Agar aap Lenovo K3 Note Ka Marshmallow Update search kar rhe hain toh aap sahi jagah aaye hain . 2 din phle Lenovo ne Lenovo K3 note ke liye Android ka Latest Version Android 6.0 yani ki Marshmallow ka update announce kar diya hai . India me jitne bhi Lenovo K3 note hai wo sb Apne K3 note me Marshmallow kaupdate kar skte hain .
Lenovo K3 Note Me Kaise Kare Marshmallow Ka Update :
Waise toh Lenovo ke phones me Android ke update ki bahut kam hi ummeed thi . Lekin achanak se Lenovo K3 Note Marshmallow Update release kar diya hai .
Agar aapke pass Lenovo K3 Note hai aur aap apne phone me Marshmallow ka update karna chahte hain toh aap btaye gaye steps ka follow kare :
Step1: Sbse phle aap apne memory card aur phone memory se jaruri data ka backup le le . kyuki phone update hone ke baad aapka saara data chala jayega .
Step2 : Aap phone ko Full charge kar lijiye
Step3: Apne Lenovo K3 note ke Settings me jayiye .
Step4: Fir About phone par click kijiye .
Step5: Ab Aapko System Update Ka option dikhega .
Step6 : Iske baad phone check karega ki aapke Lenovo K3 Note Ke liye update hai ya nahi.
Step7: Ab aapko 1657 MB ka file Download karne ke liye kaha jayega .
Step8: Agar aapke pass Wifi hai toh aap easily iss file ko download kar skte hain.
Step9: File Download hone ke baad automatically install ho jayega . Fir kuch 2-3 baar restart hoga . Uske baad aapke phone me Android Marshmallow (Android 6.0) ka update ho jayega .
Ab aap bhi Latest android ko enjoy kar skte hain .
Waise Android N ka bhi preview Launch ho chuka hai . Jiska update Google Nexus wale phones me mil raha hai . Android N me bahut hi achhe achhe features hain .
दोस्तों अगर आपको Lenovo K3 Note को अपडेट करने में कोई प्रॉब्लम आती है है तो आप मुझे बता सकते हैं । मैं आपकी हेल्प करने की पूरी कोशिश करूँगा ।