Hii dosto ..!! Yah Post mai new bloggers ke liye likh raha hun . Jb blog me sab kuch setup karne ke baad bhi usme traffic nahi aata toh bahut boring lgta hai Ye Blogging . India me 100 Blogger me se keval 10 ya 15 Blogger aise hote hai jinke Blog par 5000/Day Views aata hai. Baki sabhi Blog par 1000/day Views se bhi kam aata hai. Aise unke sath hota jo Log Regular Blog Post nahi karte yah Content Promotion aur SEO (Search Engine Optimization) ke bare me jankari nahi hota hai. Mai iss post me aapko kuch aise tips bataunga jisse aapke blog par sure and certain traffic aayega . Kuch toh jarur increase hoga aapke traffic me . Kyuki mera bhi blog abhi nya hi hai lekin maine ye sare tips try kiye toh mere blog par bhi traffic aane laga hai . Toh chaliye mai batata hu ki Kaise aap Apne blog par traffic badhate hain .
New Blog Par Traffic Kaise Badhaye 7 Solid Tarike:
#1: Apne Blog Se Related ache Blogs Par Comment Karna:
Dosto agar sbse phle tips ki baat kru toh yah ki aap apne Blog se related blog ko padhe . us par jo bhi naye post honge usko ache se padhiye aur uss post se hi related achha sa comment kariye. Achha comment karne ka matlab ye nahi ki Likh diya “Nice Post “. Bss itna likhne se koi fayda nahi hota hai . Aapko uss post se related jo bhi ache points ho usko apne comment me include kijiye . Tab kisi visitor ya admin ki aapke comment par najar padegi. Toh Ho sakta hai aapke blog ko visit kare .
Aur comment krne ka ek aur fayda hai ki aapko backlink milti hai aur aapka blog search results me bhi improve karta hai.
#2: Social Media Groups (g+,fb) Join Kare:
Agar aapne abhi tak social media ke kisi bhi group ko join nahi kiya hai toh aapko jaldi se join kar lena chahiye . Social media me sabhi sites jaise Facebook , Google Plus par apne blog ke topic se related communities or group me apne aap ko join kijiye . Aur usme apne link ko share kijiye .
Agar kisi group me link share karna allow nahi hai toh aap link mat share kare . Aap apne blog ke bare me discuss kar sakte hain .
#3: Detail & Quality Post Likhe:
Traffic badhane ka ek aur sbse badhiya tarika hai ki aap apne blog par hamesha quality aur detail post likhe . Detail post kam se kam 1000 words ka hona chahiye . Aur haa post me bekar ke repeat wale words mat use kare . Aap sirf words ko count mat kijiye . Sabhi words ka matlab hona chahiye aapke post me .
#4: Youtube Video Banakar Publish Kare:
Youtube , Google search ke baad dusre number par aata hai . Aur kabhi kbhi koi visitor kuch search karta hai toh video results bhi phle aa jate hain . Isiliye aap apne post ke video banakar youtube par bhi upload kijiye . Aur un videos ko apne blog ke post me embed bhi kar sakte hain . Aur iske sath sath youtube par apne blog ka link bhi daal dijiye .
#5. Keywords Par Focus Kare:
Bahut se new bloggers sirf post par hi jyada focus karte hain . Lekin post me keywords ka dhyan nahi rakhte hain jisse google search me unke post nahi aate hain. Aur blog par traffic nahi aata hai . Keywords ko search karne ka sbse aasan tarika hai ki aap google adwords ke Keyword planner me aap apne post ke topic se related sabhi keywords ko check kar sakte hain. Aur jis keywords par competition level medium hota hai , aap usi keywords ko apne post me dale .
#6. Online Forum Join Kare:
Online forum ke bare me sabko nahi pta hota hai . Aap apne blog se related blogs ke forum ko join karne ke liye aap google me uss blog ke naam ke sath forum likh kar search kare . Toh aapko forum ki link mil jayegi .
Fir aap usme dekhenge ki aapke jaise bahut sare new bloggers aur professional bloggers apne apne questions share karte hain. Aur kisi dusre bloggers ke questions ka reply bhi karte hain . Isse sabhi bloggers ke bich bonding badhti hai. Aur agar kisi blogger ke question ka answer aapke blog par available hai toh aap uska link share kar sakte hain . Isse traffic badhne ke bahut chances hain .
#7. Guest Post:
Last aur sbse effective tarika hai Guest post likhna . Guest post likhne ka sbse bada fayda hai backlinking ka . Jab aap apne se related blog par Guest post likhte hain toh Uss blog ka admin aapke naam ke sath aapke blog ka address bhi post karta hai . Jisse agar uske visitors ko aapka post pasand aata hai toh wo visitor aapke blog ko bhi visit karta hai.
दोस्तों उम्मीद है की यह पोस्ट आपको पसंद आई होगी . अगर आपको फायदा मिलता है या नहीं मिलता है . प्लीज मुझे कमेंट करके बताइए . लेकिन मैं कन्फर्म बता सकता हूँ की अगर आप इन टिप्स को आजमाते हैं तो आपके ब्लॉग पर जरुर ट्रैफिक आएगा .
Bahut hi badiya jankari di hai… Apke karan mere blog par per day 100 traffic aane lga hai
Mai bhi bigginer hu plz muze bhi thodi information dijiye
Apne mujh ko teen charr batain sikhadein hain jin ko ma apply kar kay apne blog per traffiq badha sakta hoon
Guest Post
Online Forum ko join kar kay