Hi Friends ! Aap me se bahut se log agar Computer ka use karte hain. Unme se bahut se logo ka Computer 32 Bit OS par based hoga. 32 Bit OS hone par hum kuch hi Softwares ko apne PC par install kar pate hain. Aise me hume 64 Bit OS ki bahut jyada jarurat padti hai.
Toh agar aap chahte hain ki aapka System 32 Bit se 64 Bit me ho jaye to iss post ko pura padhiye aapko jarur fayda milne wala hai.
Sbse phle aapko ye check karna hoga ki Aapka System Processor 64 Bit Support karta hai ya nahi. Iske liye aapko niche diye steps follow karne padenge.
System Processor 64 Bit Support Karta hai ya nahi?:
#1. Sbse phle aap “Computer” Icon par Right Click kare.
#4. Ab aap “System Type” Me Dekhenge ki wha par likha hoga.
32-Bit Operating System, x64-based Processor
Toh iska matlab wo 64 bit OS ke liye capable hai.
Friends ! 64 Bit Operating System ko install karne se phle ye jaan lete hain ki 64-Bit OS kyu jaruri hai.
64-Bit OS’s Advantages :-
#1. Bahut se Software sirf 64 Bit OS ke liye hi hote hain. Aise me hume 64 Bit ka hi OS apne System me install karna chahiye.
#2. 64 Bit OS bahut bade RAM size ko bhi utilize kar sakta hai. Lekin 32 Bit ke OS me maximum 4GB ka hi RAM use ho sakta hai.
Agar aapko 64Bit Vs 32 Bit Processors ke bare me jyada jaanna hai toh aap ye wala post padh sakte hain.
Toh dosto! Chaliye ab dekhte hain ki 64 Bit Based Processorwale 32 Bit ke OS ko 64 Bit ke OS me Kaise Change karene.
How to Upgrade 32 Bit OS into 64 Bit OS:-
- 64 Bit me change karne ke liye sbse phle aapko apne System ko Clean Format karna padega. Yani ki jo bhi aapka Data C drive me hai , usko delete karna padega. Toh better yahi rhega ki aap uska Backup le lijiye.
- Iske baad aapko ek Pen Drive ko Bootable banani hogi. Aur uss pendrive me aapko usi Windows Version ke 64 Bit File ko copy karna hoga jisme version me apne system me chahte hain.
For Example:- Mujhe Apne System ko Windows 8 64 Bit me karna hai toh mai Windows 8 ki ISO file uss pendrive me copy kar lunga.
Agar aapko Pen-Drive Bootable banani nahi aati toh aap iss post ko padh kar bade hi aasani se Apne kisi bhi Pen-drive ko Bootable banasakte hain.
Toh agar aapka Pen Drive ready hai Windows ki ISO file ke sath toh ab aap Apne system ko 64 Bit me convert kar sakte hain.
Converting 32 Bit into 64 Bit:-
Step#1. Sbse phle apne Pen-Drive ko System me laga lijiye.
Step#2. Ab apne Computer System ko Restart kar dijiye.
Step#3. Ab aapke System me jis bhi Key se Boot Menu aati hai uss Key ko System On hote hi Press karte rahiye. Jab tak ki aapka Boot Menu Na Aa jaye.
Step#4. Ab Boot Menu Me aapka Pen Drive show ho rha hoga. Uspe aapko Arrow key ke help se select karna hai aur Enter Key Ko Press kar dena hai.
Ya fir ye bhi ho sakta ki aapka Boot Menu aaye bina bhi Aapka OS install hone lagega. Toh isme tension lene ki baat nahi hai.
Step#6. Iske baad aapko Language Select karne ke liye kaha jayega. Aap Sab kuch apne according Follow Karte huye. Install Now par click kar dijiye.
Ab aapko “Custom: Install Windows Only” Par Click karna hai.
Step#8. Ab next window me aapke Sare Drives Dikhenge. System Reserved ke niche wale Drive par aapko Select karna hai.
Step#9. Ab niche aapko Format Ka option aa rha hoga. Us par click karke apni C Drive ko Format kar dijiye.
- Hard Disk Drive vs Solid State Drive | HDD vs SSD
Step#10. Ab Next Par Click Kar Dijiye.
Step#11. Ab aapka windows Install hona Start Ho Jayega. Wo bhi 64 Bit me .
Step#12. Iske baad aapko thoda sa wait karna hai. Jaise hi Windows install ho jayega. Aapka System ek baar Restart hoga.
Ab aapka System 1-2 Baar Self Restart hoga. Then kuch time me fir se Windows open hogi aur kuch Customize karne ka option aayega. Jaise Name, Password fill karne ke liye. Toh ye sab kuch basic hota hai. Aap usko apne hisab se kar sakte hain.
Kuch hi der me aapka Windows Open hoga. Aur ab aap Dekh sakenge ki aapka System 64 bit me convert ho chukka hai.
Agar aapko fir se check karna hai ki aapka System kis OS ko Support kar rha hai toh aap fir se usi tarike se dekh sakte hain.
Aapka System Type: 64-bit Operating System Show kar rha hai. Toh ab aaram se apne System me 64 Bit wale Application Software install kar sakte hain. Aur aapka Processor bhi un Softwares ko handle kar sakte hain.
तो दोस्तों उम्मीद है की यह पोस्ट आपको पूरी तरह से समझ में आ गयी होगी . फिर भी अगर आपको कोई डाउट है तो आप कमेंट करके या ईमेल करके पूछ सकते हैं .