Jaisa ki aapko pta hoga ki Lenovo ne Apna K4 Note launch kar diya hai . Jo ki ek mid range me bahut hi jabardast smartphone hai . Lenovo K4 Note apne aap hi ek bahut hi Killer Phone hai . Yah Lenovo K3 Note ko dekhte huye usse better bnaya gya hai . Iss K4 note me aapko fingerprint sensor ke sath 3GB Ki RAM milegi jo Gaming performance ko aur better bna degi . Yah phone un logo ke liye best hai jo log 15000 tk ke phone me interested hai . Kyuki filhaal me iske takkar me koi phone 12000 me nahi milega . Agar kuch samay baad aaye to hiss phone ke liye khatra ho skta hai .
Agar Lenovo K4 Note ko K3 note se compare kiya jaye toh K4 note bahut se maamle me K3 note ko piche chhod jata hai . Lekin aisa nahi hai ki inn dono phone bahut jyada ka antar hai . Ha itna hai ki K4 note me sabhi features thode thode jyada hai .
Jaise Lenovo k3 me 2 GB RAM milta hai jaha K4 me aapko 3GB RAM milti hai .Iske sath sath aapko kuch chize nayi bhi milti hai . Jaise Fingerprint sensor . Jaha tak price range ki baat hai mere hisab se yah killer phone ho skta hai 12000 me Kyuki Yah aise time par launch ho rha hai jis time me market me iske takkar me koi phone available nahi hai.
Design:-
Agar iss phone ki design ke bare me baat kare to hiss phone ka design bahut hi attractive hai . Ek premium phone ki tarah curve model hai Lenovo K4 Note . Iss phone me aapko metal frame bhi milta hai Jo ki 12000 Ke price range me mil pana bahut hi mushkil hai . Waise phone thoda sa heavy hai Lenovo k3 Note se. Isko aap positive way me le skte hai.
Kyuki iss phone 3300 mAh ki battery lagi hui hai jo aapko aasani se 24 hours ka backup toh de hi degi . Iss phone me saamne aapko dual Front Facing Speakers milte hai. Iss phone ke display ki baat kare toh phone me 5.5 ‘ ki Full HD yani (1080pixels ) ki LCD lgi huyi hai. Phone me aapko piche ki taraf fingerprint sensor bhi milta hai . Display me Gorilla glass 3 ka protection milta hai
Camera:-
Iss phone ka camera toh Lenovo K3 note ke jitna hai yahi iska rear camera 13 MP ka hai aur front camera 5MP ka hai . Lekin iss phone me Camera ka sensor Samsung ka hai jo ek plus point hai .
Storage:
Iss phone me aapko internal memory 16 GB ka hai agar aapko aur storage chahiye toh aap 128 GB tak expand kar skte hai micro SD card ke dwara.
Iss phone me NFC enabled milta hai jo ki bahut hi useful feature hai . NFC ka use file sharing ke liye maximum use kiya jata hai.
Overall yah phone bahut hi jabardust phone hai . Kyuki itne feature kisi or phone ke company me aapko 15000 tak milegi . Toh agar aap Lenovo k4 Note lena chahte hai toh aapke liye yah best choice hoga .
Lenovo K4 Note Price 2019:
Is samay is phone ka market value lagbhag end ho gaya hai aur shayad ya lenovo ke pass new brand pcs. hoga bhi nahi. Is samay yah Refurbished smartphone ke taur par online mil rha hai.