Hi Dosto ! Aaj Meizu ne Apna latest smartphone Meizu M3 Note Launch kar diya hai. Iss post me main aapkoMeizu M3 Note ka Hindi Me Review aur yah phone aapko lene chahiye ki nahi aur aap iss phone ko kaha se le skte hain. Sb kuch detail me bataunga.
Source:Gogi |
Meizu M3 Note aur Redmi Note 3 me bahut hi bade level ka competition hain. Aapko Redmi Note 3 lena chahiye ya Meizu M3 Note . Ye sab aapko iss post ke aakhiri tak pata chal jayega.
Dosto in dono phone ko compare kare usse phle mai aapko iss Latest Meizu M3 note ke specifications aur features ke bare me bata deta hun.
Specification and Features of Meizu M3 Note:
Design:
Sbse phle agar baat kare toh Meizu M3 Note Ka Design metallic hai jo Aluminum alloy (मिश्रधातु ) ka bana hua hai. Isme aapko 5.5’ ka full HD IPS Display milta hai. Aur iss phone me aapko thoda sa change yah milta hain ki aapko Finger print Apple Iphone ke jaise thik display ke niche hi milta hai. Lekin Redmi Note 3 me aapko yah piche ki taraf milta hai.
Processor:
Agar Meizu M3 note ke processorki baat kare toh isme aapko Mediatek ka Helio P10 octa-core processor milta hai. Jisme 4 core aapko 1.8 Ghz ke milta hain aur baki 4 core 1 GHz ke milte hain. Aur iss phone me jo GPU use hua hai wo hai MALI- T860MP2. Aur iss processor ko banaya gya hai 3GB ki RAM ke sath. Aur aapko 32GB internal storage bhi milta hai. Aur chahe toh Memory card laga ke isko badha bhi skte hain. Lekin Aap memory card use karne ke time pe aap bas ek hi sim use kar skte hain. Kyuki isme aapko pichle phones ki tarah hi Hybrid SIM slot milta hai.
Battery:
Meizu M3 Note me battery power bada hi dhaasu hai. Isme aapko 4100 Mah ki battery milti hai. Iske phle Meizu M2 Note me 3000 Mah ki battery thi aur jiski battery backup bahut hi long time tak chalta tha. Ab isi se aap andaza laga skte hain ki iss phone ki bhi battery kitni der chalegi.
Camera:
Dosto ab baat karte hain iss phone ke camera ki. Iss phone me aapko rear camera milta hai 13MP 2.2 Aperature ka. Jabki front facing camera milta hai 5MP 2 Aperture ka .
Meizu M3 Note Price in India:
Dosto specifications ke baa dab najar daalte hain Meizu M3 note ke price par. Company ne iss phone ki price rakhi 9999 INR. Jo ki specifications ke according 1500-2000 INR kam hi hai. Aap iss phone ko Amazon.in se le skte hain. Iska phla Flash Sale 31st May,2016 ko online start hoga. Toh aap uske liye abhi se register kar sakte hain.
Meizu M3 Note vs Redmi Note 3:
Dosto ab sbse phle mind me yah aata hai ki Phle se jo launch ho chukka Redmi Note 3 aur jo aaj launch hua hai Meizu M3 note. Inn dono ke features me compare kare toh dono ek dusre se kam nahi hain. Lekin price ke mamle me thoda sa difference hai. Kyuki Redmi note 3 ka 2GB version ka price 9999 INR hai aur jabki Meizu M3 note ka 3GB ka price bhi 9999 INR hai.
To iss tarike se dekha jaye toh Meizu M3 note thoda sa aage nikal jata hai. Toh agar mai aapko bina ghumaye simple word me bolu toh aap lijiye Redmi Note3 aur Meizu M3 note ko dusre option ke roop me lijiye. Ab mai aapko btata hu ki aapko Redmi Note 3 kyu lene chahiye.
#1. Processor:
Sbse phle mai baat karungaProcessor ki. Dekhiye Meizu M3 note me jo processor laga hua hai wo hai Helio P10 jaisa ki maine upar bataya hai. Aur aapko redmi note 3 me Snapdragon 650processor milta hai. Toh dosto ! Snapdragon 650 ke comparison me Helio P10achha nahi nahi.
#2. GPU:
Dosto jo dusra bada reason hai wo hai iska GPU processor. Meizu M3 note me aapko GPU Mali Ka T860MP2 jo itna achha nahi hai ki aapko ek badhiya Gaming ya video ka maza de paye.
#3. Camera:
Agar aapko ek badhiya camera wala phone chahiye toh aapko Redmi note 3 hi prefer karna chahiye. Kyuki Redmi Note 3 me aapko camera sensor badhiya milta hai. Aur aap 4K video bhi bana skte hain. Waise aapko battery achhi milti hai. Speed bhi kafi hd tk badhiya hai. Lekin Camera, Processor ke mamle me Meizu M3 Note piche rah jata hai.
Aur agar aap Redmi Note 3 lena chahte hai lekin aapko mil nahi pa rha hai toh aapke liye ek dusra badhiya option hai ki aap Meizu M3 note le le. Kyuki Iss Price Range me aapko itni badhiya specifications ke sath dusra aur koi phone nahi milega. Ya fir aapko Xiaomi company ke phone nahi pasand hai aur aapko Meizu ke OS –Flyme OS ke kuch ache features hai jaise guesture, UI toh aap Meizu M3 note le skte hain.
Aur Meizu Ne ek chiz promise kiya hai ki aapke phone me koi problem aati hai toh aap 7 days ke anadr hi repair hoke mil jayegi. Jo ki bahut hi achi baat hai. Xiaomi ke service me thodi problem hoti hai. Lekin agar aap ye soch ke iss phone ko lenge ki iss phone me 3 GB RAM hai toh ye aapki bhool hai. Kyuki RAM ke sath sath processor bhi handle karne wala hona chahiye.
Toh finally mai yahi kahunga ki 10000 INR ke range me aaj ki date me Redmi Note 3 sbse achha phone hai. Aur agar aapko iske alawa koi dusra phone lena hai toh Aap Meizu M3 note ko prefer kar sakte hain.
दोस्तों उम्मीद है की यह रिव्यु आपको पसंद आया होगा. अगर आपको ऐसे ही किसी और फ़ोन का रिव्यु जानना है तो आप कमेंट करके बता सकते है. मैं जल्द से जल्द आपको उसका भी रिव्यु दे दूंगा.
और दोस्तों आप इस ब्लॉग का newsletter को सब्सक्राइब कर लीजिये जिससे आपको नये पोस्ट आपके ईमेल इनबॉक्स में सबसे पहले मिल जायेंगे.