Password Protected PDF Document Ko Kaise Edit Kare
Hi Friends, Kya aap Kisi PDF Document ko edit karna chahte hai?. Kya aap kisi bhi PDF file ke Password Remove karna chahate hai?. To aap is Post ko jarur padhe kyoki aaj mai apko aisi tricks bataunga jisse aap kisi bhi PDF Documents ko Edit kar sakte hai.
Example ke taur par College Documents, legal Document, E Notes aur bhi aise bahut se PDF Documents hai. Jinme aap kabhi na khabhi galti jaru kar dete ho. Maine bhi ek galti apne College Project ke Documents me kiya tha aur tab mujhe PDF Editor ke bare me nahi pta tha. Us wajah se mere 1000 rupaye ka nuksan ho gaya.
Agar aap ko koi bhi PDF File Edit karna hai. To iske liye apko keval ek Computer Software ke jarurt padega. But agar aap PDF Files ka Password Remove karna chahte ho and Edit bhi karna chahte ho. To iske liye apko ek Website aur Ek Software ka jarurat padega. Jiske bare me mai apko Details me Step by Step bataunga.
PDF Documents Se Password ko Kaise Remove Kare:
Dosto agar koi bhi Password Protected PDF Documents hai. And aapko Usko agar Edit karna hai to sabse pahle apko us PDF Document kar password Remove karna hoga.
Kyoki jab tak aap us PDF ka Password Remove nahi karnege. Tab tak aap us PDF Document ko edit nahi kar sakte hai. To chaliye Dekahte hai ki kaise PDF Documents ka Password Remove hota hai.
- Sabse Pahle apke Pass wo PDF Document hona chahiye jiska aap password Remove karna chahte hai. (Just for Fun :p) Agar apko kisi PDF ka password Remove karna hai to jahir si baat hai wo PDF apke pass hoga.
- Ab aap neeche diye gaye Link par click karke PDF Document password Remover Website ko open karo.
- PDF Password Remover Website ko Open karne ke bad. Aap “Choos File” par Click karke apne PDF Document ko Select kar le.
- Jiase hi aap apne PDF Documents ko select karenge, to us pdf Document ka Upload Start ho jayega. And jab Uploading Complete ho jaye tab aap Check Box par check mark karke “Unlock PDF” par Click kar de.
- Ab aap apne PDF Document ko Download kar sakte hai. Ab apke PDF Document ka password Remove ho gya hai. And apka PDF Document Editing ke liye ready hai.
PDF Document ko Edit Kaise Kare:
- Agar apko Koi Bhi PDF Document Edit karna hai. To iske liye apko sabse pahle “Adobe Acrobat DC” nam ka software apne Computer me Install karna hoga.
- Adobe Acrobat DC ko Install karne ke aap apne PDF Documents ko Acrobat se open kare.
- Jab PDF Document open ho jaye tab aap “Edit PDF” par click kar de.
- Ab aap apne PDF Documents edit karne ke liye ready hai. Agar apko apne PDF Documents ke koi Image Lagana hai, kuch detele karna hai, kuch add karna, kisi bhi Text ka meaning Change karna hai. Etc aur ye se bahut kuch hai ji aap Adobe Acrobat DC PDF Edit or se aap bahut araam se kar sakte hai.
दोस्तों मैंने जो PDF डॉक्यूमेंट पासवर्ड Remover Website के बारे में बताया है | उस वेबसाइट पर आप एक दिन में केवल २ PDF डॉक्यूमेंट का पासवर्ड Remove कर सकते है | इस लिए आप इस Website का use तभी करे जब आपको किसी इम्पोर्टेन्ट पीडीऍफ़ डॉक्यूमेंट का पासवर्ड रिमूव् करना हो|
उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा और आपके लिए हेल्पफुल रहा होगा | अगर इस पोस्ट में आपको कोई प्रॉब्लम हो या इस पोस्ट के बारे में आपके पास कोई विचार हो तो आप हमें कमेंट जरुर करे|
TechYukti ब्लॉग पर आने के लिए आपका धन्यवाद