How to Update Huawei P9 to Android Nougat 7.0.0 in Hindi
Hi Friends, Kya aap apne Huawei P9 Smartphone ko officially Android Nougat 7.0.0 me update karna chahte hai. Agar ha to aap sahi jagah par hai. Mai aaj aap log ko bataunga ki Huawei P9 ko Android Nougat 7.0.0 me update kaise karenege.
Huawei bahut hi famous brand hai aur ye China ki 4th sabse badi mobile company hai. Huawei ko tab se bahut log janane lag jabse isane Google ke sath milker Nexus 6P banaya.
Huawei bahut hi acche smartphone company hai aur ye bahut hi badget wale Smartphone banati hai. Jaise ki apne dekha hai Huawei p9 me,
jiska Processor bahut high hai aur isme Rear dual camera bhi diya hai.
Friends Huawei P9 Android marshmallow ke sath milati hai, aur mai apko ab bataunga ki ise aap marshmallow 6.0.1 se Android Nougat me kaise Update karte hai.
Iske liye aap neeche diye gaye step ko fallow kare.
Step#1:
Sabse pahle aap Android Nougat 7.0.0 ka official rom Huawei P9 ke liye download kar le.
Huawei P9 ko Update karne se pahle aap neeche diye gaye baato ko sunishchit kar le ki aapko in sab baato ke bare me pta hai ki nahi.
- Apka Phone Huawei P9 hona chahiye.
- Apko Emiui 4 ke bare me pta hona chahiye.
- Apke Smartphone ki battery Updating ke time minimum 70% honi chahiye.
- Apko apne sare data ka backup chahiye.
Related: Android Phone ko Root kaise kare ?
Step#2:
Friends agar apko step 1 me diye gaye sabhi point ke bare pta hai to aap Android ka Nougat 7.0.0 Download kar sakte hai.
Step#3:
Ab Download ZIP file ko apne Smartphone Huawei P9 ke Internal memory me copy kare.
But ye dyan de ki Phone Internal memory me na ki MicroSD card ke Memory me.
Step#4:
Ab apne Smartphone Huawei P9 ko Restart kare aur Wait kare.
Step#5:
Friends ab aap Huawei P9 smartphone ke Setting me System Update option me jaye.
Step#6:
Jaise hi aap Update Option par click karenge tabhi ek messege aayega ki No Update Available ise aap dyan na de aur LOCAL UPDATE par click kare.
Step#7:
Ab apke samne ek box me messege aayega jisme apse se Backup banana ke liye poochega , Aap Yes par click kar de.
Step#8:
Backup banana ke bad Huawei P9 Smartphone apse file Update karne ke liye poochega to aap usme se Nougat 7.0.0 ko Select kar le.
Step#9:
Jaise hi aap Nougat wale option ke select karenge ,apka Smartphone Updating karne lagta hai. Jaise hi Update complete apko “Successful” ka Notification aayega.
Step#10:
Update complete ho jane ke bad aap pane Smartphone ko Restart kare aur Nougat 7.0.0 Android operating System ka experience share kare.