Hi Dosto ! Yah post unn Bloggers ke liye hai jo Blog start karte hi apne Blogging ke result ko analyse karne lgte hain. Aur jab kuch jyada difference nahi dikhayi deta hai toh Blogging ko chod dete hain ya koi dusra New Blog Create Kar lete hain.
Is post likhne ka mera ek hi maksad hai ki jo bhi New Bloggers jald se jald apne Blog se Paise kamane ke chakkar me phle mehnat toh karte hain lekin thode dino baad blogging karna chod dete hain. Toh Blogging chodne ka koi matlab nahi banta hai. Mai aapko iss post me bataunga ki aapko blogging me kitne samay tak ke liye struggling karna sahi hai.
Waise iss post ko mai isliye likh rha hu kyuki maine bhi iss chiz ko face kiya hai. Lekin maine Blogging karna chhoda nahi.
Agar aap aisa sochte hain ki aapne itne saare post likh diya. Apne blog ke liye High CPC keywords bhi choose kar liye. Fir bhi Blog par traffic nahi aa rhi hai aur na hi jyada earnings ho rhi hai. Aapke parents bhi ye sb karne ke liye mana karte hain. Aur fir aap last me Blogging ko chhodne ke liye majboor ho jate hain. Agar aisa hai to iss post ko jarur padhiye.
#1. First Time Aapne Blogging Kyu Start Ki Thi?
Aap sbse phle apne aap se yah puchiye ki aapne sbse phli baar Blog kyu banaya tha. Paisa kamane ke liye ya Naam Kamane ke liye? Ya fir dono? Agar aap phle blog ko aage badhane ke bare me sochenge toh aap Paise aur Naam dono kamayenge.
Chaliye ab aap ye socho ki aapke blog par kis post par search visit aaya tha. Aapke Blog par kon sa post sbse popular hua tha.
- New Blog Par Traffic Badhane Ke 7 Tarike
Kya aapne Blogging isliye shuru kari thi ki baad me aapko success nahi milegi toh aap Blogging karna chhod doge? Dekhiye aapne phle hi apna itna saara time Blogging ko samjhne me jb laga hi diya hai toh thode aur struggle karne me kya problem hai?
#2. Do What You Like:
Aap Blogging kariye usi topic par jis topic ke bare me jaanne ke baad aapko dosto ke sath share karne me maza aata hai. Bss aap usi topic par blogging kijiye. Apne pure junoon ke sath. Kabhi bhi kisi ko copy mat kijiye. Copy ka matlb ki agar koi banda jis topic par blog likh rha hai aap bhi ussi par mat likho. Aap informations ko apne according share kar sakte ho.
#3. Be Consistent:
Aapne dekha hoga ki sabhi Bloggers yahi bolte hain ki hmesa regular rahiye. Aisa isliye bolte hain ki unhone bhi wo chiz face kara hota hai jb wo regular nahi rhte the toh unki position km ho jati thi.
Regular rhne ke bahut saare fayde hote hain. Jaise SEO increase hota hai. Aapke visitors bane rhte hain. Aur aap daily kuch na kuch growth karte ho.
Isliye aap kosish yahi kijiye ki aap daily ek post publish kijiye.
- SEO Kya Hai ? SEO Kaise work karta hai?
- Top 10 SEO tips for New Bloggers
#4. Do not Give Up:
Agar aapke blog par traffic nahi aa rha hai. Ya fir aapke blog se earning nhi ho rhi hai toh iska ek hi option Quit nahi hai. Aapke pass bahut saare options hai.
Dekhiye starting me kisi bhi chiz ko establish karne ke me time lgta hai. Agar aap jald hi haar maan jayenge toh aap kisi bhi field me success nahi ho sakte.
Kyuki jaise hi aap Blogging ko chod kar kisi aur kaam ko shuru karenge usme bhi aap bor hokar usko bhi chhod denge.
Isliye aap kabhi bhi haar mat maaniye. Apne kaam me 100% dijiye jarur safalta milegi.
#5. Do not under estimate anybody:
#5. Do not under estimate anybody:
Aapko agar life me aage badhna hai toh kisi ko bhi under estimate mat kijiye. Maine dekha hai ki bahut se new blogger apne aap ko tis maar khan samjhte hain. Aur apne aage kisi ko respect nahi dete hai. Aur baad me jab whi blogger aage nikal jata hai toh unko jalan hoti hai.
Mera maanana hai ki dunia me koi bhi kisi se km nhi hai. Sbke andar kuch na kuch Talent hota hai. Isliye kabhi bhi samne wale ko aap under estimate mat kijiye. Aapko jo kuch bhi sikhne mil rha hai uss bande se sikhiye.
Fir dekhiye aapke life me jo changing aayegi wo ultimate hogi.
- Rohit Mewada(Hindi Me Help) Ki tarah Successful Blogger Kaise Bane
#6. Do Analyze :
Aap khud ko analyze kariye ki jab aapne blogging start kiya tha to aapko Blogging ke bare me kitna pata tha. Aur aaj aapko kitna pta hai. Agar aapko kuch difference feel aa rha hai toh aap aage bhi aise lge rahiye. Meri Guarantee hai aapko jarur success milegi.
#7. Follow Your Favorite Bloggers:
Aap apne blog ko publish krne ke sath dusre bloggers ko bhi padho. Aur sath me latest blogging tips se update raho. Isse aapko bahut kuch idea milega ki market me kya chal rha hai.
Unke style ko dekhiye. Unke post quality ko analyze kijiye. Fir aap un chizo ko apne blog me implement kijiye.
Iss dunia me aisa koi bhi nahi hai jo complete ho. Sabhi kisi na kisi se kuch na kuch sikhte rhte hain. Aur puri life sikhte hi rhte hain.
Friends aap soch rhe honge ki ye sab tips toh har koi deta hai. Lekin yahi asli formula hai. Kisi bhi field me success pane ke liye aapko consistent rhna pdta hai. Agar aap 6 Months continuous ache ache post publish karte ho toh aapko success pane se koi nahi rok sakta.
6 months se jayda bhi lag sakta hai ya isse kam bhi lg skta hai. Kyuki ye sab aapke Hard Work as well as Smart work par depend karta hai.
Mere liye success ka ek hi mantra hai wo hai- Consistency
उम्मीद है दोस्तों यह पोस्ट आपको पसंद आया होगा. अगर आपको कोई भी समस्या हो तो आप फेसबुक पर मेसेज कर सकते हैं. या फिर नीचे कमेंट भी कर सकते हैं.