Paytm se Money(Paise) Kaise Transfer Kare | ATM Se Paytm Wallet me Money Kaise Add kare
Hi Friends, Kya apko Paytm se Money Transfer karne ke bare me nahi pta hai?. Kya apko pta hai ATM se Paytm Wallet me Money Kaise Transfer karte hai?. Agar apko pta hai toh acchi baat hai but agar apko nahi pta hai. Toh aap sahi jagah Kyoki aaj mai apko Paytm Money Transfer ke bare me Details me bataunga. Bahut Se Logo Ne Search Kiya Ki Paytm se Dusre Ko Paise Kaise Transfer Kare ya Paytm Me ATM se Paise Add Kare? Toh Aaj Iss Post Me Detail se Baat Karenge ki Paytm Se (Money) Paise Kaise Send Karte Hain Aur Sath me yah bhi janenge ki Paytm Me ATM card se Paise Kaise Add Karte Hain.
Jaise ki aap logo ko pta hoga New Indian Currency ke wajah se. Bank ya ATM se Cash Deposit ya Credit karne ne bahut Problem ho rha hai. Jiske wajah se Bank Account me paise hone ke bad bhi hum Financial Problem me hai. But agar apko ye Financial Problem door karna hai. Toh apke pass ek rasta hai Online Transaction ya Cashless Payment. Agar aap Online Transaction or Payment ka Use karte hai. Toh aap bahut aaram se Online Shopping, Money Transfer, Online Payment, Bill Payment, kar sakte hai.
Online Payment ke liye Paytm ek Popular way hai, Jiske bare mai apko batane wala hu. Ki aap kaise Paytm ka Use karke Money Transfer kar sakte hai. As well as ATM se kaise aap Paytm Wallet me Money Add kar sakte hai.
ATM Se Paytm Wallet Money Add Kaise Kare:
Friends agar apne Paytm.com par ya Paytm App me Login kiya hai. Toh aap neeche diye gaye Step ko follow karke. Apne ATM se Wallet me Money Add kar sakte hai.
Step #1:
Login karne ke bad aap “Add Money” Option par click kare. Agar aapne Website Open kiya hai. Toh aap “Wallet’ Option me jaker “Add Money” par click kare.
Step #2:
Ab apke samne “Enter Amount to added in Wallet” ka option ayega. Aapko Jitna Money PaytmWallet me add karna hai. Aap utna Amount Enter kar dijiye. Agar apke pass koi “Promo Code” hai. Toh aap Usse bhi Enter kar dijiye. Enter karne ke bad aap “Add Money” Button par click kare. How to Use Online Money Transfer Service Without Net Banking | Earn 50 Extra
Step #3:
Jaise hi aap Add Money To Wallet par click karenge. Apke Payment Option open hoker aa jayega. Isme apko 3 Payment ke 3 option milega. Chuki hume ATM se Money Add karna hai. Toh hum “Debit Card” Select karenge.
Step #4:
Jaise hi aap Debit Card option Select karenge. Toh apse Debit Card Details ke bare me puchega. Jisme apko apne ATM Card ka Number Enter karna hoga. As well as ATM ka “Expiry Date” aur “CVV” Enter karna hoga. Bus ab aap “Pay Now” par click kar dijiye. Apke ATM se Money apke Paytm Wallet me Add ho jayega.
Paytm Se Money Transfer Kaise Kare:
Dosto jinta asaam Paytm me Money Add karna hai. Usse kahi jayada asaan Money Transfer karna hai. Aap Bus Kuch Simple se Step ko Follow karke Bill Payment (Eletric, House Rent, Water, Gas, Phone). Shopping, Bank Account Tranfer, Donate, Insurance Payment kar sakte hai.
Step #1:
Sasbe pahle aap paytm.com ya app ko open kare. Aur “Wallet” ya “Passbook” Option par Click kare. Aur aap “Send Money” Option Click Kare.
Step #2:
Jaise hi aap Send Money Option par click karenge. Apke samne ek Page open hoker ayega. Jaha par apko “Amount” fill karna hoga. Jisko Send karna chahte hai. Uska Bank Account Number aur IFSC Code Enter karna hoga. Agar apko IFSC Code nahi pta hai. Toh aap apne Account Number Enter karke “Find IFSC” par click kare. Uske bad Send Money Par click kar de. Apke Wallet se utna Money Send ho jayega.
But Paytm me ek Condition hai. Aap 100-5000 rupee hi send kar sakte hai. Agar apko 5000 Rupee se jayada Transfer karna hai. Toh aap UPI App ka use kare.
Friend Bank ATM se Paytm me Money Add aur transfer karne ke Liye. Video Dekhe
Conclusion:
Toh Umeed Hai Ki Aapko Samajh Aa Gaya Hoga ki Paytm Se Money (Paise) Kaise Transfer Kare Aur Paytm me ATM Card Se Paise Kaise Add Kare. Dosto Agar apko Online Transaction karna hai. Toh apke Liye Paytm sabse best aur sabse Secure Option hai. Online Transaction ke Help se aap Cashback bhi Earn kar sakte hai.
For Example- Suppose agar aap Paytm Ka use Karke Phone Bill, Braodband Bill pay karna hai. Toh aise me apko 5% ka Minimum Cashback milega. Kabhi-kabhi to apko pure 100% Tak Cashback Mil jata hai.
Sabse aachi baat ye hai Ki agar aapne pahle kabhi Online Money Trasaction ka use nahi kiye hai. Tab bhi aap paytm bahut araam se Use kar sakte hai. As well as Money Transafer kar sakte hai. Apne Wallet me Money Receive kar sakte hai.
Yah Bhi Padhe:
उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा और आपके लिए हेल्पफुल रहा होगा | अगर आपको इस पोस्ट में कोई प्रॉब्लम है या आपके पास इस पोस्ट के बारे में कोई विचार या सुझाव है | तो आप हमें कमेंट जरुर करे |
TechYukti ब्लॉग पर आने के लिए आपका धन्यवाद्