PC me Android Marshmallow Kaise Install Kare:-
Aap jis tarike se apne Laptop/Computer me windows install karte hain thik usi tarike se aap Apne Computer/Laptop me Android OS ko install kar sakte hain.
Computer me Android ko use karne ke liye jis OS ka use karte hain usko Remix OS kaha jata hai. Aur Remix OS ka Latest Version yani ki Remix OS 3.0 ke help se aap apne computer ko Android Marshmallow me change kar sakte hain.
Remix OS Kya Hai?
Agar aapke man me ye sawal aata hai ki Remix OS kya hai toh mai aapko bta du ki Remix OS ek Android Based Operating System hai jo PC ke liye use kiya jata hai. Aur sbse badi baat yah hai ki iss Remix OS ka Latest Version bhi launch ho chukka hai. Jiske through aapko PC me Marshmallow me install kar sakte hain.
Toh chaliye dekhte hain ki aap Kaise apne computer me iss Remix OS ko install karenge.
How to Install Remix OS 3.0 in PC:-
Step#1. Sbse phle aap iss link se Remix OS 3.0 Latest version ko download kar lijiye .
Step#2. Jab aap Download now par click karenge toh aapko 2 Options milenge . Agar aapka Computer 32 Bit hai toh aap 32bit wala download karenge aur agar 64 Bit wala hai toh aap 64 Bit download karenge.
Step#3. Remix OS 3.0 ka Size lagbhag 1 GB ka hai.
Step#4. Jab file download ho jayegi toh aap usko kisi ek folder me Extract kar lijiye. Kyuki wo compressed form me hota hai.
Step#5. Aap chahe toh Hard Disk me bhi install kar sakte hain ya kisi USB pen drive me install kar sakte hain. Agar aap USB se install karte hain toh aapke liye easy rhega. Jab aapko use karna hoga tab aap USB se boot kar sakte hain.
Step#6. Ab aap uss folder ko open kijiye aur Blue Icon wali File par “Run As Administrator” par click kijiye.
Step#7. Iss step me aapko kuch task karne hai. Phle aapko ISO file ka path dena hai.
(2) Type me aapko 2 Option milega. Hard Drive aur USB. Toh agar aapko daily basis par use karna hai toh aap Hard Drive ko Choose kar sakte hain. Ya fir aap USB ko choose kar sakte hain.
(3) Ab aap OK par click karke aage Proceed kar dijiye. Uske baad aapki Installation Process Shuru jo jayegi.
Step#9. Restart hone ke time par hi aapko Boot Menu me enter karna hai. Boot menu me jane ke liye koi ek Function key hoti hai jisko press karne par Boot Menu Open hota hai.
Step#12. Fir aapko Remix OS ke liye 2 Option show honge. Jisme aap phla wala option choose kar sakte hain.
Iss tarah se aapke Laptop ya computer me Remix OS ke help se Android Marshmallow ka maza le sakte hain.