Moto G4 Plus Vs Lenovo Zuk Z1 vs Redmi Note 3: Honest Review in Hindi:
Hi Dosto ! Iss post ko mai thode dino ke gap ke baad likh rha hun. Iska reason yah hai ki Mere final semester ke exams shuru ho gye hain. Ab main exam ke baad hi apne blog ko continue rakhunga.
Agar aap log 15000 ke range me koi Smartphone lena chahte hain toh aap jarur Moto G4 Plus, Lenovo Zuk z1 aur Redmi Note 3 ke bich me confused honge. Iss post me tino phone ko compare karke bataunga ki aapko kon sa phone lena chahiye. Kyuki tino phones me ek se ek quality features hain.
Main inn tino phones ke bare me batane ke liye 3 type ke smartphones users ke according btaunga ki kon sa phone kis type ke user ke liye hain. Aap apne aap ko jis bhi type ke user me fit paate hain wo phone aapke liye perfect rhega.
#User Type 1:(Moto G4 Plus)
Agar aapko photography ka shauk hai. Aur sath me latest android os ka update chahiye. Agar aapko fast charging chahiye. Ek badhiya brand name chahiye . Aur agar aapko dual sim ke sath me memory card lagane ka bhi option chahiye toh aise me aapko Moto G4 Plus lena chahiye.
Moto G4 plus me camera bada hi kamaal ka hai. 15000 se kam price me yah phone bahut hi dhamakedaar hai. Moto G4 plus ki price range 13,499 INR se starting hai. Moto G4 plus me aapko android ke latest updates milenge. Jaisa ki maine bataya ki isme Dual sim ke sath ek separate slot milta hai memory card ke liye. Aur Motorola ka bharosha bhi milta hai. To hiss tarike se Moto G4 plus aapki phli pasand honi chahiye.
#User Type 2:(Lenovo ZUK Z1)
Agar aap Photography ke sath sath Gaming ko prefer krna chahte hain toh aapke liye Lenovo ZUK Z1 jyada better rhega. Gaming performanceme Lenovo ZUK z1 Moto G4 plus se better hai. Yah phone aapko flashing bhi allow karta hai. Isme aapko storage 64GB mil jati hai. Fingerprint scanner bhi milta hai. Battery quality bhi ek number hai. Isme aapko Snapdragon 801 processor bhi milta hai.
Iss tarah ke scenario me aapko Lenovo ZUK Z1 hi prefer karna chahiye. Lekin Camera performance ke mamle me Moto G4 Plus aage hai.
#User Type 3:(Redmi Note 3)
Agar aapko phone ke sirf performance se matlab hai. Aapko High-End performance chahiye. Camera thoda average ho lekin aapko agar sirf aur sirf performance se matlab hai. Lekin aapko km budget me finger print, Processor, Metal Body, Unique Design, Battery Life ki performance ko dekhte huye aapko Redmi Note 3 lena chahiye. Kyuki iss price range me aapko iss tarah ka phone milna mushkil hai.
Redmi Note 3 camera achha hai lekin 12000 Ke price range ke hisab se achha hai. Battery life bhi achhi hai.
Lekin agar sirf performance ki baat ki jaye toh 15000 INR ke range me Redmi Note 3 best hai. Kyuki isme jo snapdragon 650 processor hai wo bade hi kamaal ki performance deti hai.
Conclusion:
Agar aapko Best camera , Memory card ke liye extra slot aur company ka bharosha chahiye toh aapko Moto G4 plus lena chahiye.
Aur agar aapko large storage 64GB, Redmi note 3 se better camera aur Android ke Cynogenmode ka OS chaiye toh aap Lenovo ZUK Z1 lena sahi rhega.
Aur agar aapko Sasta, Sunder aur tikau phone lena hai toh Redmi Note 3 Zindabaad.
तो दोस्तों उम्मीद है की यह रिव्यु आपको पसंद आया होगा. मैंने यह मान कर रिव्यु किया है की आपको बेसिक फीचर पता होंगे. अगर आपको कोई भी समस्या है तो आप नीचे कमेंट करके बता सकते हैं. आप फेसबुक पेज को लाइक करके वहां भी मेसेज कर सकते हैं.