hai ki mere Laptop me 500GB ka hard Drive lga hai. Jisko maine Hard Disk Partition karke 3 Drive me divide kar diya. Jisme maine C Drive ko Keval 50GB ka kar diya.
Kuch din to sahi chala but jaise-jaise mai mai apne Laptop me Software Install karta gya. Waise-waise C Drive Bharta gya, kuch din bad aisa hua ki mera C Drive Pura Full ho gya. Jabki maine keval 10 Software Install kiye the.
Dosto mai apne Khali time me Web Development ka kaam karta hu. And ye kaam mai “Visual Studio” par karta hu. Visual Studio Microsoft ka ek bahut hi heavy IDE (Integrated Development Environment).
Visual Studio ka use Windows ke Software aur Website banane ke liye hota hai. But mere Laptop ke C Drive ke Full ho jane ke karan mera Laptop bahut jyada hang karne laga aur bahut jyada Slow ho gya hai.
Mai aise Stage par bahuch chuka tha, Ki mere man me ye vichar aane lga ki lagta hai. Mujhe apna Laptop Format karna padega.
Agar mai Laptop Format kar deta to mere sare Data (Project, Database ) Delete ho jate. Agar mai Format nahi karta to mai apne Laptop ka use nahi kar sakta tha.
Mai apne Laptop ko Format karne ke bare me Soch rha tha, ki mere ek Dost ne mujhe “EaseUS Magic partition Software” ke bare me bataya aur kha ise ek bar Try karo.
To maine socha mujhe to apna Laptop to Format karna hi hai. To kyo na pahle mai EaseUS Software ka use kar leta hu sayad ye kaam kar jaye.
Jab maine EaseUS ko Try kiya to 100% kaam kar gya aur mere C Drive jo ki Windows ke Disk Management se Extend nahi ho rha tha .Wo EaseUS se bahut asaani se ho gaya.
To dosto agar apko bhi apne C Drive ke Size ko Extend karna ho ya apne Computer ke Hard Drive ka Partition karna ho. Aap EaseUS ka use karne bahut asani se apne Hard Disk Partition kar sakte hai.
Computer C Drive Ko Kaise Extends Kare:
- Sabse Pahle apko “EaseUS Partition” Name ka Software Download karke usse apne Computer me Install karna hoga.
- EaseUS Software ko Open kare. EaseUS ko open karne ke liye apko “Launch Application” par click karna hoga. Jaise hi aap isper click karenge apke samne EaseUS ka Disk Management option open ho jayega.
- C Drive ko aap jitna badhana chahte hai. Utna apke pass Un-allocated Storage hona chahiye. Example ke taur par agar mujhe C drive ko 10GB Badhana hai. To mai pahle Kisi aur Drive me se 10GB Shrink kar lunga.
Storage ko Shrink karne ke liye apko wapas apne Computer ke “Disk Management” Hard Disk partition me jana hoga. jaha se aap Unallocated storage Shrink kar sakte ho.
- Unallocated Storage banane ke liye apko apne Computer ke “Disk Management” ko open karna hoga. Disk Management apko sare Allocated Disk dikhanege. Agar apko Unallocated Disk bnana hai to iske liye apko kisi aur Drive jisme Storage khali pada ho. Wha Se apko Storage Shrink karna hoga.
- Unallocated Storage banane ke bad aap C Drive ke Uper Mouse ka“Right Button” Press kare aur waha se “Resize/Prtition” par click karke C Drive Management Folder ko open kare.
- Aur C Drive ke Storage Bar ke uper Mouse Slide karke Size ko Extends kare.
- OK Par Click Karne ke bad. Aap EaseUS Master Hard Disk Partition ko Shutdown aur uske bad apne System ko Restart kar de. Kuch samay bad apka System Restart ho jayega aur apke C Drive ka Size badh jayega.
Agar Aap is Method se C Drive ko Extends nahi kar pa rhe hai. To aap pahle apne Unallocated Disk ko New Volume banaye.
- New Volume banane ke liye apko apne Computer ke Disk Management me jana hoga aur waha se aap pane Unallocated Disk ke uper Mouse ka “Right Button” click kare. Neeche diye gaye Step Follow kare.
- Click New Simple Volume
- Click Next………Next
- Select Letter
- Click Nex
- Click Finish
- New Simple Volume Created
- Naya Drive ban jane ke bad aap Fir EaseUS ko open kare. And C Drive ke uper Mouse ka “Right Button” Click Kare. Uske bad “Merge Partition” par click karke open kare.
Ab aap apne C Drive aur Us naye Drive ko Check Mark lagaker select kar le. uske bad “OK” par click karke dono Disk ko Merge kar le.
दोस्तों EaseUS सॉफ्टवेयर Windows Disk Partition के लिए बहुत अच्छा है | अगर आपको Hard डिस्क का partition करना हो, ISO CD बनाना हो या Bootable Pendrive बनाना हो | आप EaseUS Software को हेल्प से बहुत आसानी सा ये सब काम कर पाएंगे| C ड्राइव का साइज़ बढ़ने के लिए विंडोज 7 का use करे.
उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा | अगर आपको इस पोस्ट में कोई प्रॉब्लम हो तो आप विडियो देख सकते है | या इस पोस्ट के बारे में आपके पास कोई विचार हो तो आप हमें कमेंट कर सकते है |
TechYukti ब्लॉग में आने के लिए आपका धन्यवाद