Hi Friends, Kya apke Android Smartphone com.google.process.gapps ka Error aa rha hai?. Kya aap ies Error ko Fix karna chahate hai. Agar hai toh aap sahi jagah hai. Kyoki aaj mai Google Process error ke Ies Problem ko Solve karne ke liye. Kuch Trick bataunga jiske Help se aap maybe com.google.process.gapps ke Problem ko fix kar paye.
Com.google.process.gapps Error Basically Android KitKat aur Android Lollipop OS me sabse jayada aata hai. But sabse pahle hum pat karte hai. Com.google.process.gapps ka Error hamare Smartphone me Kyo aata hai.
Com.google.process.gapps Android App Error Kyo aata hai?
Android phone me Unfortunately Stopped App ka Error aane ke kuch Simple se reason hai. Jiske wajah se ye error Android Smartphone me aane lagta hai.
Agar aap Google Play Store ke alawa kahi aur se Android App download kar rahe hai. Jaise ki 9App.com & APKMiror.com toh apke Phone me Com.google.process.gapps ka Error aane lagta hai. Aur ye jayadatar unhi App me aata hai. Jise aap kahi aur Download kiye hote hai. Ya Kisi se Shareit ke Through liye hote hai.
Cache Memory Clean na karne ke karan bhi Google Stopped App ka Error aane lagata hai. As well as agar apne apne Smartphone me bahut jayada App Install kar liya hai. Tab bhi ye Error aane lagta hai.
Com.google.process.gapps Error ko Remove or Fix Kaise kare:
Friends agar apke Phone me ye Error aa raha hai. Toh Ies Problem ko Fix ya Remove karne ke liye. Apko apne Phone ko Root ya koi Special Tool nahi use karna hai. Bus apko kuch Simple sa trick use karna hai. Aur apke Phone se com.google.process.gapps Error Fix ya remove ho jayega. Toh chaliye dekhate hai Com.google.process.gapps has Stopped Error ko kaise fix karte hai.
Method #1 : Clean App Cache
Agar apke Phone me Kisi particular App me com.google.process.gapps unfortunately has Stop ka Error aa raha hai. Toh aap us App ka Cache Memory Clean kar de. App Cache Memory Clean karne ke neeche diye gaye Step ko Follow kare.
Step #1:
First of all aap apne Android Smartphone ke “Setting” me jaye. waha aap “Apps” ya “Apps Manager” wale option ko Select kare.
Step #2:
Jaise hi aap Apps manager par click karenge. Apke samne apke Smartphone me Install sare App aa jayega. Ab aap in sare Apps me se us App par click kare. Jisko open karne se com.google.process.gapps has Stop ka Error aa rha hai.
For Example- agar apke Phone Android App Viewer Open nahi ho rha hai. Toh aap Us par click kare.
Step #3:
Jaise hi aap Error wale App par click karenge. Apke samne us App ka Details Open hoker aa jayega. Bus ab apko “Clear Cache” open par click karke. Use App Cache ko Clean kar dena hai. Uske bad aap apne Smartphone ko Restart karkr Open kare. Maybe apke Android phone ko App Error Message Show hona band ho gaya hoga. Agar apke Phone me abhi bhi ye Problem aa rhi hai. Toh aap Second Method par jaye.
Method 2#: Reset App Preferences
Agar apke Phone me lagbhag sabhi App me Com.google.process.gapps. has Stopped ka Problem aa yaha hai. Toh aap sabhi App ko Reset kar do. Maybe apke Phone ke Google Error Remove ya Fix ho jayega. Android App ko Reset karne ke neeche diye gaye Step ko follow kare.
Step #1:
Sabse pahle aap apne Android Smartphone ke “Setting” me jaye. Setting me aap “Apps” ya “App manager” Option par jaye. Aur Apps Manager option par click kar de.
Step #2:
Jaise hi aap Apps manager option par click karenge. Apke samne apne Android Phone Installed sare App open hoker aa jayenge. Bus ab aapko kisi App par nahi click karna hai. Balki Apps Manager wala page me uper Search ke side me diye gaye. “3 Vertical dot line” par click karna hai.
Step #3:
3 vertical dot line par click karete hi apko “Reset Apps Preference” ka option milega. Apko us option par click karna hai.
Step #4:
Jaise hi aap “Reset App Preference” par click karenge. Toh apke samne ek Message Box Open hoker aayega. Aur Neeche likha hoga “Reset Apps” apko isi option par click karna hai. Jaise hi aap click karenge apke Phone ke sare App reset ho jayenge. Uske bad aap apne Phone ko “restart” kare. Bus apke Smartphone App ka Error Fix ya Remove ho gaya hoga .
Conclusion:
Dosto agar apke Android Smartphone kisi particular App me com.google.process.gapps unfortunately has Stopped ka Error aa rha hai. Toh aap in dono Method ka Use kar ke Error ko fix kar sakte hai. But agar apke Phone sare App me ye Problem aa rha hai. Toh apke pass sabse best Option hai aap apne Phone ko Reset kar le.
Waise bhi agar aap apne Phone me Google Play Store se App Download karte hai. Toh apke Phone me Com.google.process.gapps error aane ke bahut kam chance hai.
उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया हो और आपके लिए हेल्पफुल रहा हो | अगर आपको इस पोस्ट में कोई भी प्रॉब्लम है या आपके पास इस पोस्ट के बारे में कोई भी विचार या सुझाव है | तो आप हमें कमेंट जरुर करे |
TechYukti ब्लॉग पर आने के लिए आपका धन्यवाद