Reliance JIO Network Ke Pros & Cons | MNP karna Chahiye ya nahi:
Hello Dosto ! Aaj ek baar fir se Reliance Jio Sim Ke Baare me baat karte hain. Kyuki Jaise Jaise Reliance Jio sim ke Customers badhte ja rahe hain , waise waise unki problems bhi badhti ja rhi hai.
Relaince JIO SIM Free hone ke baad bhi kuch logo ko ye pasand nhi aa rha hai. Kyuki Voice Call karne me bahut dikkat ka samna karna pd raha hai.
Iss post me mai aapko Relaince JIO Sim ke Pros aur Cons ke bare me bataunga. Aur sath me Iss Jio 4G network ke bare me kuch aisi baate bataunga jo aapko shayad se nahi pata hongi. Aur agar aap apne Old phone number ko Relaince Jio me port karna chahte hain toh bhi iss post ko padhiye. Kyuki last me mai ye bhi btaunga ki aapko Reliance JIO Me kyu port karna chahiye aur kyu nahi karna chahiye.
Waise aapko bata du ki Mobile Number ko Port karne ke liye bhi aapko Store par line laga ke sim lena padega.
Reliance JIO Network Par Janke Ka Fayda:
Dosto ! Reliance JIO sim jbse launch hua hai aur iske offer ke bare me jisko bhi pata chala hai wo sabhi log iss SIM ko lena chahte hain. Aur iss sim ko lene ki sbse khas wajah hai wo hai – Free Unlimited 4G Data . Wo bhi 31st December 2016 tak.
Sbse phle mai aapko bata du ki agar aap apne Old number ko Relaince JIO Network par lana chahte hain toh aapko kyu aana chahiye. Reason kuch iss tarah se hai.
#1. 100% 4G Network :
Dosto ! Meri taraf se jo phla reason hai wo yah hai ki Reliance JIO Network pure tarike se 4G Network hai. Reliance ne puri mehnat kare all india me 4G network lagaya hai. Yaha tak ki UP ke bahut villages me bhi 4G network aa rha hai. Iss case me aapko jo bhi call kiya jata hai wo ekdm HD voice call hota hai.
Data ki speed bhi bahut badhiya hai. Iske baad aap 3G aur 2G toh bhul hi jayenge. Aur sath hi sath isme VoLTE yani Voice over LTE ka support hai. Yani ki Data ko use karke hi Calling kar sakte hain.
Iske liye aapko alag se koi Recharge nahi karna pdega . Preview offer khatam hone ke baad bhi. Toh overall dekha jaye toh yah ek Superior network hai Airtel aur Vodafone se.
Aapko pata hoga ki Baki networks me 2G, 3G, 4G sb mix aata hai. Aur Data ke kharche bhi bahut jyada hai. Toh aise me Reliance JIO Network sbse achha mana jayega.
Read: Jio Dha Dhana Dhan Offer 84GB Data Only @309
#2. JIO Preview Offer:
Dosto ! Dusre number jo iska reason hai wo hai JIO Preview Offer 31st December 2016 tak. Waise Free 4G Internet Data toh mil rha hai. Lekin wo Per day 4GB hi limited hai.
Aur Free Voice calling ki baat kare toh Calling karne me thoda problem ho rha hai. Jaldi kisi number pe call nhi lg rha hai.
Toh agar aapko iss offer se satisfied hai aur aap JIO me port karwana chahte hain toh aap karwa skate hain. Waise JIO ne apne saare plans launch kar diye hain toh aap Plan ko ek baar dekh kar hi port karwane ki soche toh achha rhega. Fir bhi aapko Reliance Jio Sabhi network ke mukable sasta pdega.
#3. Great Infrastructure:
Agar network Infrastructure ki baat kare toh Relaince ne sirf bade hi cities me nahi balki Gaaw-Gaaw tak network lg chukka hai.
#4. Great JIO Apps:
Aapne shayad agar gaur kiya hoga toh Reliance JIO ke bahut saare apps bhi Play Store par available hai. Jisme aapko JIO TV , JIO Music jaise apps milte hain. Aur aap Movies, TV free me 31st December 2017 tak dekh sakte hain. Aur uske baad aapko 1250 yearly subscription charges hain.
Toh yah bhi ek reason ho sakta hai JIO sim me port karne ke liye.
JIO Network Me Port Karane ke Nuksan :
Dosto ! Abhi tak hmne baat kiya ki Reliance JIO Sim me Old number ko kyu port karana chahiye. Ab baat karte hain ki wo kya reasons hain jiske wajah se port karwana sahi nhi rhega.
#1. Calling Me Problem:
Agar aapne JIO Sim ek baar bhi use kiya hoga toh shayad aapko pata chal gya hoga ki JIO sim se ek baar me call bade mushkil se hi lag rha hai. Server busy ka respond bahut baar aa rha hai aur call nhi lag rha hai. Aise me aapko bahut paresani ho sakti hai.
Kisi ko emergency me call karna hua toh wo shayad hi lg payega. Agar future me Relaince ne iss problem ko resolve kar diya toh ye achhi baat hogi.
Aapko bata de ki Call na lgne ki wajah Airtel , Vodafone hi hain. Wo log nahi chahte ki JIO se kisi Airtel ya Vodafone ke number par call lge. Isme puri tarah se Reliance ka hath nahi hai.
#3. JIO Sirf 4G Phone par work karega:
Dosto ! Jo Dusra reason hai wo hai ki ye sim bas 4G phone par hi kaam karega. Toh agar aapke pass 3G, 2G Phone hai toh aapko port karana sahi nhi hoga.
Waise Aapko bahut saare tricks mil jayenge jisme JIo sim ko 3G phone me chalane ke liye bataya gya hai.
#4. Data Speed me Variation:
Abhi JIO 4G utne ache tarike se work nahi kar rhi hai. Kyuki Din me kuch aur speed aata hai. Raat ko bahut kam speed aata hai. Toh abhi ye puri tarike se stable nahi hai.
#5. Bad Customer Care Service:
Agar aapko Relaince JIO sim me kuch bhi issue hota hai . Aur aap Customer Care Executive ke paas phone lagate hain toh aapka call ya toh receive nahi hoga. Ya fir aapke problem ka solution nhi milega.
Toh Dosto ! Ye tha Reliance JIO SIM me port karwane ka Reason aur na karwane ka reason.
Toh mere taraf se ye recommendation hai ki Aap Abhi apne Old number ko JIO network me port mt karwaye. Kuch din aur JIO ki service ko dekh lijiye. Fir baad me Port karne ki sochiye.
दोस्तों उम्मीद है की यह पोस्ट आपको अच्छा लगा होगा. फिर भी अगर आपका कोई सुझाव या सवाल है तो कमेंट करके पूछ सकते हैं . और कृपया हमारे फेसबुक पेज को भी लाइक कीजिये. जिससे आपको सभी updates फेसबुक पर भी मिल जायेगा.